Bloger blog post me text aur font ki size ko kaise change kare .
Dosto agar aap bhi blogging karte ho to aap apne blog ko safal banane ke liye apne blog ki kafi achi tarah customize karte ho , taki blog me aane wale visitors ko aapke blog me aane me koi paresani na ho . Jyada se jyada visitors aapke blog me aaye iske liye aap apne blog ke look ko behtar banate h designing accha karte ho .
Apne blog me traffic lane ke liye aap blog ko aachi look dene ke saath user friendly bhi banate ho . Ache content bhi likhte ho par yanha main aapko batana chahunga aaplogo ko apne blog post ke text font par bhi dhyan dena chahiye . Post ki text font size sahi nahi hone par visitors ko post padne me paresani hoti h . Aaah ke post me hum bast karenge bloget blog post me text ki font size ko kaise change kare .
Blog post text change kare |
Blog post ke text font size change karna kyun jaruri h .
Blog post ke font size ko change karne se fayda
Bloger blog post me text aur font size ko kaise change kare
Bloger blog post me text font size ko change karne ke liye hume blog ke template me kuch changes karne honge . Jo ki kafi asan h iske liye aapko jyada pareshan honevki jarurat nahi h .
Yanha me bloger blog post ki text font size ko change karne ke liye blog ke templates me kuch changes ke step bataunga jise follow karke aap bhi apne post ke font size set kar paayenge .
1 . Sabse pahle apne bloger.com me login karke apne blog ko open karle .
2 . Ab blog open hote hi aapke samne blog ki dashboard show hogi . Dashboard me theme ke section me click kare .
3 . Dashboard se theme select kar usme click karne ke baad aapko theme customize ka page khulega .
4 . Ab aapko theme customize par click karna h .
Blog theme customize . |
5 . Ek aur window khulegi jisme kai option diye gaye hone aap un options me advanced ko select kare . Advanced ko select karke usme click kare .
Blog theme ki advance setting |
6 . Advance ko select karte hi aapke samne ek aur window khulegi jisme aapko advanced ke niche dropdown se page text select kare . Uske thik niche aapko font ka option bhi show hogi .
Font ke samne dropdown menu se default select kare ( aap chahe to font ke style bhi dropdown menu me select kar sakte h ) .
Bloger blog me complete backup
Blog ke liye content research kaise kare .
Font bold aur italic choose kar sakte h . Uske pas hi font ki size default 15px already hoti h . Aap apne hisab se use bada kar 16px ya fir 17px bhi kar sakte h .
Ab aap ise save kar le .
Bas ab aapke post ki text aur font ki size aapke nanmutabik ho jaayegi . Ab visitors ko aapke article ko padneme asani hogi aur we bar bar aapke blog me visit karna pasand karenge .
Blog post ke text size ke liye CSS ke jariya bhi hum text size aur font size ko change ksr sakte h .
To dosto aaj aapne sikha apne blog post ke text aur font ki size ko kaise set kare . Post ke text aur font ki size ko change karne ke fayde or ise kyun set karni jaruri h .
Ummeed karta hun aap logo ko meri ye post bloger blog post me text aur font ki size ko kaise change kare acchi lagi hogi .
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें