Domain name kya hota h ?
Domain name kya hota h ise aap jarur janna chahenge , aaplogo ne to iske bare me pahle se sun rakha hoga par kya aap jante h domain name kyun jaruri h aur kaise kaam karta h tatha iske prakar .
Aaj hum domain name ke bare me vistar se janenge . Aap internet use karte ho to domain ke bare me akshar sunte bhi honge .
Jin logo ko domain name kya h ke bare me koi jankari nahi h unko batana chahunga is article ko dhyan purvak anth tak pura pade jisme aapko domain ke bare me sari jankarian mil jaayegi .
Article me aapko domain kya h , domain name kyun jaruri h iske fayde , kaise kaam karta h aur iske prakar ke bare me jankari milne wali h . To is article Domain name kya hota h ? 2022 me ko jarur pade .
DomN name ? |
Blog ya websites ke liye ek domain name jaruri hota jo blog websites ke name hone ke saath hi ek pehchan bhi hota h . Jise internet me blog ka address kaha jata h . Chale ab hum domain name ke bare me kuch aur jankarian share karte h .
Domain name kya h ?
Domain name ek website ya blog ka name hota h . Jo internet me websites ka address hota h jiske sahare koi bhi user internet me aapke blog ya websites tak pahunch sakta h .
Jaise kisi Sahar me aapke ghar ke address ko follow karke koi bhi us Sahar me apke ghar tak pahunch jata h .
Aapne computer aur internet me ip address ( internet protocol ) ka jikra suna hoga jo ki internet me kisi websites ka address hota h . Ye ip address number me hota h jise machine to yaad rakh pate h par aam admi ke liye ye muskil hota h .
Ek aam admi jyada se jyada kuch hi ip address yaad rakh sakta h par adhik ip address yaad rakhna mumkin nahi h jiske karan ip address ki jagah domain name use kiyya gaya .
Ip address ki apedha Domain name ko yaad rakhna asaan hota h . Domain name se hum kai websites ko pehchan pate h . Waise machine aaj bhi hamare blog websites ke domain ko ip address se hi pehchanta h .
Domain ko registration karakar hi blog ya website me use karte h aur har domain dusre domIn se alag hi hota h . Kabhi bhi 2 website ka ek domain name nahi ho sakta h usme kuch na kuch alag hota h wo chahe to number ya letters kuch bhi ho sakta h .
Ab to aapko domain name ka matlab samjh aa gaya hoga .
Mobile blogging ke kuch jaruri apps
Domain kaise kaam karta h
Internet me hume jo bhi data dekhne ko milti h darashal we data kisi na kisi websites ki hoti h jo ki kisi server me store hote h .
Internet me moujud in servers ko hosting kahte h aur har domain inhi server par registered hote h . Domain ko jab in server se connet kiya jata h tab domain name ko server ke ip se jod diya jata h .
Internet me jab bhi koi users kisi browser se kisi domain ya uske data ko search karta h . To us domain se sambandhit data jo ki server me store hota h , internet ki madad se users ke browser me show hone lagta h .
Domain ke prakar ( Type of domain ) .
Aapne dekha hoga domain name 2 bhago me hota h ya likha jata h . Usme se ek domain ka name hota h aur dusra (.) Ke baad extension ke rup me likha jata h .
Ye extension alag alag hota h jo alag alag purpose ke liye hota h . Jaise example.com , example.in .
Isme se extension ke pahle jo domain name hota h wo badalta h use apne iccha anusar badal sakte h . Par extension wala bhag nahi badal sakta h . Wo fix rahta h .
Domain name ko uske extension ke adhar par 3 bhago me banta gaya h jo alag
( 1 ) Top level domain ( TLD )
Domain name se websites ke motiv ka pata chalta h ki blog kis uddesya se banaya gaya h . Alag alag udesyo ke liye banaye blog ki extension bhi alag hota h .
Top level domain ( TLD ) ke saath pure world ke logo ke saath interact kar sakte h . World me koi bhi kanhi se bhi aapke blog website ko access kar sakte h . Examples of TLD hai ....
(i) .Com ( commercial )
(ii) .net ( network )
(iii) .org ( organisation, NGO's
(iv) .gov ( Government )
(v) .edu ( educational )
(vi) .info ( information )
( 2 ) country code Top level domain (CCTLD )
Country code TLD aise domain name hote h jo bilkul iske name se anusar ye kisi particular country ko dhyan me rakh kar banaya jats h .
Is tarah ke domain kisi ek country ke liye bane hote h jise sirf usi country ke users excess kar sakte h . In domain name ke extension me (.) ke baad 2 letters hote h . Jo kisi country ko represent karte h
Yanha CCTLD ke kuch example .....
(i) .in ( India )
(ii) .us ( USA )
(iii) .au ( Australia )
(iv) .uk ( United kingdom )
(v) .jp ( Japan )
3 . Sub Domain
Sub domain , main domain ka hi ek chota sa part h . Ek main domain me aise hi 100 subdomain banaye ja sakte h .
Sub domain ke liye alag se paise nahi lagte h ise aapke main domain ke saath hi banaya jata h . Yaani subdomain ke liye aapke pas ek domain hona chahiye .
Maan lijiye aapke pas ek domain h example.com agar aapko sub domain(xyz) banana h to use aapke main domain se jodkar banayenge jaise ki xyz.example.com .
Yanha xyz apka subdomain h jo main domain ( example.com ) par bana h Aap ne aise bahut se subdomain dekhe honge .
Domain kaise select kare
Apne blog ya websites ko ek naam ek pehchan dilane aur popular karne ke liye apne blog ke domain name ko savdhani purvak select karna chahiye . Blog website domain name select karne ke tips .
(i) . Domain name chota aur asani se yaad ho aisa select kare
(ii) . Top level domain select kare
(iii) . Domain apne blog niche ke anusar select kare
(iv) . Unique domIn name sabse alag .
Domain name registration , kanha se kharide
Blog ya websites banakar use online karne ke liye ek domain ki jarurat hoti h jo hume market me uplabdh bahut sari companies se mil jayegi . Yearly ke hisab se aap domain kharid sakte h .
Aam taur par compania domain ke sath hosting bhi bechti h . Par aap dono alag alag companies se bhi purchase kar sakte h. Domain provide karne wali kuch companies .
(i) . Godaddy
(ii) . Bigrock
(iii) . Namecheap
(iv) . Hostinger
(v) . Google
In sites se domain register karke apne blog ya website se connect karne ke liye . Domain provider companies ke DNS me jakar kuch settings karke apne blog ya web sites ko add kar sakte h .
Conclusion
Aaj aape kya sikha domain name kya hota h , domain kya h domain kIse kaam karta h ye kitne prakar ka hota h kaise select kare aur blogging ke liye domain kanha se karid kar register kare .
Dost aaaj ke post me aapne sikha domain name kya h aur agar aapko jankarian accho ho to hamari article Domain name kya hota h ? 2022 me ko apne dosto sur social media me jarur share kare .
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें