On page SEO kya h ? Kare 12 techniques ke saath optimize .
Dosto aap apne blog ke ranking aur traffic ke liye apne blog ka SEO karte hi honge . Kya aap jante h SEO kam kaise karta h . Agar aapko iske bare me jankari nahi h to koi baat nahi chaliye me aap logo ko iske bare me bata deta hun .
Koi bhi search engines 3 prakar se kaam karta h jiske adhar par kisi blog ya websites ko indexed aur rank pradan karta h . On page seo off page seo aur technical seo .
Aaj ke post me hum SEO ke on page seo technique ke bare me janenge , ye blog ke liye kyun jaruri h aur ise blog me implement karne ke tarike janne ke liye is post On page seo kya h ? Optimize karne ke 12 technniques ko anth tak pura pade .
On page seo |
On page SEO kya h .
On page SEO ek aisa process h jisme websites aur blogs ko search engines ke anukul banane ke liye unke mul swaroop me kuch value add karke ,, changes or addition kiya jata h .
Blog ya websites me content ya article likh kar post publish karne tak hum jo bhi implements karte h jaise acchi content banana , title, design ,images , description aadi ko on page SEO kahte h . Yani on page search engine optimization kahte h
Iska main lakshya hota h ki websites aur blog ko kuch is tarah se optimize karke set kiya jaye jo ki search engines ke guideline ko fulfill karte huye SERP ke top me rank kare.
Darashal on page seo , SEO ka hi ek part hota h . Jissme blog ya websites ko search engines ke top rank me lane ke liye optimize kiya jata h .
Jaisa ki ek aam visitors kisi bhi search result ke first page me hi apne querries ka answers pa jata h isliye use dusre page me jane ki jarurat nahi padti h .
Isiliye har bloger ki yahi dili tammna hoti h ki uska blog SERP ke first page me show ho . Aur iske liye apne blog ke on page SEO ko majboot karne par dhyan deta h .
On page SEO kyun jaruri h
On page SEO ek blog ke liye jaruri isliye ho jata h ki iske madad se blog posts ko search engines me top rank me show karaya ja sakta h .
Post ke google ke search result ke top ranking me shamil hone ke karan iska sidha fayda blog ko bhi milta h .
Isse blog ko ek fayda ye hota h ki blog ki popularity badhti h . Blog ke ranking me sudhar hota h . Blog ke DA aur PA bhi badti h .
Google search me top ranked hone ke karan blog me traffic bhi aane lagti h . Jisse hum apne blog me internal linking karke traffic badane ke saath users aur search engines friendly bhi bana paate h .
On page SEO kaise kare
1 . Quality and original content likhe
Blog me post likhe samay content ki quality par vises dhyan de . Agar aap kisi se content likhwate h to publish karne se pahle uski originality check kar le .
Agar aap khud content likhnewale h to aap originality ke prati sure ho jate h . Kisi ke content ke copy paste se bache .
Post ko topicwise aur vistar purbak likhe . Post ko detail aur vistar se likhne par readers ise padand karenge . Jo post users ko pasand aata h wahi search engine ko bhi pasand hots h .
2 . Meta data ko optimize karna .
Meta data yani title ,keywords and description ka sahi tarah se optimize karke search engines me rank kar sakte h .
Proper keywords research karke post likhne se pahle uske title me keyword jarur use kare jo seo friendly hi ho .
i. Title ke suruaat me keywords use karna .
Proper keywords research karke post likhne se pahle uske title me keyword jarur use kare jo seo friendly hi ho .
ii. Description me keyword
Kisi bhi post me description ka matlab yani post ke bare me ek choti sarans hoti h . Post ke summary ya description padh kar post ke bare me pata chalta h ki post kis topic par likhi gayee .
Description me post ki choti si summary hoti h jisme apne post ke keywords ka use kiya jata h . Taki users aur search engines description ko dekhkar hi post ke topic ka andaza laga lete h ki post kis bare me h .
iii . Keywords reseach karke post likhe .
Keywords research karke likha gaya post google ke search result me acchi rank hasil karta h . Par iske liye keywords ko post me sahi tarah se implement karna hota h .
Keyword ka proper use karne ke karan users aur search engines ko post aur keywords ki sahi jankari milti h . Jo blog ko acchi ranking me madad karta h .
3 . Post ki length sahi rakhna
Blog likhte samay content ki quality ke saath hi blog ki length par bhi dhyan dene ki jarurat h . Aisa isliye h ki jab bhi aap content likhte ho tab aap ko visay ko puri vyakha ke saath varnan karna hota h . Taki readers ko aapki topic acchi tarah samajh aaye .
Par sirf post ki lambai badane ke liye Jabran words ki sankhya bina kisi logic ke badane se koi fayda nahi hota h .
Kisi bhi visay ko vyakha sahit varnan karne par isme adhik sabdo ka samavesh karna hi hota h .
Ek post ki lambai uske visay par bhi nirvar karta h . Ek post ki lambai kam se kam 250 words to honavhi chahiye par kuch visay par hi . Waise ek standard post ki lambai kam se kam 600 words hona chahiye .
Par aap dekhenge to Google ke top rank post ki lambai 2000 se 2500 tak hoti h . Waise usse jyada lambi post bhi likha ja sakta h .
4 . Blog ki speed jaruri factor
Aapke blog ki speed bhi bahut mayne rakhta h Google me post ke acche pradarshan ke liye . Blog ke liye acche content , title bahut jauri h . Par sochiye agar post ki khulne ki speed kam hogi to kya hoga .
Aap asani se samjh sakte h readers aise post ya blog me jana pasand nahi karte h janha us blog ki sites ko open hone me samay lagta h .
Ye baat to aap bhi jante h search engines ko wahi pasand aata h jo users ko pasand hota h . So blog ki speed ka sahi hona bhi ek ranking factor h .
5 . Url ko seo friendly banana
Url ki banawat aisi honi chahiye jo post ke topic ko describe karti ho yani post ke relates hi hona chahiye . Saath hi ye bhi sunishchit kare ki ye search engines ke querry ke relevants ho .
Kai bar aisa hota h ki humne jo url banaya h uske relevant querry aati h . Url ke sahi optimize aur keywords ke sahi istemal karke apne url ko multiple query ke liye taiyyar kar sakte h .
6 . Keyword research and optimize content
Blog me content likhne se pahle keyword research kar behad jaruri h . Bina keywords ke post likhne me kafi pareshani hoti h . Jabki keyword research karke step by step post likhne par kafi asani hoti h ..
Keyword research se hum jan pate h log kis visay ko , aur kisi visay me kya kya padna pasand kkarte h . Aur kin words ko adhik search karte h . Isse blog ki traffic aur ranking me acchi hoti h .
7 . Post Image ka optimization
Aap jante hi ek kahawat h ek image 100 words kevbarabar hota h . Post me kam se kam ek image to hona hi chahiye . Ek proper image se aap apne readers ko post ke bare me bahut kuch bata sakte h .
Image ke saath kisi topic ko explaine karne me bahut asani hoti h . Users image ko samajh sakte h par search engine image ko samajh nahi pata h .
Search engines ko images ko samjhane ke liye image ka alt tag karna hota h . Jise search engines samjh sakte h .
8 . Site ko mobile friendly banaye
Blog ko search engines ke anukul banane ke saath saath users ke anukul bhi banana jaruri h . Jaisa ki aap jante h users apne sahiliyat ke anusar different devices me apke blog ko open karte h .
Aaj kal jyadatar users mobile ka use karte h isliye hume unko dhyan me rakh kar blog ko mobile ke anukul bhi banana hoga .
Aapko bata dun jab hum blog banate h desktop aur mobile dono me alag alag tarah se khulta h jisse use mobile friendly bana kar users ke liye padnevme asan kiya jata h .
9 . Internal linking karna
Post ke ranking aur best user experience aur navigation ke liye post me internal linking karna accha hota h . Apne blog ke post ko aapas me linking karke ek dusre se jod kar users ko post navigation me madad karta h .
Apne top ranked post ko kamjor rank wale post se jod kar u ke ranking ko sudhar sakte h saath hi users engagement ko bada sakte h . Users ko blog me istarah kuch samay ke liye roke rakh sakte h .
10 . External linking ya backlink banana
Link build karna SEO ka ek mahatwapurn part h . Blog ke post ko aapas me link karne ke saath hi hume blog ko dusre blog jo ki same niche ki ho link banane ki koshish karna jaruri h .
Apne niche se related blogs ko select kar unse backlink ke liye jo prakriya hoti h jaise guest post , comments karke use prapt kare .
Isse us blog ke traffic aapke post par aati h . Traffic aur ranking ke liye backlink ek accha vikalp h .
11 . Post me social sharing button
Blog ko acchi content ke saath likhkar publish karne ke baad jaruri h . Blog aur post ki jyada se jyada promotion ki jaye jisse traffic ki badotari ho .
Aaj kal social media ke badte prabhav aur adhik logo tak social media ki pahuch hone ke karan ye kisi bhi chiz ke promotion ek bahut accha jariya h .
Isiliye apne blog me social media se related button lagaye taki log post ko different platforms me share kar sake .
12 . Site ka design and colour
Ji haan blog ka design bhi seo ke ek main factor ke antargart aata h . Blog ki acchi design visitor's ko blog ki aur akardhit karne ja kaam karta h .
Visitors blog ke akarshak design ko dekhar nlog me aate h . Par ajarshak ka matlab ye nahi ki jyada rang biranga ya tadak bhadak wala nahi hona chahiye .
Simple aur light colour ke saath blog me jaruri widget ka use karna jo ki har varg ke users ke padand aaye jisse search engines bhi blog ko appreciate kate .
Aaj ke post me humne sikha on page SEO kya h , blog post me traffic aur acche rank ke liye on page SEO kyun jaruri h aur optimize karne ke 12 technique .
Aaplogo ko aaj ki post on page SEO kya h ? Optimize karne ke 12 techniques kaisi lagi ummeed karta hun acchi lagi hogi . Post ki jankarian acchi lagi ho to apne dosto ke saath share kare .
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें