Domain name kaise aur kanha se kharide . Bigrock tips .




Kya aap apne blog ke liye ek domain karidna chahte h par is baat se pareshan h ki aapko domain kaise aur lanha se kharide iski paryapt jankari nahi h .

Aaj ke  post me hum isi visay me baat  karne wale h . Aur aap ko domain provide karnewale  acchi sites ke bare me batane ke saath hi domain karidne ki sari process batane wale h .

Jisse aapko apne liye ek acchi domain kharidne me madad hogi aur aap apne pasand ka domain kharid sake . Domain kharidne se pahle pade domain name kaise aur kanha se kharide , bigrock tips .


Domain name kaise aur kanha se kharide  bigrocks tips



Blog ya websites banane se pahle uska ek accha sa name select karna hota h aur phir usi name se domain bhi book ki jaati h yani kharida jata h . Blog ke liye domain select karne ki kuch tips aur domain kharidne ki bare aage janne wale h  , chaliye aage badte h


Domain name kaise select kare


Chaliye aap ko domain name select karne me kuch madad kar deta hun jisse aapko apne domain name select karne me asani hogi . 

Sabse pahle aisa name soche jo chota ho jise log asani se pronounce kar sake aur asani se yaad rakh sake.

Accha name rakhne ke koshish me 4 se 5 word ka name select na kare koshish kare domain me kam hi word ho . Jaisa ki humne badi companies ke domain me dekha h .

Apne niche se miltajulta name rakne ki koshish kare . Aisa name users ko asani se yaad rahta h .

Name select karte samay dhyan de domain ke spelling me koi mistake na ho . Jo aage chalkar pateshani khadi kare .

Jo bhi name select kare us name ka koi meanings hota ho . Aisa naam jiski koi meanings hi na ho users ko pasand nahi aata aur we ise yaad bhi nahi rakh pate h .




Domain kanha se kharide




Internet me aise bahut sari websites h jo domain provide karti h  . Kuch websites free me bhi domain name deti h par aako apne liye best domain select karna h . In free wale domains me aage chalkar bahut pareshani hoti h .

Isililiye domain kharidte samay soch samjh kar acche domain hi kharide jo users aur search engines dono ki pasandida bhi ho .

Chaliye me aapko domain kharidne me kuch help kar deta hun , me aapko kuch acche sites ke bare me bata raha hun janha se aap top level domain kharid sakte h  .

Ye kafi viswasaniy websites h aur jyatadar blogger bhi inhe prefer karte h . Yanha ek baat aap logo ko batana chahunga  domain kharidne ke liye jis site ko bhi choose kare , usme milne wali service par bhi dhyan dena chahiye .

Maan lijiye aapne kisi site se domain purchase kar liya par uske baad usme koi problem hone par agar unse koi accha response na mile to aisi sites se domain lene ka kya fayda h .

Yanha me aaplogo ke liye kuch acche websites ka name suggest kar raha hun jo domain name provide karti h .

( 1 )  .    Godaddy.com

( 2 )  .    Bigrock.in

( 3 )  .    Bluehost

( 4 )  .    Hostgator

( 5 )  .    EasyDNS


Ab in sites ko dekhkar confuse mat ho jaye ye sari kafi acchi sites h jo kafi acchi service deti h . Kabhi  kabhi In sites par discount bhi chal raha hota  h jisse ye discount rate me bhi domain uplabdh karwati h .

Ab to aap domain ke liye websites ka chunav karne me confuse nahi honge . Waise maine apne blog ke liye bigrock se domain liya h . Aur meri personal experience is websites ke liye ab tak bahut acchi h .


Blog post ko update jaise kare

Domain authority kya h

SEO kya h seo kaise kare aur ...

Domain name kaise kharide


Upar bataye gaye domain registrar websites me se main aapko bigrock company se domain kharidne ke prakriya ke bare me bataunga . Kyunki maine apni domain is company se purchase kiya tha.

Waise lagbhag sari companies se domain kharidne ki prakriya same hi hoti h . Aaj hum bigrock company se domain kharidne ki prakriya ke bare me janenge .

Sabse pahle bigrock ke official website ( www.bigrock.in ) par jane ke liye apne browser me  bigrock.in type kare. Aapke samne bigrock ka screen  hoga . Janha aapko domain search karne ko kaha jayega . 

Maan lijiye humne xyz.com domain enter karke search kiya . Next picture me aap dekh sakte h wanha xyz.com to nahi par xyz domain anya extensions ke saath uplabdh bataya ja raha h . 

Iska matlab h kisi ne pahle se xyz.com ke name se website banaya hua h . Aapko xyz dusre extension ke saath suggest kiya jayega agar aapko lena ho to aap ise try kar sakte h anyatha dusre domain name ko search karna hoga .




Domain name kaise aur kanha se karide




Ab agar aapke pasand ka domain search karne par  available bataya jata h to aap use purchase kar sakte h . Iske liye aap ko uske thik samne  buy ke button me click karna h . 


Domain name kaise aur kanha se khatide




Ab aapke samne ek screen aayega usme checkout per click kare .



Domain name kaise kharide


Aapke samne ab dusra screen show hoga jisme aapko apni jankari bharni h . Maangi gayee jankari bhar lene ke baad next par click kare .


Ab aapke samne aapke dwara select kiya gaya domain show hoga .

Aapko ab decide karna h ki aap aone domain ka registration kitne Salo ke liye karenge . Yanha aap ko 1 saal se lekar 5 saal tak ka vikalp milega . Waise aaplogo ki jankari ke liye bata dun domain ka registration jitni adhik saalo ke liye kiya jaata h usme discount milti h .

Yanha aapko bigrock me account banane ko kaha jaayega agar aapka account pahle se h to sign in kare anyatha aapko account create karna hoga .


Domain name kaise aur kanha se kharide






Ab aapko apne payment vikalp ko select karna h aap jis vikalp se chahe domain registration ke liye payment kar sakte h .

Payment ki process sucessfully hone ke baad domain aapke naam se registered ho jaayega .


Conclusion 

Aaj humne sikha apne blog websites ke lie hum ek domain name kaise select kare , acche domain provider's janha se hum domain kharid sake .  Aur bigrock company se domain kaise kharide .

Dost aaj ki post domain name kaise aur kanha se kharide bigrock tips pad kar agar aapko jankari acchi lagi jo to isse apne dosto aur social media me jarur share kare .