Off page SEO techniques kya h ? In hindi  



Apne blog ko aage badte huye dekhna har bloger ki chahat hoti h , agar aap bhi blogging ke field se ho aur aapne bhi apna blog banaya hua h to aap is se jarur sahmat honge . Par sirf blog banakar uspar article likhkar hum blog ko us mukam tak nahi pahucha payenge janha hum use chahte h .


Dosto blog ko safal banane ke liye ye jaruri h ki hamari posts google ke search result me upar show kare jisse uspar jaruri traffic aaye jo ki blog ki safalta ke liye bahut jaruri h .


Blog ke post ko search engines ke result ke top rank me dikhane ke liye blog ka proper SEO karna hota h . Ye wo process h jo blog ko SERP ke top rank dilane me madad karta h . Jisse 2 tariko se kiya jata h on page aur off page  . 


Aaj ke post me hum SEO  ke off page  technique ke bare me is post off page SEO techniques kya h ? In hindi . se janene ye blog ko  kaise madad karta h 



Off page SEO technique kaise kare , in hindi
Off page seo


Jaisa ki upar humne bataya hum development ke liye blog me SEO ke 2 types ke  techniques ka use karte h on page seo aur off page seo . On page seo ke bare me janne ke liye meri pichli post  pade on page seo kya h . Chaliye aage badte h ...




Off page SEO kya h 



Blog ya websites ko search engines ke top rank me shamil karane ke kiye , blog ya websites ke bahar rahkar jo seo ki  prakriya ki jati h use off page SEO kahte h . 

Off page seo , SEO ki ek aisi technique  h jo blog ke publish hone ke baad ki prakriya me samil hoti h . Aur iska main focus blog ke development ke saath domain authority aur page authority ko increase karne me hota h .


Blog ko likhkar publish karne ke baad uske development uske prachar ke liye blog se bahar dusre websites se backlink prapt karna , blog  ko google search console me add karna , sitemap submit karna aur social media me link share karna bhi off page seo me aata h .



Off page seo ke fayde 




Off page seo yaani blog ya websites ke liye  websites se bahar nikalkar blog ke liye kaam karna.. Blog ya websites ke development ke liye off page  seo ke techniques ke saath kaam karna websites ko kai tarah se fayda pahuchata h . 


Yanha me aap logo ko  off page seo techniques ke kuch faydo ke bare me bata raha hun ...


i)  .    Increase search engines ranking 


Blog ke off page seo par sahi tarah se kaam karke search engines ke top ranking me apne blog ko shamil karke jyada logo tak pahunch bana paate h . Blog ke serp ke top rank se blog me traffic bhi increase hoti h .


ii)   .     Increase volume traffic .


SEO ke off page techniques se blog ke refferal aur organics dono tarah ki traffic ka blog me aana suru ho jata h .


iii)   .     Get quality backlinks .

 

Apne websites se milte julte niche wale websites se contact kar blog ke liye quality baclinks juta sakte h . Joki blog ke ranking me bahut madad karta h .


iv)   .      Domain Authority bada sakte h .


Baclinks aur acchi ranking ke saath blog ki popularity search engines aur visitors dono ke bich badti h . Jisse domain authority aur page authority dono badta h .


v)   .       Fast indexing 


Blog promotion ke liye hum social media ka use karte h . Social media promotion , quality baclinks se post ke indexing ke chances bad jaate h .



Blog me off page SEO techniques kaise kare 




i)  .    Link building 


Blog se bahar apne blog related niches wale blog ko search kare . Acche aur high DA wale blog ko select karke unke saath contact karke   baclinks prapt kare .


Search engines ranking me baclinks ek majbut kadi h joki blog ko serp me upar push karnr ka kasm karta h .


Aap ko bata dun search engines , 2 same tarah ke  contents likhne wale sites me adhik aur quality baclinks wale sites ko prefer karte h .


Backlink hamesha acchi quality ka hi banaye .  Spamy types ke baclinks se bache . Ye blog ko fayde ki jagah nuksan karte h .


ii) .    Social media


Aaj ke samay me lagbhag har vyakti tak social medea ki pahuch h .  Kisi bhi topic ko social media me viral hone me kuch hi samay lagta h .


Abhi koun sa topic trend me h ye social media  asani se bata deta h . Search engines bhi in trending topics ko apne ranking factors me shamil karta h .


Social media ke platforms facebook , whattsapp , YouTube aut  Instagram ko apne websites ke promotion ke liye bakhubi istemaal  karna chahiye .


In jaise platforms me post ,image , video ko logo dwara dekh kar agar share karte h to blog ka  ek brand ke rup me promotion hota h . Aur traffic aur search engine ranking me fYda hota h 


iii) .    Guest blogging


Apne blog ko popular karne ke liye guest posting ek accha vikalp h . Apne niche se sambandhit websites ko dhund kar guest  posting ke liye request kare . 


Guest posting ke liye high DA wali sites ka chunav kare . Ek bar guest posting ki permission milne ke baad badhia article likhkar apne site ke link ke saath bheje .


Agar aapki article ko websites owner dwara approved karke publish karta . Isse us websites se bhi aapko traffic milega aur website se do follow backlink milta h .


Search engines me traffic aur backlink se blog ke ranking improve hota h .


iv) .     Forum posting 


Aaj bahut sare aise question answer forum internet me moujud h .  Janh blogers apne blog related question karte h aur forum ke anya members un sawalo ke jawab dete h .


In forum ko join kar forum me puche gaye sawalo ka jawab dekar anya members ke bich blog ko promote kar sakte h .


Forum me sawalo ke jawab ke saath apna link share kar apne blog ko popular kare . Ye bhi ek karan hota h blog traffic aur rank high karene ke .


v)  .      Search engine submission 


Apne blog ko banakar publish karne ke baad sabse use sabhi search engines jaise google ,yahoo, bing yandexaur baidu aadi webmaster tool me jarur submit kare . 


Jiski madad se blog ke sare pages search engines me  index ho sake .



vi)  .     Blog commenting .



Apne blog ke related niche wale blog ku dhund kar uske post me comment karna . Blog post ko padne ke baad post sambandhit kuch acche comments karke nofollow backlink bana sakte h .


Blog comment ke saath apne blog ke url share karna jarur yaad rakhe . Jisse us blog ke readers aapke blog ko bhi jaan payenge .



vii)  .     Manage broken link


Kai bar blog me kuch mistake ke karan post ke links me gadbad ho jata h iske wajah se broken link ki samasya uttpapan ho jata h .


In broken links me click karne par error message show hota h . Jisse users aur search engine ko bad experience hota h .


Isse blog ki ranking search engines me down hone lagta h .




Aaj lr post me humne off page ke bare me jana off page seo kya h iske fayde aur ise kaise kare .

Ummeed karta hun aaj aap logo ko SEO karne ke off page tarike ke bare me maine apni post off page seo techniques kaise kare , in hindi dwara sahi jankari uplabdh karwa paya hounga .