Old blog post ko update kaise kare .
Hello dosto agar aap bhi blogging karte h to aapke pas bhi aise kuch purane posts jarur honge jispar bahut kam views aate honge . Aise posts par view aur traffic badane ke liye yah post old blog post ko update kaise kare ko jarur pade jisme naye information ke saath post update karna bataya gaya h .
Post update ke saath hum blog me traffic bhi increase kar sakte h , aapke jankari ke liye ye janna behad jaruri h ki apne blog ke purane post ko latest jankari ke saath update karke blog ke readers aur traffic ki sankhya badaya ja sakta h .
Iske saath hi ye blog me users engagement badane aur bounce rate kam karmne me bhi madad karta h .
Aaj ke post me hum janenge old post ko dubara fresh tarike se kaise likhe jisse post par traffic aur readers dono aaye .
Kya hum blogging ko apna career bana sakte h
Old post update |
Blog post kya h .
Kisi visay ya niche par article likh kar apne blog ke madad se internet me publish karna blogging kahlata h . Blog me likhe gaye article ko hi blog post kahte h . Yah kisi bhi visay me aur jisi bhi bhasa me ho sakta h .
Blog post me jis topic ya visay me likha jata h , koshish hoti h ki us visay me jyada se jyada jankarian uplabdh karai jaye . Ek blog post likhne me kafi mehnat lagta h . Jisme visay ka chayan ke saath article likhna text aur image ke saath me bloger apna best dene ki koshish karta h .
Blog post update kyun karna chahiye .
Blog post ko kai karno ke karan update kya jata h . Akshar purane post jo kam popular hote h yanì jin par kam readers aate h . Aise post par kam readers ka aana sayad post me kam jankari ka hona bhi ho sakta h jise update karna jaruri h . Aise hi kuch steps h jiske karan blog post ko update karne ki jarurat hoti h .
1 . Acchi ranking ke liye .
Blog ke kuch post google me indexed hone ke baad SERP ke ranking me kafi niche show hote h aise post se blog ki ranking me bhi asar padta h .
Post ko update karke publish karne par SERP ranking me sudhar hota h
2 . Post ki quality badhti h .
Naye information ke saath rochak tarah se likhe updated article se post ki quality me badhotari hota h . Isse pure blog ko fayda hota h .
3 . Users engagement badane ke liye .
Latestest information aur naye tarah se likhe post me additional jankari milne ke karan readers post ko pura padte h . Jisse blog me bounce rate bhi kam hota h .
4 . Current jankari dene ke kiye .
Post ki kuch jankarian samay ke saath out dated ho jati . Apne post me latest jankarian share karne ke liye post ka update karna jaruri h .
5 . Post ki grammer aur spelling mistske ko sudharne ke liye .
Kuch aisi post jo blogging ke suruaati samay me likhi gayee thi uske spelling aur grammer mistake sudharne ke liye .
6 . Post ko google ke naye updates ke anusar likhne ke liye .
Google ke algorithm me samay samay par badlav hota rehta h . Apne old post ko googles ke update ke a anusar karne ke liye .
7 . Blog post se bounce rate kam ksrne ke liye .
Readers ko post me adhik samay tak roke rakhne ke liye taki blog ke bounce rate par control kiya ja sake . Updated post me naye jankari hone ke karan readers ise padna pasand karte h aur blog ke bounce rate ko kam karte h .
Bloger blog post image ko seo friendly kaise banaye
Bloger blog me complete backup lene ki prakriya
Google me apne blog ki position kaise
Blog post image ko seo friendky kaise banaye
Kin post ko update kare
Blog post ko update karne se pahle hume un post ki pehchan karni hoti h . Aise post ko search karne ke kuch tips jise update karne ki sakht jarurat h .
Apne blog ke un blog posts ko search karna h jin post par traffic na ke barabar aati ho . Aise post blog ke bounce rate aur readers egagement dono me nukshan pahuchate h .
Kuch is tarah ke post me sudhar ki jarurat hoti h .
a) . Aise post jiski article jab likhi gayee thi sayad us samay ke liye jo information post me di gayee thi uski validy samapt ho chuki ho .
b) . Post me bataye gaye information me vartman samay me koi badlav hone par .
c) . Post me likhe gaye article me koi grammer mistake ya spelling mistskes hone par --
post ke article ke grammer aur spelling ko sudharne ke liye post ka update kiya jata h .
d) . Post ki title attractive na hone par -
Visitors post ke prati uske attractive title se akarshit hote h . Attractive title readers ke man me post kre prati utsukta jagata h .
e) . Sahi keyword ka use na hone ke karan--
Blog ke acchi ranking aur post ke SERP me top rank me aane ke liye sahi keyword ka hona jaruri h .
f) . Post ke thumbnail , post images attractive na hona --
Post images article ko acchi tarah samjhne aur samjhane me madad karta h . Ek galat image post ka maja kirkira kar sakta h .
Blog post update kaise kare
Blog post ko jyada se jyada readers pade or visitors ko pasand aaye iske liye hum acche post likhte h .
Yanha aapko bata dun naye articles likhne ke saath hi hume apne purane article ko bhi update karna jaruri hota h .
1 . Title chota likhe jo samajhne me asan ho .
Article me title bahut important hota h . Visitors title dekhkar hi post padta h . Ek chota title yaad rakhne me aur samjhne me asan hota h .
2 . Akarshak thumbnail lagaye .
Blog post me istemal kiye gaye images visitors ko attract karte h . Images readers ke man me koutuhal jagata h ki post kaisi hogi . Aur we blog me post jatur padte h .
3 . Blog post ko current aur satik information ke saath update karna .
Blog ko lakho log padte h aise me blog me sahi jankari dena hamari jimmedari h . Isiliye blog post ke old information jo out dated ho chuke h unhe naye jankarion ke saath update karna chahiye .
4 . Post me current information ke saath update rahne par blog ke ranking me sudhar hota h .
Blog me update jankari aur old post ke update hone se visitors ke saath search engines hi ise pasand karte h .
5 . Chote chote paragraph bana kar likhe .
Readers blog ko asani se pad paye aur post padne me boreing bhi feel na kare iske liye chote chote paragraph accha users experience deta h .
Padne wale ko bhi post padne me maja aata h aur post ko samajhne me maja aata h .
6 . Writting , grammer ,aur spelling ko check karke post ko
Blogging ke suruaati dino me post likhne me galtion ko sudharne ke liye . Article ke grammer spelling aur writting ko acche se likhe .
7 . Blog ke post ka internal linking
Blog me traffic lane aur blog ke post navigation ke liye blog ke posts ko apas me inter linking karna .
8 . Purane blog post ko changes ke baad republished karna .
9 . Blog post ke url ko change na kare .
Aaj ke post me humne jana blog ke old post ko kyun update kare , blog ke kin old post ko update kare aur blog post ke old post ko update kaise kare .
Mujhe ummeed h aaj ke post , old blog post ko kaise update kare ko pad kar aapne old post ko update karna sikh liya hoga . Agar aaj ki post achi lagi ho to is apne dosto ke saath jarur share kare .
1 Comments
बहुत ही ज्ञानवर्धक पोस्ट है
जवाब देंहटाएंएक टिप्पणी भेजें