Black hat SEO kya h ? SEO technique in hindi .
Aapne aksar blog me traffic lane ke liye blog me SEO optimization ke bare me suna hi hoga . Par kya aap jante h kuch blogers apne blog me jadi se jaldi kam samay me adhik traffic pane ke liye . SEO ke rules uske guidelines ke virudh jaakar galat technique apna kar blog me traffic jutane ki koshish karte h .
SEO guideline ko bina follow kiye blog ka seo optimize karna Black hat seo kahlata h . Jo search engines ko bilkul pasand nahi hota h .
Aaj ke post me hum SEO ki isi technique ke bare me janenge . Black hat SEO kya h ? SEO technique in hindi is post ko anth tak jarur pura pade . Post pad kar asani se aapko black hat seo ke bare me jaruri jankari ho jayegi .
Black hatĺ |
Black hat SEO we log use karna pasand karte h jo jald se jald blog me traffic lakar blog ko popular kara sake . Aise log blog me long term ke liye investment karna pasand nahi karte h .
Black hat SEO kya h
Blog me traffic badane ke liye SEO optimize ke antargart blog me kuch aise technique ka istemaal kiya jata h jo ki SEO ke guideline ke khilaf hota h .
Aise technique ka blog me traffic aur ranking ke liye use karna Google ke algorithm ke anusar black hat SEO kahlata h .
Sirf search engines ke bots ko dhyan me rakhkar adhik traffic pane ke liye seo ke is technique ka istemaal kiya jata h .
Aaj aise bahut sare sites mil jaayenge jo ki blog me adhik traffic dilane ka dawa karte h . Yani paise lekar blog ya websites me traffic bhejne ka kaam karte h .
Par ye blog ke liye ghatak sabit ho sakta h kyunki google ke algorithms me hamesha badlav hota rahta h . Jisse search engines ke bots ko asaani se ye baat pata chal jaati h .
Is prakar ke kritya se blog ko penalty lag sakti h aur kabhi kabhi block bhi kiya ja sakta h . Isliye professional blogers hamesha seo ke us techniques ke use se bachne li salah dete h .
Aise technique ka use karke kuch samay ke liye bhale hi traffic bad jaye par ye technique long time ke liye nahi h .
Blog me hamesha white hat seo technique ka hi use karna chahiye .
Black hat SEO ke fayde
Blog me black hat seo use karne ke fayde se kanhi jyada iske nukshan h
Black hat seo post ke fast indexing aur ranking me madad karta h
Kam samay ke liye blogging karne walo ke liye black hate seo , blog ke indexing , ranking aur traffic ke liye faydemand h .
Kisi product ke promotion apne blog me karne wale sites ke liye jyada kamai ke liye lack hat seo faydemand h .
Black hat SEO ke nukshan
Black hat seo se blog ko google ke dwara blacklist kiya ja sakta h .
Blog ko google ke guideline ke ulandhan ka doshi mana jata h .
Blog ke domain name yaani blog name ke reputation kharab hoti h .
Black hat SEO se blog ke ranking me bhari girawat aati h .
Black hat SEO techniques
Blog me keyword ka attyadhik use karna keyword stuffing kahta h . .
Keyword stuffing .
Post me bar bar keyword ka use kar post ko rank karane ki koshish karna search engines ke saath readers ko bbhi irritate kar deta h .
Bar bar bina kisi jarurat ke keyword ka use users experience ko kharab karta h . Aksar naye bloger jane anjane keyword stuffing ka shikar ho jate h .
Waise post me keyword ka use 3%-5% sahi mana jata h .
Unrelated Meta description
Meta description me hum hamare blog ke bare ek chota sa description ( 150 words) likhte h jisme keyword ka use kiya jata h .
Description likhte samay keyword ka adhik use aur bina jaruri keywords ka use karna .
Duplicate content
Naye bloger hamesha content ki kami se jujhte rehte h , aise me akasar ye log kisi dusre ke content ko copy paste kar dete h .
ya phir apne popular post ko bar bar likhna suru kar dete h . Taki jyada se jyada log keyword tak pahuch sake .
Par search engines is chalaki ko samajh jata h aur ise black hat seo ki sreni me rakh deta h .
Aaj humne sikha black hat SEO kya h iske fayde aur nukshan aur SEO technique
Dosto ummeed karta hun aap logo ko meri ye post black hat SEO kya h . SEO techniques in hindi . Agar post aap ko jankari purn lagi ho to apne dosto ke saath jarur share kare .
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें