Moj app kya h ? Isse paise kamane ke 5 asaan tarike ..



Aagar aap internet se paise kamane ki koi tarqib soch rahe h jisse aap kuch ghante kaam karke acchi kamai kar sake  . To aap ko ek baar jarur moj app ko try karna chahiye ye entertaining ke saath paise kamane ka ek  accha platform h .

Aapne tiktok app ke bare me suna hi hoga jo kafi jyada popular ho gaya tha . Par India me tiktok me ban lag jane ke baad . Moj aap ko uske alternative ke taur par armada gaya aur moj app bhi jaldi hi popular ho gayee .

Yanha log kai tarah ke video jaise dancing , singing , cooking , comedy aur bhi kai tarah ke entertaining video upload karte h jiske badle acchi kamai kar lete h . Agar aap bhi aise koi talent apne pas rakhte h to aap bhi is app se kamai kar sakte h , kaise janne ke liye article Moj app kya h ? Isse paise kamane ke 5 asaan tarike ko anth tak jarur pade .


Dream 11 apps se paise kaise kamaye


Moj app kya h ? Isse paise kamane ke 5 asaan tarike
Moj app kya h
               


Aaj ke lekh me moj app se Judi tamam jankarian janne aur is app se earning ke tariko ko janne ke liye article ko pura pade . Jisse aapko moj app ko samjhne aur us se paise kamane me koi pareshani na ho 



Moj apps kya h 


Moj app ek short video making platform h . Ek  aisea app  janha 15 se 20 second ka short videos jaise dancing singing cooking comedy  entertaining ya tech  ka videos banakar upload kiya jata h .


Short video sharing platforms jaise instagram reel aur YouTube short ki tarah moj app bhi ek short video sharing site h .


Ye puri tarah se ek Indian app h jise share chat ( ek popular app) walo ne 2020 me launch kiya h . Jo ki bharat ke lagbhag 15 bhasaon me chalaya ja sakta h .




Moj app ki visestayen ,features 



Is app me aap ko short video banane ki suvidha milegi jo ki 15 se 20 second ka hoga . Video ko editing karke sunder se present kar sakte h . Isme ek sur bahut acchi feature h jo ki lipsinking kahlata h . 


Lipsinking ke bare me yanha bata dun ye kisi bhi gayak ke dwara gaye  gaye songs ke bol ke anusar honth ko hilaya jata h . Iske saath hi ise use karna bahut asan h .


Users ki asani ke liye kai bhartiye bhasa ko support karta h . Isme kai tarah ke content ke upar videos bante h jaise  vlog dance song food comedy entertainment news aur shayari . Situation ke hisab se stickers aur emotions ke option bhi milte h .



Moj apps kaise download kare .



Moj app ko download karna bahut asan h yah aapke liye playstore me uplabdh h . Down load karne ke liye playstore me moj search kare . Sabse upar hi aapko moj app mil jayega .

Apps ko download karke install kar sakte h .




Kya moj app se paise kamaye ja sakte h .



Kya moj app se paise kamaye ja sakte h iss sawal ka jawab hoga haan bilkul moj app se paise kama sakte h . 

Par yanha aapka janna jaruri h ki hume sidhe taur par moj app se paise kamayee nahi hoti h .

Darashal moj app apne video par view ya phir follower ke badle koi payment nahi karta h balki hume kisi third party se  kamayee hota h . 

Iske liye huumare followers aur views dono bade kaam aate h . Third party se moj app ki madad se paise kaise kamaye aage hum janenge .  




Moj app se paise kaise kamaye


Moj se paise kamane ke idea ke bare me janne se pahle aapp logo ko ye bata dun jaisa ki humne upar bataya h . 


Moj app se hume direct kamai nahi hoti h balki app ke viewers  aur follower ki madad se dusre sites se paise kamate h .



1  .  Affiliate marketing 


Affiliate marketing internet me kamai  karne ke ek behtarin mouka h . Jo online income ke mamle me dudsre tariko se behtar ho .



Apne video me kisi product ke review ya promotion karte huye uspar apne affiliate link ko add  kar sakte h .  


Jaise hi koi viewers dwara apke diye huye link par click karke kuch kharidega tab aapko uske badle commission milta h .



2  .  Product promotion 


Moj app me aapke followers aur viewers ki sankhya ko dekhkar log apne product ke promotion ke liye paise dete h .


Product promotion me dhyan dene wali baat h galat chizo ka promotion mat kare . Aisi product jo gairkanuni ho  uska promotion karne par aap kanooni pachde me phase sakte h .



3  .    Sponsorship



Jab aap kuch popular ho jate h aur aapki followers ki sankhya acchi khasi ho jati h tab 

Brand wale aapse request karne lagte h ki aap unke produ t ki video banaye aur iske badle we aapko paise dete h .


Matlab aapko kisi dusre ke product ka promotion karna hoga aur uske badle wo aapko paisa dega .



4  . Other sites ppromotion 


Dusre aise site jo abhi naye h aur apne site ko grow karne ki koshish kar rahe h , wo chahte h aap apne sites par unke sites ka prachar kare .


Aap unke site ke promotion ke badle unse paise charge kar sakte h .



5  .   Blogging


Jab aapka channel grow ho jayega aur aapke follower acche khase jo jaayege to apne blog ka ad apne channel me promote kare .


Apne moj channel me apne blog ka promotion karke apne channel ke traffic ko blog me bhej kar income  kar sakte h .



Aaj aapne sikha moj app kya h isski khubiyaan , kanha aur kaise download kare kya isse paise kamaya ja sakta h aur paise kamane ke tarike .

Dosto aaplogo ko meri post moj app kya h ? isse paise kamane ke 5 asaan tarike pad kar iski jankari acchi lagi ho to ise apne dosto aur social media me jarur share kare .