Bloger blog post publish karne ke baad url kaise change kare




Dosto jaisa ki aap log jante hi h her bloger ka pahla lakshya hota h apne blog par jyada se jyada traffic lana . Adhik traffic ke liye ye jaruri h ki jyada se jyada logo tak aapne blog ko pahunchaya jaye . Logo tak asani se pahuch banane ke liye aapko apne blog ko SERP ke top rank me lana hoga .

SERP me acche ranking ke liye apne published blog post ke url ko badalkar , keyword optimized url likhne ke liye url me kaise changes ki jati h janne ke liye pade Bloger blog post publish karne ke baad url kaise change kare .



Blog me dusre post ka link kaise add kare


Blog post published url kaise change kare
Published url change




Blog post url kyun change kare .


Post ke link ya url se hi SERP me blog ki ranking tai ki jati h . Kahne ka matlab h ek acchi keyword added blog url ka seo aur users friendly hona bahut jaruri h . Isiliye unnecessary url ko change karke custom url ya permalinks lagaya jata h .

Bina keyword ke aur unoptimize url Google me indexed to honge par uski ranking kafi kam hoti h  yani ki suruaati pages me show nahi hoga .

Readers generally SERP ke pahle page ke result ko hi dekhte h . Jyadar visitor  search  result ke pahle page tak hi search karte h . Aise me blog ko pahle page me rank karana jaruri ho jata h taki jyada se jyada logo tak blog pahuch sake .


Internal linking kya h SEO ke liye kyun

Blog post title seo aur users friendly kaise banaye

Blog post me headings ka use


Bloger me post publish hone ke baad url kaise change kare




Sabse pahle apne browser me  bloger.com ko open kare ab bloger ke dashboard aapke samne show hoga . Dashboard me post ko select kare ab aapke samne aapke blog  post ki list show hogi .
In post me sari post show hogi chahe jo post aane publish kiya ho ya phir post jo abhi puri tarah taiyyar nahi h . A list me se post ko select karle jiski url aapko change karke attractive aur seo and users friendly url likhna h .


Post ko select kar click karte hi aapke saamne wo post jiski url aapko change karna h khul jayegi . Post ke anusar seo friendly url change karne ke liye . Ab post editor ke tool bar ke right side me setting ka option me click kare .



Ab aapke saamne post ki link  ( permalinks ) show hogi janha aapko post ki link ko badlna h . Par parmalink change karne ki option ya edit karne ki option wanha show nahi hoti h . 

Aise me hum url ko kaise change kar paayenge , iske liye aap ko niras hone ki bilkul bhi jarurat nahi h me aapko post url change karne ka upay yanha batne wala hun .


Off page seo techniques kya h


Blog post url change karne ke liye steps follow kare .


1 .  Dashboard se post select karke post list se jis post me url change karna h use select kare .

2  .  Select post ko open karle , post editor ke upar right side me dropdown menu se select kare revart to draft .

3  .   Revert to draft select karne ke baad post editor ke tool baar ke right side me settings ke option me click kare .

4  .    Post setting ki page open ho jayegi uspar link ya permalinks ke option me Jaana h . Janh pahle se aapke post ka link show hoga nise ab badalna h .

5  .   Ab aap dekhenge link ya permalink ke niche automatic permalinks ke saath ab custom permalinks bhi show hone lagegi .

6  .  Custom permalink me click kare uske niche aapne jo naye url banaya h use enter kare par yanha dhyan de custom permalinks likhte samay 2 words ke bich (-) ka use kare .

7  .  Permalinks ko jyada bada na likhe , permalink me post ke main keyword ko jarur samil kare .

8  .  Permalink likh lene  ke baad ise save kar le .

9  .  Ab apka new permalink taiyyar ho jane ke baad finally ise publish kar de .

Upar bataye gaye tariko se aap badi asani se apne publised post ke url ko vadal sakte h .


Aaj humne sikha blog post ko SERP me acchi ranking ke liye apne published url ko kaise change kare .

Dosto ummeed karta hun aap logo ko meri ye article Bloger blog post published karne ke baad url kaise change kare pasand aayee hogi post sambandhit koi suggestion dena chahe to aapka swaagat h .