Mobile blogging ke liye jaruri apps




Dosto agar aap bhi  blogging karna chahte h par sirf isliye blogging nahi kar pa rahe h kyun ki aapke pas computer ya laptop nahi h . To aap logo ko batana chahunga ab aap logo ki blog likhkar blogging karne ki tamanna aap apne mobile ki madad se pura kar sakte h . Ab aap kuch mobile apps ki madad se apne mobile dwara hi apne bloger banane ke sapne ko sakar kar sakte h .


Mobile ke badte huye prabhav aur upyog ke karan mobile se blogging ko asan banane ke liye kai apps internet me moujud h . Aap bhi apni blogging ke sapne ko pura karne ke liye pade mobile blogging ke liye kuch jaruri apps .



Mobile blogging ke liye kuch jaruri apps .
Blogging apps



Mobile ki pahunch har vyakti tak hone ke karan aaj har online kaam ko mobile users ke liye asan banane ke liye aaj kai apps h . Jiski madad se aaj blogging bhi kuch apps ki madad se asan ho gayee h .



Mobile blogging kya h 



Blog ki popularity ke saath iske banane ke tariko me bhi kafi badlav aaya h . Pahle computer aur laptop ki madad se blog likhe jaate the par ab mobile se bhi badhut asani se blog banaya ja sakta h . Mobile se blog banane aur article likhkar publish karne ko mobile blogging kahte h .


Aaj mobile users ki tadad me teji se badotari ke saath hi ab users mobile se blog banana pasand karte h . Jiske liye kai app internet  me moujud h .

Mobile se blogging ko asan banane ke liye kai tarah ki apps h jo blogers ko blogging me add karta h aise hi kuch blogging apps ki charcha hum aage karenge .



Mobile blogging apps kya h .



Mobile users ke liye blogging ko asan banane ke liye mobile blogging apps ki madad padti h . In apps ki madad se computer aur laptop ki tarah mobile se bhi bahut sunder blog banaya ja sakta h .

In apps me se kuch apps multi use ke liye hota h hum uska use mobile blogging me karte h . Aage hum un apps ke bare me baat karenge .




Mobile blogging app ke fayde



Mobile blogging app ke karan Mobile se blogging karna bahut asan ho jata h iske kai fayde h 


i)   .   Mobile se post likhne me madad milegi .

ii)   .   Blog ke liye image create kar sakte h ..

iii)  .   Blog ke liye image download kar sakte h .

iv)  .   Search engines me blog ki performance dekh sakte h .

v)  .    Blog ki traffic check kar sakte h .


Seo kya h ? Seo kaise kare aur ye kyun jaruri h

On page SEO kya h ? Optimize karne ke 12 techniques .

Table of content kya h bloger me TOC kaise lagaye

Backlink kya h aur kaise banaye backlink ke fayde







Mobile blogging ke important apps .



Mobile blogging ke liye hume kuch apps ki jarurat hoti h jise hume apne mobile me install karna hota h . Jo aage blogging me bahut nadad karta h aur mobile se blogging ko asan bana deta h .

Yanha mobile blogging ke liye jaruri kuch apps ...


1 .    Blogging platforms ( Bloger and wordpress )

Blog ko online karne ke liye ek blogging platforms ki jarurat padti h . Janha apne blog ko internet me online karke logo ke saath apne blog ko share kar sakte h .


Jiske liye hume aisi platform ki jarurat hoti h jo use karne me asan hone ke saath blogging ki acchi suvidha bhi pradan karti ho . Yanha aise 2 platforms ka jikr karunga jo use karne me asan aur blogging ke best suvidhaon se les hone ke karan har bloger ki pasand hoti h .


Bloger ----  Bloger ya blogspot.com blogging ki ek acchi aur viswasniya  platform h jo ki google ki hi ek product h . Naye bloger ke liye bilkul free me blogging suru karne ka ek acchz platform .

Ye use karne me bahut asan aur blogging ke suvidha yukt dusra sabse famous blogging platform h . Jyadatar blog isi platform me suru ki jati h . 

Ise desktop ua mobile dono me use kar sakte h , websites ki apeksha iske apps ko mobile me use karna jyada suvidhajanak hota h .


Wordpress ---- jaisa ki aapko pata hoga wordpress sabse famous blogging platform h . Aaj jitne bhi popular sites h usme se adhikansh isi platform me bane hote h  ua kah sakte h famous blogers ki pahli pasand wordpress hi hoti h .


Wordpress ka itna popular hone ka karan isme milne wale features h . Jo ki blogging ko aur bhi asaan bana deta h .


Wordpress app use karke mobile se wo sara kaam kiya j sakta h jo iske websites se laptop ya computer me kiya jata h



2  .   Image ke liye ( Canva and pixabay )


Aap logo ko malum hi hoga ek article me image ki kya mahatva hota h . Aapne ye kahawat ek image hajar words ke barabar hota h jarur suna hoga . Isliye article me ek image to jarur hona chahiye . 


Yanha chahe to aap image bana sakte h ya kisi sites se download kar sakte h jo ki copyright fee ho . Yanha me aapko 2 apps batana chahunga .


Canva -----  Article me aap khud se bhi image banakar use kar sakte h , Aise hi ek app h canva jo use karne me kafi asaan h , isme aap har tarah ki image   logo , thumbnails poster kuch bhi bNa sakte h .


Canva apps ko aap playstore se download kar sakte h . Yaanha kai tsrsh ki templates images hoti h jise use kar manchaha image bana sakte h .


Pixabay-----  free  aur copyright free images ke liye pixabay ek acchi site jiska apps aap ko play store me mil jaayega . Yanha copyright free images bilkul free of cost available hota h . Jiska istemAl hum apne blog article me kar sakte h .


3  .    Article likhne ke liye (Microsoft word ya notepad )



Article ko direct blog me likhne se accha h use pahle kisi rough work ki tarah likh kar use check kar blog me likhna thik rehta h . Iske liye aap Microsoft word aur notepad ka use kar sakte h 


Microsoft word---   Aap ne Microsoft word ka use computer aur laptop me kiya hi hoga  . Isi ki tarah likhne me asani aur sare feature hume iske apps me mil jati h jise play store se  download karke use kiya ja sakta h .

Apne article ko jaise chahe waise arrange kar likh sakte h . Jo ki ek article ko likhne me lagt h .
Notepad ---- Notepad me aap jab chahe article likh sakte h , chahe aap offline hi kyun na ho . Saamay ke abhav me aap puri article ek bar me nahi likh pate , adhiri article ko save kar bad me use pura


4  .    Quora


Blog me article likhne ke liye Apko hamesha naye naye ideas ki jarurat padegi . Quora ek sawal jawab sites h janha blog websites se jude sawal jawab kiye jate h

Quora apps playstore me available h janha se download karke naye content ideas pa sakte h .


5  .    Buffer app


Blog ko likh kar publish karne ke baad . Apne blog ke promotion ke liye hum sabhi social media par apne blog ko share karte h jisme kafi samay lag jata h .

Aise me aap Buffer app ka use karke apne blog ko ek saath sabhi social media platforms me share kar sakte h . 



5  .    Google Analytics


Blog ki traffic ko dekhne aur adhyayan  ke liye Google analytic tool ka use karte h jo kafi asaan hota h aur hume traffic ki sahi information deta h .

Yahi hum apne mobile me bhi traffic ki jankari analytic app ki adad se laga sakte h .

Google analytic app me bhi wo sare features hote h jo analytic tool me hots h .

 

6  .    Google adsense


Google adsense blog par hone wali earning ko track karta h . Google adsense blog ki kamai ka mukhy sroth h . Ise computer aur laptop ki tarah apne mobile par dekhne aur track karne ke liye iske app ko download karke .

Blog ki earning report , page view ,CTR aur click ki updated report  ko apne mobile me dekh sakte h .


Conclusion 

Aaj ke article se humne sikha mobile se blogging karne ke liye jaruri mobile blogging app kya h   iske kya kya fayde h aur mobile blogging ke kuch jaruri apps ke bare me jankari .

Dosto agar meri article aaplogo ko acchi lagi ho aur meri article mobile blogging ke liye kuch jaruri apps ki jankarion se kuch sikhne ko mili ho to apne dosto aur social media me jarur share kare .