SEO kya h ? SEO kaise kare aur kyun jaruri h .
Dosto agar aap janana chahte h SEO kya h ? to aap ko ye article seo ko samjhne me bahut madad karne wali h . Aap ko ise jarur padna chahiye , is article me seo ko bahut hi asan bhasa me bataya gaya h .
Aaj internet aur sare digital business SEO ko bahut hi gambhirta se lete h . Apne products ya service ke details ko search engine , Google ke result page me top par show karana aur adhik logo tak apni service ya product ki details pahuchana ye sab seo se smbhav ho pata h .
SEO kya h ? Seo kaise kare aur kyun jaruri h janne ke liye post ko padte rahe .
Bloger blog post image ko seo friendly kaise banaye
SEO kya h .
SEO yani search engine optimization , jaisa naam se hi pata chalta h iska sambandh search engine se Juda hota h .
SEO ek aisa process hota h jisme apne blog ya website ko search engines ke anukul optimize karke SERP ke top rank ke saath pahle page me show kiya jata h .
Jyada se jyada traffic pane aur adhik visitors ko apne websites aur blog ki aur akarshit karne ke liye , seo ko blog ya websites me sahi tarah se optimize kiya jata h .
Websites ya blog ka serp ke first page me show hona isliye jaruri h ki jyadatar visitors search ke dauran first page par hi jyada focus karte h . Kewal kuch visitors first page se aage badte h .
Maan liya jaaye kisi visitor ne search kiya seo kya h ? , ab uske device ke screen me seo kya h ke kai result show honge . Use pahle page me hi uske sawalo ka jawab mil jata h aise me uska dusre pages me visit karne ki sambhavna kam hi hota h .
Har bloger or website owner ka yahi koshish hota h ki apne post ko search result ke first page me show karana aur iske liye blog ya website me seo ko kargar tarike se optimize kiya jata h .
Blog aur blogging kya h blogging kaise kare
Backlink kya h aur kaise banaye
SEO kyun jaruri h
SEO blog ranking improve karne me mafad karta h . Agar maan lijiye aapne ek article bahut hi sunder likha h .
Aapke article ke content ki quality kitni bhi acchi kyun na likhi gayee ho par aap use bina seo ke acchi rank nahi dila sakte h .
Bina seo ke post agar indexed ho bhi jati h to serp me itne niche show hogi jiska fayada aapke blog ko nahi milega .
Serp ke kafi niche rank me indexed hone ke karan post ke keyword enter karne par bhi aapka post show nahi ho payega .
Aisa islie hota h ki seo kiye bina post kafi niche indexed hoti h jisse related keyword enter karne par pahle dusre top ranked post hi show honge .
Rozana hajaro blog post likhe jate h itne sare post ke bich kin post ko top rank ke saath indexed kiya jaye iska jawab h jin blog post ka sahi se seo optimize kiya gaya ho .
Isiliye blog ka proper SEO hona bahut jaruri h jisse blog indexed hone ke saath serp me acchi rank hasil kar sake .
Types of SEO
Baat aati h seo ke prakar ki to aap ko bata dun SEO 2 prakar ke hote h . Blog me hum 2 tarah se SEO ka use karte h , on page seo aur off page seo . Chaliye hum iske bare me jante h .
1 . On page seo kya h
On page seo yani ek blog ke banane se lekar blog post ke publish hone tak , usme blog ke behtari aur popular banane ke liye kiye jane wale kaam ko on page seo kahte h .On page seo ke antargart
blog templete
design
Heading title
Post url
content writing
keywords search
Alt tag
Blog speed
Internal linking
2 . Off page seo kya h
Blog post ke taiyyar hokar published ho jane ke baad blog ke promotion blog ke prachar karne ke liye jo upay ki jati h use off page seo mana jata h .
Blog me adhik traffic lane ke liye blog ko kai tarah ke platform me promotion kiya jata h . Aise hi
Off page seo ke liye blog me login hone ki jarurat nahi hoti h . Ye blog ke bahar ki activity hoti h jisme .
Search engine submission (Google, bing yandex ) .
Social media platforms
Post commenting
Guest post
Question and answer websites , forum join karna .
Profile creation site par profile submit.
SEO kaise kare .
Blog me seo karna yani post ko optimize karke search engine ke anukul banana . Isme on page seo aur off page seo dono ko optimize kiya jata h .
In dono me se on page seo blog ke andar kiya jata h yani blog ke publish hone se pshle wanhi off page seo blog ke promotion ke liye kiya jata h . Jo blog ke bahar aur post ke published hone ke baad kiya jata h .
on page seo kaise kare
1 . Sabse pahle title me keywords ko samil kare .
2 . Post ke pahle paragraph me keywords ka use kare .
3 . Image me alt tag ka use kare .
4 . Headings ka use kare H2 , H3 .....
5 . Custom permalink select kar likhe .
6 . Post ko dusre related post se interlinking kare .
7 .. blog ka description accha aur post related likhe .
8 . Blog ke image ko blog me add karne se pahle compress jarur kare .
9 . Blog ki loading speed bada kar rakhe .
8 . Description ko title related likhe .
Off page seo for
1 . Off page seo me social network ka site ka use kare .
2 . Question answer site ya forum e jab dena .
3 . Article likh lene ke baad use dusre popular blogs se link kare .
4 . Dusre same niche wale blog post par comments kare .
5 . Kisi acchi rank wale sites ke liye post likh kar guest posting kare .
6 . Photo sharing sites par blog aur post ki photo share kare .
Aaj aapne kya sikha
Aaj ke post me blog ke ranking factor seo ke bare me complete jankari mil gayee jaise SEO kya h , Types of seo , seo kyun kare aur blog websites me sro kaise kare .
Dosto ummeed karta hun aap logo ko meri ye post SEO kya h ? SEO kaise kare aur kyun jaruri h acchi lagi hogi . Meri is post ko padkar agar iski jakari acchi lagi ho to apne dosto aur social media me jarur share kare .
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें