Pinterest kya h ?  pinterest account kaise banaye aur use kare .


Social media ye term ab hamare jivan aur day today life ka ek jaruri hissa ban gaya h . Aaj lagbhag har ek admi ke pas social media ke kisi na kisi platform par ek account jarur hota h . Khas kar yuva varg ke bich social media ke prati diwangi dekhi jati h . 

Aap logo ne bhi social media ke kisi na kisi platform me apna account jarur banaya hi hoga . Jaise facebook , whatsapp aur twitter jo aajkal kafi lokpriye h . Aaj hum aaplogo ke saath pinterest apps ke bare me baat karenge . Pinterest  kya h ? pinterest account kaise banaye aur use kare .










Pinterest kya h ? Pinterest account kaise banaye
Pinterest kya h 






Pinterest kya h .



Pinterest ek social networking  site h .  Jo anya social media sites facebook   whatsapp aur Instagram ki tarah hi ek lokpriye platform h .

Pinterest me bhi anya social media sites ki tarah hum apne post daal sakte h . Yanha mukhya rup me hume images , videos aur GIFs dekhne ko milegi . Jise chahe to aap upload kar sakte h ya download bhi kar sakte h .

Ek baat aap ko bata dun anya sites ki tarah jab hum pinterest me koi post karte h use pin kaha jata h . Usi tarah dusre ke pin yani post par like share aur comments bhi kar sakte h .

Dusre platforms ki tarah chahe to kis ko follow bhi kar sakte h   chat kar sakte h .

Pinterest me aapko ek bahut accha option milta h jo aapko bhi jarur pasand aayega .
Aap ko yanha kuch category jo aapko pasand ho select karna h . Category select karne ke baad aapke account me sirf usi category related post ya pin dikhaya jayega . 


Pinterest business promotion ke liye ek accha site h yanha jyadatar post business products ,  ideas aur hobby related hote h .








Pinterest ke features





1  .  Apni photos pin kar logo tak pahuch sakte h .


        Agar aapka koi business h ya fir apne blog related images ya photo ko pinterest me post kar .  Lakho logo tak apne products ko pahuchane ka kaam kar sakte h .

Yaani aap apne products ka promotion kar sakte h .

2  .   Board banakar pin ko save kar sakte h .

         Pinterest me agar aapko koi post acchi lagi ho jisse aap bar bar dekhna chahte h . To aap us pin ya post ko ek board banakar usme save kar sakte h .

Jab aap ko us post ya pin ko phir se dekhna ho to aap use dekh sakte h . Aap chahe to dusre ke bhi board me jakar pin dekh sakte h .


3  .     Clickable (images video) information hote h .

           Pinterest me images videos show hoti h . Usme se kai clickable images bhi hoti h . Jinpar click karne par post ya pin related jankarian show hone lagta h .



Jaise agar kisi painting ke image par click karte h to ek dusre tab me us painting se related sara jankari mil jata h .


4   .    Business account banane ki suvidha .

           Agar aapka koi business h pinterest me business account banane ki suvidha hoti h . Janha aap dekh sakte h kitne log aapke content ko pad rahe h ya dekh rahe .


5  .     Naye deas milte h .


          Pinterest me hume kai tarah ke ideas mil jate h . Jise jab chahe dekhne ke liye pin ko save  karke rakh lena h .

 Agar aapke naye business ko lekar aapki koi planning h to pinterest me kzi tarah ke ideas mil jati h .


Pinterest account kaisey banaye .




Sabse pahle play store se pinterest app ko down load karke install karle .

Install karne ke baad app ko open karte hi pinterest ka sign up ka page khul jaayega .

Signup karne aur account banane ke liye hum apna facebook google account aur email  ka upyog kar sakte h .

Signup form fillup hone ke baad ab apna name , age aur gender likhna h .

Ab aapko kuch interest select karna h . Interest karne ke baad done kar dena h .

Ab aapko pinterest ki aur se email confirmation ke liye mail aayega use confirm kar le . Email confirm karte hi aapka pinterest me account ban jata h . Sise aap apna pinterest account bade asani se bana sakte h .

Aaj aapne kya sikha 

Aaj humne social media networking site pinterest ke bare jana . Pinterest kya h pinterest ke feature aur pinterest account kaise banaye . 

Umeed karta hun aaplogo ko meri ye post pinterest kya h ? Pinterest account kaise banaye aur use kare acchi lagi hogi .