Hindi ya hinglish blogging kisme kare 

 


Aaj aap logo ke saath me ek aise topic ke bare me apni  opinion share karunga jo har naye bloggers ke man me blogging ko suru karne ko lekar hoti h . Agar aap bhi apna blog suru karne ki soch rahe h to apke man me bhi ye sawal jarur aata hoga .


Har naye blogger jo apna blog suru karne ki soch rahe h unki man me sabse pehla sawal yehi aata h ki blogging ke liye kis bhasa ya  language ka chunav kare . Blogging me bhasa ka sahi  chunav karna bahut jaruri h . Aur jo log blogging ke liye hindi aur hinglish me confused ho rahe h . Hamari article hindi ya hinglish blogging kisme kare  jarur pade .



Hindi ya hinglish blogging kisme kare .





Blogging me bhasa ka chunav


 

Blogging me bhasa ya language ka sahi chunav karna bahut jaruri h . Blogging ke liye kis bhasa ka chunav ki jaye ya puri tarah se blog likhne wale sakhs par nirbhar karta h . Wahi ek vyakti h jo ki apne blog ki sahi bhasa ka chunav kar sakta h .

Blog banakar usme article likhna sirf yahi blogging ka lakshya nahi hona chahiye . Blog ka pehla lakshya apne articles ko jyada se jyada logo tak pahichana jisse unhe kuch fayda h kuch sikhne ko mile . Ji haan aapka sochna sahi h paisa kamana bhi ek lakshya hota h .

Par ye tabhi ho paayega jab aap ki article logo tak pahuche aur jyada se jyada log use pad paye .



Hindi bhasa me blogging



Hindi bhasa me blogging se mera matlab hindi bhasa me blogging se h par uski likhawat , prastutikaran ya lipi devnagari  me ho . Jaise ki aap logo ko malum hi hoga hindi bhasa me likhne ke liye hum devnagari lipi ka prayog karte h . Jise devo ki bhasa bhi kahte h .

Hamare bharatvarsh ki matribhasa hindi hone ke karan jyadtar log hindi bhasa samjh pate h . Aur hindi likhne padne walo ki bhi acchi tadsd h . Isliye hindi blogging se jyada logo tak aap apni baat pahucha sakti h .

Apni jankarion ko hindi bhasa aur devnagri lipi  me likh kar logo tak pahuchana hindi blogging kahlata h .


Hinglish bhas me blogging

 

Hinglish me blogging yani ek aisi bhasa jisme hum bhasa to hindi hi use karte h par uski likhawat ya pratutikaran hindi me na karke hindi aur english ka misran yani ki hinglish ka istemal karte h .

Aap logo ke saath share karna chahunga social media ke teji se prachar ke saath hi social media messaging site me hum hindi sabdo ko English letters me likhte h inhi ke milejule swarup ko hum  hinglish kahte h .

Blog banakar apni baate apni jankarian hindi bhasa me par likhawat ya lipi english bhasa me logo tak pahuchana hinglish blogging kahlata h . 



Hindi blogging aur hinglish blogging ke fayde 



Aap blogging ke fayde ke bare me jante hi honge par hum aaj hindi blogging aur hinglish blogging ke fayde ke bare me baat karenge . Dono ke hi alag alag fayde h .


Jaisa  ki aap jante hi hai hindi blogging aur hinglish blogging me blog ki bhasa to ek hi hoti h par sirf unki lipi ya likhawat me farak hota jaisa humne upar bataya h .


Ab hum hindi blogging aur hinglish blogging ke fayde ki baat karte h 


1  .   Hindi hamari matribhasa hone ke karan desh me adhiktar log hindi bhasa jante h unme se kafi sankha me log hindi padh bhi sakte h  jisse  hindi blog ko readers ka ek bada samuh miljata h .


Wabhi hinglish me blogging karne se fayda ye milta h ki hindi bhasa samjhne wale aur english ka akshyar gyan grakhne wale readers ka bhi ek bada warg desh me moujud h .


2  .    Jin readers ko english samjhne me dikkat hoti h unke liye hindi blogging kafi madadgar hoti h .

Hinglish blogging me english letter aur hindi meanings hone ke karan hindi samjhne aur english padne wale log asani se blog padh  sakte h .


3  .      Searcch engines me ab hindi ko bhi tabajjo di jati h . Hindi ke saath hinglish articles ko bhi ranking milti h . Kyunki search engines ki nazar me hindi aur english ek hi h .


4  .      Matribhasa hone ke karan Hindi bhasa me article likhkar apni bhabnaye apne expression vyakt karna  ek hindi bhasi bloger ke liye asan h .

Hinglish blogging me bhi  hindi  blogging ki tarah apne readers ko apna expression vyakt kiya ja sakta h .

Blog post seo aur users friendly kaise

Guest post kya h seo ke liye kyun

Blog ko google search console me kaise



Aaj aap logo ne kya sikha



Aaj humne jana hindi blogging aur english blogging kya h  , blogging kis bhasa me karna chahiye aur iske kya fayde h .

Ab to aaplogo ko hindi blogging aur hinglish blogging ke bare me jankari ho chuki hogi aur aap asani se apne blogging language ko chun sakte h .

Dosto aap logo ko meri ye article hindi ya hinglish blogging kisme kare kaise lagi agar aap logo ko article acchi lagi ho aur isse kuch sikhne ko mila ho to ise jarur share kare. Article padne ke liye dhanyabad .