eBook kya h ? Know ebook in hindi .
Dosto bachhpan se ab tak humlogo ne kai tarah ki books padi h . Kisi bhi jankari ke liye hum books ko hi follow karte the . Book hi hamare liye gyan ka bhandar hoti thi . Aaj bhi books jankararion ka accha sroth h , is badlte parivesh me aaj bhi log books padna pasand karte h .
Par jaise aaplogo me se kafi logo ko malum hoga ab books ke prarup me bhi kafi kuch changes hui h , ab Paramarik kagaz ke books ke saath ebooks bhi logo ke liye uplabdh h . Jin logo ko nahi malum h unhe bata dun ebook yani electronics books . Jisse hum electronics device ki madad se pad sakkte h ebooks ke bare me janne ke liye article ebook kya h ? Know e books in hindi jarur pade .
Internet ke fayde aur nukshan in hondi
E book kya h .
eBook jiska full form hota h electronics book jisme e ka matlab electronics h . eBook ek digital books hoti h jo bilkul Paramarik books ki tarah hi hoti h . jisme article picture aur image bhi book ki tarah hi hoti h .
Hum kah sakte h yah book ya kitab ka digital rup hota h jise hum computer mobile jaise electronics devices ki madad se pad sakte h .
ebooks kai format me hoti h par sabse jyada popular iski PDF format hi h . Jo kai tarah ke electronic devices me support karta h hum jyadatar mobile ya laptop par iska use karte h . Ise kanhi bhi apne saath lekar ja sakte h saath hi ise share bhi kar sakte h .
eBooks aur paper book me kya fark h ?
eBooks aur paramparik paper book me bahut jyada difference nahi h dono me hi readers apne manpasand topic ko padte h . Dono me text article , picture aur image bhi ek prakar hi hote h .
Par ek books ko hum physically feel kar sakte h use touch kar sakte h par ebook ek digital books hone ke karan hum use touch nahi kar sakte use sirf internet ke madhyam se kisi electronics devices se pad sakte h .
Janha hum paramparik books jo kagaz par likhi hoti h , padte h . Par wanhi ebook ek digitally books hone ke karan hum use electronic devices ke madad se padte h .
Hum kanhi bhi jaane par apne saath books carry karne par paredhani hoti h par ebooks ko digitally padne ke liye kanhi bhi hum apnre mobile ka use kar sakte h . Kahne ka matlab h books ke muqable ebooks ko carry karna asan h .
Books ke aksharo ki likhwat ko hum change nahi kar sakte par ebook ke fonts ko hum kam ya adhik kar sakte h .
Ye thi kuch books aur ebooks ke bich kuch differences . Ab hum iske fayde ke bare me janenge .
eBooks ke fayde
Sabse bada fayda to ye h ki apne saath kanhi bhi lekar ja sakte h wo bhi ek ya do nahi balki bahut sare ebooks .
eBooks ko kharidne ke liye kisi dukan me jane ki jarurat nahi h ghar baithe apne mobile ya laptop me download kar sakte h .
Kai sites me aapko ebooks free me padne ko mil jata h yani padne ke liye paise kharach karne ki jarurat nahi h
Apne dosto ke saath easily share kar sakte h
Apne topics ke text ki size yani text font ki size ko manchaha aakar desakte h . Jisse kamjor dristi wale readers ko padne me asani hota h .
eBooks bahut kam space me bahut badi sankha me sangrah kiya ja sakta h . Space kam leta h .
Kisi bhi page par aasani se pahuch sakte h uske liye page ko upar niche karne ki jarurat nahi padta h .
Kisi bhi page ke koi khas word ko asani se khoj sakte h .
eBooks ko kharidne ya download karne ke liye time dekhne ki jaruurat nahi hoti h raat din ya kabhi bhi purchase kiya ja sakta h .
ebooks kaise banaye .
Humne ebook ke bare kafi baatein share ki ab hum ebook banane ki prakriya par baat karenge .
eBook banane ke liye agar aapko MS Word par kaam karne ki jankari h to aap bahut asani se ise bana sakte h . Agar aap ko MS Word ki jankari nahi h to koi baat nahi thodi si practice ke baad aap asani se ise operate kar sakte h .
Aap laptop ya mobile kisi par bhi MS Word ka use kar sakte h ye dono par hi acchi tarah se support karta h . eBook banane ke liya apne laptop ya mobile par MS Word ko install karle .
1 . MS Word ko open kare
eBook banane ke liye MS Word sabse bdhia tarika . Ye operate karne me bahut asan h . Thodi se koshish karke asani se ise operate kar sakte h .
Blog post google me show ho raha h ys nahi kaise jane .
2 . eBook likhna suru kare .
MS Word open hone ke baad apne ebook ke liye topic likhna surukare . Likhne ke liye sahi format ka prayog kare jaise heading images paragraph . Jaise baki ke article likhte h usi tarah topic ke bare me details me likhe.
Topic ke bare me accha se likhne ke baad PDF ebook banane ke 2 option h .
i . Internet ki madad se Word to PDF converter use karke Pdf ebook bana sakte h .
ii .. Dusra tarika h MS Word se direct save karke . MS Word se direct save as PDF file me karke ebook banta h .
Dono tariko ka use karke hamara ebook ban kar ready ho jayega .
Blog ko google search console me kaise add
To dosto aaj ke post me humne kiya sikha , aaj ke post me humne sikha ebook kya h ebook ke fayde aur ebook kaise banaye .
Aaplogo ko meri post ebook kya h ? Know ebooks in hindi , kaisi lagi . Ummeed karta hun post aap ko acchi lagi hogi jankari acchi lagi ho to apne dosto ke saath share kare .
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें