External linking kya h kaise kare kyun kare aur iske fayde .
Hello dosto pichli post me maine internal linking ke bare me article likhi thi . Aaj ke post me hum linking se related ek aur important part external linking ke bare me baat karenge .
Blog ke seo karne me external linking ko kis tarah use kiya jata h . In baato ko janne se pahle aapko external linking ke bare me janana hoga . External linking kya h kaise kare samjhne ke liye ye post External linking kya h kaise kare kyun kare aur iske fayde ko pura pade .
Is post me me aap ko external linking ke bare me bahut hi asan sabdo me batane ki koshish karunga.
Internal link kya h |
External linking kya h
External linking woh link hoti h jo hum apne kisi article me kisi dusre blog ya website ka link add karne ke liye use karte h .
Ek blog post ko dusre blog se milne wali link ko external linking kahte h . Isse outbound link bhi kahte h .
External linking kitne prakar ke hote h .
External link 2 tarah ke hote h dofollow link aur no follow link .
Do follow link--
Do follow link ek default link hota h . Koi bhi link banane ke baad automatic do follow link ban jati h . Is link ke madhyam se Google link juice ya rank juice ek website ya blog se dusre targeted blog tak pas karta h .
No follow link ---
No follow link ek aaisa link hota h jisme do follow ki tarah link juice nahi pass hota h balki isme google ko link juice pass na karne ki request ki jati h .
External linking ke fayde
External link se search engines ko hamare blog ke bare me acchi jankari milti h . Search engine ke nazar me hamare blog ki value badti h .
External linking se hum apne blog ke saman niche wale blog ke contact me aate h jisse hume same niche wale bloger se sampark hota .
Blog ki domain authority badti h .
Page view aur page ranking badti h .
Google ke najaro me blog ke prati trust badta h
Apne blog me external linking kyun kare .
Jab hum apne blog niche ki tarah same niche ki dusri blog ka link apne post me share karte h to isse search engine ko bhi message jata h
. Aur search engine ko hamari content ki acchi quality ka bharosha hota h .
Dusre blog ka link apne blog post me karne ke karan traffic me badhotari hoti h . Hamesh acche aur high domain authority wale blog ki linking kare .
External linking ka use kaise kare .-
Domain authority aur valuable content wale blog ki hi link add kare .
External linking ka use karte samay Anchor text ka hi use kare .
Janha jarurat ho wanhi external linking kare bewajah ke linking se bache .
Backlink aur external link ko jaane
Bahut sare logo ko sayad malum n ho par external link aur backlink ek hi hoti h . Ise samjhne ke lliye Maan lijiye A ne apne kisi article me B ke kisi post ka link share kiya h . Yaanha A ke liye ye link external link kahlayegi aur wanhi B ke liye ye link backlink kahlati h .
Ab aap ko backlink aur external link ke bich kya farak accchi tarah samajh aa gaya hoga . Ab aapko backlink aur external link ke bich confuse nahi honge .
Aaj aapne kya sikha .
Aaj aapne sikha external linking kya h kaise banaye aur iske upyog karne ka tarika iske fayde .
Aasha karta hun aaplogo ko meri ye post External linking kya h kaise kare kyun kare aur iske fayde acchi lagi hogi maine apne post ke madhyam se aap ko internal linking ke bare me kuch jankari dene ki koshis ki h . Agar aap logo ko bhi internal link ke bare koi jankari ho to comment kar jarur bataye . Post scchi lagi ho to apne dosto ke saath share kare . Dhanyabad
2 Comments
Margdarshit karne ke liye Dhanyawad, Achha hai.
जवाब देंहटाएंKeep it up 🙂
Ji Sukriya
हटाएंएक टिप्पणी भेजें