Bloger me khud ke pageviews ko count se  kaise hataye .



Agar aap bhi blogging karte ho to aap ko malum hi hoga hum humare blog me aane wale traffic ko dekhne ke liye Google analytic ka use karte h . Aap bhi sayad google analytic ka hi use  karte honge apni blog ki traffic janne ke liye . 

Par kuch naye bloger jinhe google analytic ke bare jankari nahi hoti h . Wo apne bloger blog ke dashboard me stats par click karke traffic dekhte h . Par unhe jankari nahi hoti h ki unke dwara dekha gaya page bhi pageview me count ho jati h aise me blog ke actual traffic janne ke liye apne dwara dekha gaya page count ko total pageview se hataya jata h janne ke liye pade . Bloger me khud ke pageview ko count se kaise hataye



Blog ki basic settings kaise kare .

Blog post image ko seo friendly kaise banaye


Bloger me khud ke pageviw ko kaise hataye
Khud ke pageview hataye




Blog traffic kya h 



Ek blog ko banane ke baad usme article likhkar published kiya jata h . Internet ke madhyam se article aamlogo ke liye uplabdh hota h .

Log internet ke dwara hamare article ke bare me jaan kar use padne ke liye hamare blog me aate h . Dhire dhire ye sankhya badti jati h . Bilkul ek traffic ki  tarah logo ka aana jana blog par laga rahta h ise hi blog traffic kahte .

Traffic yani blog me aanewale visitors  jo har blog ke liye bahut jaruri hota h .

Dosto jaisa ki aap log jante hi h har bloger ka sapna hota h uske blog adhhik logo tak pahuch sake aur jyada se jyada traffic uske blog par aaye  . Iske liye har bloger apni aur se blog me traffic badane ke liye kafi mehnat bhi karte h . Aise me blog ke traffic me unki paini nazar hoti h .

Bloger post ko current date me publish kaise kare

Bloger blog me complete backup kaise le

Blog post title seo aur users friendly kaise banaye

Real blog traffic 


Apne blog par aane wale traffic ke accurate sankhya ka pata lagane ke liye hume apne dwara blog me dekhe gaye pageview ko count nahi karna hoga  .


Kyunki jab hum blog ke traffic dekhne ke liye dashboard se stats par click karte h usme jo visitors ki sankhya dikhate h usme hamare dwara dekhe gaye pageview bhi samil hote h . Aise me hume apne blog me aane wale traffic ki sahi sakhya pata nahi chal pata h . 

Uske liye hume khud ke pageview ko total pageview me count hone se rokna hoga .

Bloger blog post ke image ko seo friendly kaise banaye

Bloger me khud ke pageview ko kaise hataye


Bloger me pageview se khud ke dekhe gaye views ko hatane ke liye .

1  .   Sabse pahle bloger.com ko open karke uske dashboard me stat select kare .


Bloger me pageviews



2  .    Stats me  click karne ke baad aapke samne blog ke pageview dikhaye jayenge .


Blog pageviews




3  .     Pageview wale page ko scroll down karke sabse niche me aapko 
Manage tracking your own pageviews ka option milega usme click kare .


Manage tracking own pageview




4  .     Ab aapke samne ek nayee page khulegi

Would you like to have your pageviews counted when you visit this blog?


Tracking own pagebviews



5  .      Page ke niche left side me ek box ke saath don't track my pageview ke saath diye gaye box me tick kare .


Dont track my page



Bas ab aap ke blog me aap ke dekhe gaye pageviews blog ke total pagrview me count nahi hogi .


Aaj aapne kya sikha


Aaj ke post me humne sikha  blog ke total pageview se hamare khud ke dekhe gaye pageview ko hatane ka tarika .

Ummeed karta hun aap logo ko meri ye post bloger me khud ke pageviews ko count se  kaise hataye acchi lagi hogi . Agar post ki jankari aapko acchi lagi ho to ise apne dosto ke saath jarur share kare .