White hat SEO kya h ? SEO ki techniques kaise kare .
Dosto jaisa ki aap logo ko malum hoga hume apne blog me traffic badane ke liye apne blog ka SEO karna padta h . Jisme hume seo ke white hat technique ka istemaal karna hota h .
Kya aap jante h ye white hat seo technique kya hota h . Agar aap blogging ke field se ho aur aapko seo ke is technique ke bare nahi malum h , to aapko iske bare me jarur janna chahiye .
Koi baat nahi aaj ke post me hum SEO ke technique white hat seo kya h? SEO ki technique kaise kare ke bare me janenge .
White hat seo |
White hat SEO kya h
Blog ya websites me traffic lane ke liye hum jis seo technique ka sahara lete h . Us technique ko blog ya websites me lagoon karne ke 2 tarike hote h .
In dono seo technique ek tarika h SEO ke guide line ko follow karte huye use blog ya websites me apply karna . Wanhi dusra tarika h blog me traffic badane ke liye aisi tarike ka use karna jo SEO ke guideline ke khilaaf ho .
Par aaj hum SEO ke us technique ke bare me baat karenge jisme SEO ke guideline ko follow kiya jata h . Blog seo ke jis tariko me seo guidelines ko follow kiya jata h use white hat seo kahte h .
White hat SEO kyun jaruri h
Upar aap ne SEO ke bare me jana . Blog ya websites me seo karne ke ek tarike jo ki seo ki authorize guideline ki anukul hoti h use jana .
Ab ye tarika ya technique blog seo ke liye kyun jaruri h aur kyun successful blogers is technique ko use karte h ise bhi jaan lete h .
Jab hum blog me traffic badane ke liye seo karte h taki search engine ke result page me top rank ke saath acchi traffic bhi mil sake .
Blog traffic pane ke liye apnaye gaye galat tarika SEO aur google ke algorithm ke guideline ke niyamo ka ulandhan mana jata h . Isse blog ka bhavisya safe nahi hota h .
White hat seo technique SEO ke guideline aur google ke algorithm ka palan karta h issliye is technique ko safe aur jaruri mana jata h .
White hat SEO ki techniques
White hat seo ko janne aur blog me kyun jaruri h janne ke baad . Ab jante h un white hat seo techniques ke bare me .
Jiska proper use safe aur proper SEO guideline ke according hone ke karan acchi ranking aur traffic ke saath jaldi hi popular ho jata h .
Quality content
Content ko lekar ek kahawat prachalit h ' content is king ' aisa isliye kaha jata h ki content hi ek reader ko dubara blog me aane ko majboor karti h . Quality content readers ke saath hi search engines ko bhi pasand aata h .
Ek accha aur quality content search engine aur readers ki pasand hone ke jaran apne aap hi rank kar jati h .
Site speed
Ek websites ya blog ki speed blog ke visitors ke users experience ko badata h . Blog ya websites ke khulne me deri hone par visitors ke blog se bahar jane ka khatra bana rahta h .
Maan lijiye kisi visitors ne click kiya white hat seo kya h . Par agar site khulne me samay legi to users ke liye ye bad experience hoga aur wo blog se bahar ja sakta h .
Isiliye blog ya website ka speed accha hona jaruri h .
Custom redirect kya h bloger me url redirect kaise kare
Hindi content writing ghar baithe paise kamaye
Bloger blog me comments ko disable kaise kare
SEO kya h ? SEO kaise kare aur kyun jaruri h
Proper navigation
Blog ke design karte samay dhyan rakhe blog ya website ka banawat dekhne me sundar hone ke saath hi use karne me asan ho .
Kyun ki well designed and easy to use sites ko users ke saath saath search engines bhi pasand karte h .
Maan lijiye agar koi user apke blog me ek post se dusre post me jana chahta h , agar site ki navigation sahi hogi to users asani se apne manpasand post tak pahunch sakta h .
Proper navigation users experience ko badta h . Jo blog ke liye accha mana jata h .
Title and meta description
Title aur meta description SEO ka ek jaruri hissa h . Title janha post ke suruaat me likha hota h . Jisse title ko pad kar article ke topic ke barevme pata chal jata h .
Wanhi description me post ka ek chota sarans likha hota h . Description post ka ek chota summary hota h jo batata h post kis bare me h .
Title aur meta description dono me hi post ke main keywords ko darshaya jata h , par dono hi jagah keyword ko dubara likhna nahi chahiye .
Title aur meta description dono se hi search engines ko post kis visay me h pata chalta h.
Proper keyword placement
Keywords search engines ko blog post ke serp ranking me madad karta h . Search engines ke anusar keywords ka sahi placement blog ke ranking process ko increase karta h .
Yanha blog me keywords use karne ke kuch mukhya places . Janha SEO ke anusar keywords jarur use karna chahiye .
Titles
First paragraph
Post url
Headings
Post text
Image alt tag
Meta Description
Last paragraph
Keyword density
Blog likhte samay blog me keyword density ka khas dhyan rakhna jaruri h . Post me keyword ka jarurat se jyada use karna SEO re guideline ke khilaf h .
Jarurat se jyada keywords ka use apke blog ko black hat seo ke list me sumar kar deta h jo blog kecliye katai acha nahi mana hata h .
Blog me keywords density 2 % se lekar 5% tak thik rahta h . Isliye keyword ke attaching istemal se bache janha jarurat ho wahi use kare .
Quality backlinks and link building
Apne niche se related blogs , aise blog jo aapke blog ke samanantar ho unse backlink hasil karke apne link building ko majboot kare .
Sahi tarah se prapt kiye gaye backinks se apne link building ko badakar search engines me apni saakh ko majbuti de sakte h .
Blog ke posts ko apas me inter linking yani apas me jude hone se search engines aur users dono ko ek post se dusre post par jane me suvidha hoti h .
Yanha aapko janna jaruri h galat tarah se prapt kiye gaye backlink blog ke future keviye sahi nahi hota
Aaj humne SEO ke white hat seo technique ke bare me jana ye kya h , tatha blog websites ke liye ye kyun jaruri h . Jiska palan har bloger ya websites owner ko karna padta h . Aur we apne blog me iska palan karte bhi h .
To dosto ummeed karta hun aaplogo ko seo ke is techniques ki jankari acchi lagi ho meri post white hat SEO kya h ? SEO ki techniques kaise kare ko apne dosto aur social media me jarur share kare .
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें