Kya blog banane aur blogging me paise lagte h?
Kya hum blogging kar sakte h , kya hum bhi apna blog bana sakte h , Main bhi blogging karna to chahta hun par abhi mere pas paise nahi h .
Ye sawal un logo ya future bloggers ke mann me aati h jo blog ke bare me sunkar ya blogs ko padne ke baad , blogs se inspired hokar blogging ki aur akarshit hote h .
Blogs padhkar ya logo se sunkar unhe ye to pata chal hi jata h ki blog se paise kamaye ja sakte h , blog me apni knowledge aur kisi bare me jankari share ki jati h .
Blogging ki aur akarshit hone ke chahe kuch bhi wajah ho chahe paise kamana , apni knowledge aur jankariyan share karna ya fir shoukiya taur par . Fir bhi ye sawal unke man me aati hi hogi ki blogging me kitne paise lagte h.
Kya blog banane aur blogging me paise lagte h ? Ye sawal ka jawab Janne ke liye is article ko padte rahe aaj hum issi visay me baat karne wale h .
Blog ko google search console me kaise add kare
Kya blog banane ke paise lagate h .
Kya blogging me hum apna career bana sakte h
To chaliye dosto ab hum Janenge kya blogging me paise lagte h. To iska jawab hoga aap free me bhi blogging kar sakte h . Free me bhi blogging sun kar aapko laga hoga main aisa kyun kah raha hun.
To main yanha aap logo ko clear kar dun ki halanki hum free me apna blog bana kar blogging kar sakte h . Par blog ko success aur professional look dene ke liye hume blog me kuch paise invest karna padta h .
Blogging karne ke liye kuch platforms h jo hume free aur paid dono tarah ke blog banane ki suvidha deti h .
Agar aap blogging suru karna chahte h par aapke pas budget ki kami h aur sath hi aap blogging me naye h to accha hoga aap free blogging platforms ke sath apni blogging safar ki suruaat kare .
Ek bar jab aap blogging me kuch articles post karle aur aap comfortable feel kare to chahe to aap apne blog me kuch paise invest kar sakte h .
Chaliye ab hum free blogging ki baat karte h.
Kai sari platforms h jo free blogging ki suvidha deti h par yanha Google free blogging platform bloger.com ko chunna accha rahega .
Blogger.com Google ki hi ek blogging platform h janha hum free me apna blog banakar blogging suru kar sakte h .
Blogger me blog banana aur us par article likhkar post karna bahut asan h jise koi bhi use kar sakta h .
Blog ke liye content research kaise kare.
Blogger me blog kaise banaye .
Blog banane ke liye aapko ek Gmail Id ki jarurat hogi agar aapke pas Gmail Id nahi h to apna Id banwa le.
1 . Uske baad blogger ke website blogger.com par jaye .
2 . Blog create karne ke liye apne Gmail Id se sign up kare.
3 . Ab aapko profile create karne ke option milegi Google profile ya phir blogger profile aap kisi ko bhi select kar apna profile setup kar sakte h.
4 . Ab aap ko title likhna h yani apne blog ka naam continue to bloger me click kare uske baad create new blog me click kare.
5 . Ab aapke samne ek window khulegi usme apne blog ka title ya name likhna h uske baad wale box me blog ka uRL likhna h agar apki enter ki hui url available hogi to hi url accept hogi (Url yani apke blog ka address jo unique hota h . Agar aapki url accept nahi hoti h iska matlab kisi aur ne ye url choose karliya h . Phir se url(kuch change ke saath) enter kare .
2 Comments
Nice
जवाब देंहटाएंThank you
जवाब देंहटाएंएक टिप्पणी भेजें