Blogging ki chahat rakhne wale har us vyakti ke liye mobile se blogging kaise kare janna unki blogging safar ke udaan ko pankh lagne ke saman h . 


Blogging se log kamai bhi karte h jankar har koi blogging karna chahta h . Par jankari ke abhav me unka yahi sochna rahta h ki mere pass to computer ya laptop h hi  nahi to me blogging nahi kar sakta . We sochte h kas me mobile se blogging kar sakta . mobile blogging ke liye kuch jaruri app


To aise dosto ko me batana chahunga ki aap bilkul apne mobile se blogging kar sakte h . Ji haan aapne bilkul sahi samjha mobile se bhi blogging karna sambhav h aur bilkul laptop ya computer ki tarah asan bhi . Kaise ? Janne ke liye pade mobile se blogging kaise kare|mobile se blogging karna sikhe .







Mobile se blogging kaise kare
Mobile se blogging



Article ko padhkar aap asani se blog banakar aap apne blogging safar ka subharambh kar paayenge . Me article ko asan bhasa me likhne ka prayas karunga taki har padnewala ise asaani se samajh kar apne se blog bana kar blogging suru kar paye . To chaliye suru karte h ...






Kya mobile se blogging kar sakte h .




Ji haan dosto bilkul aap  mobile se  blog banakar blogging kar sakte h . Aaj aise kai platforms h jiski android app internet me moujud h . Bloger aur wordpfress aisi hi site h jinki android app bhi uplabdh h .

Iske alawe article lihne aur image banane ke kai apps h jo blog likhne aur image banane me madad karta h .

Likhne me aapko problem hoti h to aap voice typing app ki madad se likh kar copy kar sakte h .

Blog likhne, image banane , download karne , promotion karne , blog ko Trac karne ke liye kai apps jo mobile se blogging ko asaan bana deta h .







Mobile se bogging ke liye jaruri h




Mobile se blogging karne ke liye , pahle ek blog banane ke liye ek  smartphone aur acchi internet connection ki jarurat hoti h .

Aaj ke android phone me kafi features honte h jo lagbhag computer aur laptop me hote h . Isliye jinke pas laptop ya computer nahi h unke liye mobile se blogging karna asaan ho jata h .

Ab laptop ya computer ke na hone ke karran mayush hone ki bilkul bhi jarurat nahi h kyunki ab yahi kaam yaani mobile se bji kiya ja sakta h .



Mobile se blogging kaise kare  



Blogging karne ke liye ek platform ki jarurat hoti h . Jyadatar blogers WordPress aur Bloger platforms ka use karte h . Hum bhi inhi dono platforms ki baat karenge .Yanha aapko bata dun in dono hi platforms ki android app bhi playstore me available h .


In platforms me blog banakar blogging karne ke liye hume kuch aur apps jo ki blogging me jaturat hota h . Chaliye hum samjhte h mobile se blogging kaise aur kiski madad se kar sakte h .


Bloger aur wordpress blogging platforms 


Bloger aur wordpress dono platforms ko hum kisi bhi browsers se apne mobile me  open kar sakte h . Wanhi blogging karne ke liye in dono platforms ke android app bhi moujud h . Jise download kiya ja sakta h .


Ab in dono me account banane ke liye sabse pahle bloger.com ya wordpress.com ko open kare . Ab email ID aur password ki madad se apna blog bana le .


Yanha aaplogo ko bata dun bloger google ki hi ek products h are puri tarah free h . Wanhi wordpress me blogging ke liye hosting ki jarurat hoti h . Yani wordpress me blogging karne ke liye aapko paise kharch karne padenge .


Blog banakar settings karne ke baad aata h blog me content likhne ki bari .


Blog ke liye mobile se content likhne me  uske chote screen ke karan thodi paresani hoti h .. Chotey screen aur chotey keyboard ke karan usme type karna muskil hota h .

Old blog post ko update kaise kare

Blog me khud ke pageview ko kaise count se hataye

Bloger post publishdd karne ke baad url kaise change kare

Bloger blog me background image and colour kaise change kare .








Voice typing -ya notepad 



Jaisa ki aap jante h blog banane ke baad ab usme article likhna hota h . Par blog me direct likhne ke bajaye pahle rough work kar lena chahiye . Notepad par likhna acha hota h jise baad me check karke blog me copy kar dete h .


Par notepad par mobile se likhne me choti screen ke karan muskil hota h  . Aise me voice typing  bahut madad karta h . Janha content ko bolkar type kiya jata h .


Kisi bhi content ko pahle bolkar voice typing ki sahayata se text rup me parivartit kar diya jata h . Ek baar puri article taiyyar ho jaye to use copy kar  blog me paste kar dete h .


photo editing app se image banana .



Blog me image ki importance aap bhali bhanti samjhte honge . Har nlog me kam sr kam ek image jarur hona chahiye . Aise aur bhi apps h jo ki image banane me madad hota h .

Kai site image  ko download karne ki suvudha deta h . Par image download karne me kabhi kabhi copy right ki samassya ho sakta h . Isiliye photo editing shop ya canva dwara asani se image bana sakte .

Photo editing se fayda ye hota h apne manpasand images ko edit karke apne blog use kar sakte h .


Photo ya image ke size ko kam karna 


Photo editing karnne par image ki size  jyada hone par load hone me pareshani hoti h . Jissr blog ko speed me asar hota h .

Iske liye mobile se  chrome me jakar image compressor choose kare .aur apne image ki size ko control kare .


Google search console me add karna .


Blog ko banane ke baad use jaldi index karne ke liye blog ke url ko search engines me add kare .

Google analytic 



Blog par aanewale traffic ko track karne ke saath .blog ki earning ko monitor karnemr analytic help karta h . Google analytic app aur browser dono me khulti h .

Google adsense 


Google adsense app aur browser dono me hi barabar khulta h . Blog ki earning ko track karta h .blog me ads dikhane ke liye google ke adsende se approval lena hota h .

Blog promotion 


Blog bana lene ke bad use publish karne ke baad blog me traffic lane ke liye social media me share kare.

Social sites par apne blog ka promotion kare .social site jaise Facebook, linkdin pinterest aadi me account banakar usme post kare .


Mobile se blogging ke fayde


1 .  Mobile se blogging karne ke kai fayde h . Aaj har kisi ke pas apna mobile hota hi h . Jise har waqt apne saath hi rakhte h . Isliye aap kabhi bhi aur kanhi se bhi blogging kar sakte h .

2 .  Khali samay me aksar log timeless karte h par aap khali samay ka upyog kanhi bhi blogging karne me laga sakte h .

3 .  Mobile ko aap kanhi bhi lekar ja sakte h laptop ya computer ke saath aisa nahi kar sakte. Bus acchi internet onectivity honi chahiye .





Mobile se blogging ke nuksan 


1 .  Ye sahi h ki hum mobile se blogging kar sakte h par blogging ke aise bahut se kaam h janha hume computer ya laptop ki jarurst mshsus hoti h .

2 .  Mobile ki screen choti hoti h wanhi laptop ya computer ki screen badi hone ke karan article likhne me asani hoti h .

3 .  Blogging karte samay aur bhi bahut sare kaam h janha laptop computer ki apexha mobile se karne me hume kafi samay lag jata h .

4 .  Mobile ki apecha laptop ya computer me time ki Bacharach hoti h .

5 .  Mobile se hum kisi core websites ki file kholne me asamarth ho jate h .

6 .  Blogging ke liye jaruri keyword research me laptop sahi hota h .


Conclusion


Aaj aapne kya sikha  mobile sebhi hum blog banakar blogging kar sakte h  . Mobile se blogging ke liye jaruri chize . Mobile se blogging karne ka tarika . Aur ant me mobile blogging ke fayde aur nukshan ke bare me bhi jane .




Dosto ummeed karta hun aap logo ko meri ye post mobile se blogging kaise kare | mobile se blogging karna sikhe  acchi lagi hogi . Agar post ki jankari acchi lagi ho to apne dosto aur social media me jarur share kare .