Social bookmarking kya h ? Kyun jaruri h aur kaise kare .




Dosto aapne aksar social bookmarking ke bare me suna hoga . Kya aap jante h social bookmarking kya hota h , agar aaplogo me se  jinhone social bookmarking ke bare me nahi suna h to koi baat nahi . Aaj me aaplogo ko social bookmarking ke bare me jankari dene ki koshish karunga .


Blog ko google me rank karane ke liye SEO kiya jata h joki 2 tarah se on page seo aur off page seo karte h . Social bookmarking, seo ke off page technique ke antargart hota h . Jo social networking sites Jo blog ke taiyyar hokar published ho jane ke baad kiya jata h . Aaj ke post social bookmarking kya h ? Kyun jaruri h aur kaise kare , me hum iske bare vistar se janenge .


Social blokmarking kya h kyun jaruri h .
Social bookmarking

Apni sites ke liye aache se accha content aur image banane ke baad bhi website me traffic lana koi asan kaam nahi h . Kahne ka matlab h sirf accha content aur image se blog me traffic aana thoda muskil hota h . Iske liye hume social media sites par apne blog ka link ko share karna hota h . Jo bookmarking ke madad se kiya jata h .




Social bookmarking kya h



Apne bog , websites ya kisi page ke images , video ya uske link  ko kisi bhi social media site par share karna social bookmarking kahlata h .


Aaj social media ke badte prabhav ko dekhte huye har business man apne products ke prachar aur business ko popular banane  ke liye iska upyog jarur karta h .


Blogers aur Websites owner bhi apne websites ke liye inhi social bookmarking sites  jaise facebook  , Instagram ,  linkdin , pinterest (aur bhi sites h ) par apne website ke image , videos aur link share karte h .


Log in pages ke images ya video dekhkar pasand aane par unhe share bhi karte h . Agar inhi pages ke koi image ya video viral ho jata h ttoautomatic blog me traffic aana suru ho jata h .


Log ke bich blog ki ek pehchan banti h saath hi search engines ke ranking me bhi sudhar hona suru ho jata h .






Social bookmarking ke fayde 




Badi aur acchi social media sites me bookmarking karne se us sites ke users bhi aapke post ko dekh sakte h aur pasand aane par share kar sakte h . Kahne ka matlab h aapke blog ka jab hi viral hone ke chances rahte h . Iske alave bhi iske bahut fayde h , jaise..

Social media sites par bookmarking karke quality backlink juta sakte h .

Blog ke SERP me ranking aur performance sudhar sakte h .

Blog me accha traffic la sakte .

Apni blog ki domain authority ko bad sakte h .

Bookmarking se ek community build kar sakte h aur community ke dusre members ke saath experience share kar sakte h .




Social bookmarking ka upyog kyun jaruri h .



Social bookmarking ka upyog karna blog aur  websites ke liye bahut jaruri h . Jaisa ki hum jante h social bookmarking ka pahla lakshya hota h blog websites ka prachar karna aur dusra h community banana .


Prachar aur community banakar blog me traffic increase ki ja sakti h iska ek fayda ye hota h k .  Aagar serp ranking ke ek factor backlinks ke kamjaor hone par bhi acchi traffic aur quality bookmarking sites ke baclinks  ke karan blog ke crawling aur indexing ke saath  ranking ke chances ¹¹1 jate h .



Social bookmarking kaise kare .



Social bookmarking sites se hum blog ko promote karne ke saath hi blog ke liye acche backlinks bana sakte h . Jo ki blog ko ranking me madad karti h . Bookmarking bilkul bhi muskil nahi h balki aap ise bahut asani se kar sakte h .


1 .   Sabse pahle ek popular website select kare


2 .   Ab topic select kar le jispar aapko bookmarking karna h .


3 .  Ab us websites me apne blog ka link share kare iske liye uske comments section ka use kare .


4 .   Comments section me kuch attractive comment ke link lagaye .


5 .    Attractive comments aur link dekhkar visitors us link ki madad se aapke blog par bhi aayenge .

 


Aaj ke post me humne social bookmarking ke bare me jankariyan ke saath bookmarking kya h . iske fayde aur bookmarking karne ka tarika ke bare me batane ki koshish ki h .


Ummeed karta hun aaplogo ko meri post social bookmarking kya h ? Kyun jaruri h aur kaise kare acchi lagi hogi .