Bloger blog me comments ko disable karne ka tarika
Dosto jaisa ki aap log jante hi honge har blog ke post me comments ki suvidha hoti h , ye blog ke liye bahut jaruri bhi h . Readers blogs ko padne ke bad post par comments dwara apni pratikriya dete h .
Readers ki pratikriya blog ko lekar kaisa bhi ho sakta h wo prasansaniya , alochnatmak ya phir suggestion ke rup me ho sakta h . Blogging me hum readers ke comments ko ignore kake nahi chal sakte ye blog ke liye bahut aham hote h .
Fir bhi comments ke importance janne ke baad bhi kabhi kabhi hume comments ko disable karna pad jata h . Agar aap ke saath bhi kabhi aisi paristithi aaye to iske liye ye pade bloger blog me comments ko disable karne ka tarika .
|
Comments disable |
Blog me comments kya h
Ek blog comments darashal ek comments hota h jo ki kisi blog ke kisi post me kiya jata h . Aam taur par ye comments blog ke readers dwara kiya jata h . Jo ki blog ke post ko padne ke baad post ke article ko lekar apni rai comment ke rup me share karte h .
Ye comments ya rai readers ki post ke prati uski pratikriya darsata h . Post acchi lagi to prasansa karta h post acchi na lagne par alochna bhi karta h . Agar article me koi sudhar ki jarurat ho to suggestion bhi deta h . Isiliye comments blog ke I've bahut jaruri h .
Bloggers readers ke comments ko kafi gambhirta se lete h . Readers ke comments se hi use blog ko improve karne ka idea bhi milta h .
Blog me comments kyun jaruri h .
Ek blog post ki article par readers tab comments karte h jab unhe us post ke bare me apni koi rai deni hoti h .
Blog par readers ke comments se post ki quality aur popularity ka pata chalta h .
Readers ke acche bure comments se article me improvement kya ja sakta h .
Readers ke comments se pata chalta h readers kya padna pasand karte h .
Readers ke comments se agle post ke liye idea milta h .
Comments se blogers ko prerna milta h .
Readers aur blogers ke bich samvad sthapit karne ka best jariya h post par commenting .
Blog par comments ke fayde
Readers ke comments ke bina blog ke sahi quality ke bare me sahi jankari nahi milti h . Blogs comment se blog ki quality aor popularity dono ka pata chalta h .
Har bloger ka pahla aim hota h apne blog me jyada se jyada traffic lana . Blog me traffic lane ke kai tariko me se ek dusre same niche ke blog post par comments karna . Iske kai fayde h jaise .
a . Backlinks --
Comments se hume
backlink milta h , jab bhi hum kisi blog post jo ki same
niche ka ho par koi acchi comments karte h . Us blog ke owners iske badle hume backlink deta h . Backlink ek ranking factor hone ke karan ye hamare blog kevliye bahut important hota h .
b . Traffic---
Jab bhi hum kisi blog par comments karte h . Comments ke saath hamaras link bhi dete h jisse us blog ke readers bhi hamare comments aur link ko dekhte h jisse hamare blog me bhi traffic badti h .
c . Content idea--
Blog me aanewale comments dekhkar hume pata chalta h readers kya padna pasand karte h . Readers ke taste ko jaan kar next post ke liye acchi content ideas milti h .
Blog post me comments kaise disable kare.
Blog post me apne comments ko hide ya disable karne ke liye sabse pahle aap bloger ke dashboard se post select kare.
Post option select karne ke baad aapko aapke posts ki list milegi ab usme se aap jis post me comments disable kzrna chahte h use select kare .
Post select karne ke baad post editor tools baar se setting ( righ side top ) par click kare . Ab aapke samne ek window khulegi usme se option me click karna h .apke samne aisi window khulegi 👇
Option me click karte hi aap ke samne readers comments ke 3 option nazar aayenge
I . Allow
Comments allow select karne ka matlab h readers ko blog post me comments karne aur purane comments padne ki anumati dena .
ii . Do not allow , show existing
Is option ko select karne ka matlab h aap apne post par naye comments ke liye anumati nahi dengr par readers aapke purane comments ko pad sakte h .
iii . Do not allow , hide existing .
Agar aap chahte h koi aapke blog par comments na kare aur saath hi purane comments ko bhi na dikhya jaye to iske liye ldo not allow hide existing option ko select kare .
Dosto aaj humne sikha bloger blog me comments kya h ,comments kyun kare ,comments ke fayde aur comments ko disable karne ka tarika . Ab to sayad aapko apne blog me comments portion ko apne hisab se operate karne me koi pareshani nahi hogi .
Ummeed karta hun aap logo ko meri article bloger blog post me comments ko disable karne ka tarika jarur pasand aayee hogi , agar meri post se aapko kuch sikhne ko mila ho is jarur apne dosto aur naye bloggers ke saath share kare .
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें