Custom redirect kya h ? Bloger me url redirect kaise kare


Dosto aapnne blogging me custom redirect ke bare me jarur suna hoga . Kya hota h ye custom redirect , iski jarurat kyun padti h kya ye blog ke liye jaruri hota h .

Aaj ke is  post me hum blogging ke important feature custom redirect ke bare me janenge  . Apne blog me users ko sahi information dene or acchi users experience ke liye , blogging me kai bar hume apne kisi invalid post link ke traffic ko kisi dusri post ke page me show karana padta h .

Kisi url ke traffic ko kisi dusre url me bhejne ko custom redirect kahte h , isse janne ke liye pade Custom redirect kya h ? Bloger me url redirect kaise kare  .




Custom redirect kya h ?bloger me url kaise
Custom redirect kya h 




Custom redirect kya h 




Custom redirect bloger ka ek aisa feature h jisme ek url ke traffic ko kisi dusre url ko bheja  jata h . Blog ke kisi invalid post url ko kisi dusre post ki aur modna ya redirect karna custom redirect kahlata h .

Hum blog me new  post likhne ke saath hi kabhi update karte h ya kabhi koi post delete bhi karte h . Jisse un post ke link par click karne par error show hone lagta h .

Visitors aur users ko un post ki information dikhane ke liye unke url ko naye url me redirect kar diya jata h . Yani invalid ya broken link ko naye url ki aur mod diya jata h . Jisse users ko un url ki jankari mil sake .

Custom redirect me url ko 2 tarah se redirect kiya jata h . 

Aise url jiski jagah hum kisi dusre url ka page kewal kuch dino ke liye dikhana chahte h yani temporary redirect karna chahte h use 302 redirect kahte h .

Jin url ke badle hum permanently kisi dusre url ka page dikhana chahte h wanha 301 custom redirect ka use karte h .






Custom redirect kyun kare



1  .    Jab hum apne kisi post ke url me koi changes karte h ya use delete kardete h tab . 
Agar koi post google me indexed ho aur uske url me koi changes ya delete kiya jaye to aise url ko search result page me click karne par 404 error show hota h jise fix karne ke liye custom redirect dusre url me karna padta h .

2  .    Blog ke broken link jispar error 404 ka message show hota h . Yanha custom redirect ka use kar apne visitor ko khone se bach sakte h .

3  .     Url banate samay spelling mistake ki jankari baad me hone ke karan use change karnecki jagah custom redirect karna sahi hota h . Nahi to traffic khone ka dar rahta h .

4  .       Kuch post kuch samay ke karan outdated ya phir koi khas labhkari nahi hone ke karan use naye post me redirect kiya jata h .

5   .       Apne blog ke platforms changes karne par . Jaise bloger ke url aur wordpress ke url me farak hota h .  Aise me url ko redirect karke apne visitors ko page ka information show kar sakte h .



Custom redirect ke fayde 



Blog me custom redirect se hone wale kuch fayde 



1  .  Blog me temporary aur permanently url ko redirect kar sakte h .

2  .  Expire url ko naye url me show kara sakte h .

3  .  Error 404 se hone wale pageview ke nuksan se bach sakte h .









Custom redirect kaise kare



Agar blog ke kisi bhi post url me aisi koi bhi spelling mistake ,  changes ya delete hone ke karan error show hoti h , to aise post ke url ko kisi dusre url me redirect karna hota h .

Chaliye ab hum bloger ke url ko custom redirect karke kisi aur url me show karenge .

1  .  Sabse pahle bloger ke dashboard se setting select karke errors and redirect  me click kare .

2  .   Errors and redirect me custom redirect option ko select kare . 


3  .  Ab aapke samne custom redirect ka ek window khulegi usme aapko add par click karna h .


Custom redirect kya h ?








4  .   Add par click karte hi aapke samne ek aur window khulegi jisme  from ke samane invalid url ( jise aap redirect karna chahte ) ko likhna h . Uske baad to ke samne naye url janha aap invalid url ko show karna chahte h likhe .




Custom redirect kya h ?





5  .    Dono url entry kar lene ke baad ab aapko dekhna h  aapko redirection hamesha ke liye Jari rakhna h ya kuch samay ke liye . Window me niche permanent ke option se redirect ko on kar  permanently kar sakte h . Ya temporary karnavho to use waise hi rahne de .

6  .      Custom redirect ke permanent option ko select kar lene ke baad ab ok par click kar le .

7  .      Aakhiri me save changes me click kar le . 

Bas ab aapke blog me custom redirect ki settings ho chuki h . Ab aapke blog ke invalid link , broken link me error 404 show hone ke bajaye us link se sambandhit post page show hoga .


Aaj humne sikha custom redirect kya h aur kaise hum apne blog ke invalid permalink aur broken link ko redirect kar dusre url me show kar sakte h . 

Ummeed karta hun aaplogo ko meri post custom redirect kya h ? Bloger me url ko redirect kaise kare acchi lagi hogi . Agar post  aapko jankaripurn lagi ho to social media aur apne dosto ke saath jarur share kare .