Blogging karne ke 15 fayde-Benefits of blogging in hindi .
Blog ,blogging aur bloger ke bare me nischit rup se aapne kafi kuch sun rakha hoga . Aap me se kai logo ne to apni blog bhi bana rakhi hogi . Par jin logo ke pas blog aur blogging ki jankari kam h aur we apni jankari badana chahte h . Unhe blog se sambandhit article jarur padna chahiye .
Aaj ke article me hum baat karenge Blogging ke fayde , aakhir bloger ko kya fayda hota h blog likh kar inhi sab sawalo ke jawab kanne kr liye me aaplogo ke liye ye article Blogging karne ke 15 fayde-Benefits of blogging in hindi is article ko padne ke baad aap blogging aur bloger ke fayde ke bare me jaan paayenge .
To chaliye suru karte h aur janne ki koshissh karye h blogging ke kya fayde h .
Blogging ke fayde |
Blogging karne ke 15 fayde ( Benefits of blogging in hindi )
1 . Aapki naye visay ke bare me jankari badti h .
Jab aap blogging suru karte ho to article likhne ke liye aap apni pasand ka koi niche select karte ho . Chunki visay aapke manpasand hota h jisse aap dil laga kar kaam kar payenge .
Jab aap post likhna suru karte ho to aapko lagatar post likhne ki jarurat hoti h . Iske liye aap lagatar kisi visay ke bare me jankariyan jutate rahte h . Taki aap apne post me acchi aur unique article apne readers ke liye publish kar paayenge . Isse naye topic par apki jankari badti jati h .
2 . Kisi visay par sochne aur samjhne ki chamta badti h .
Blogging ke liye apne post likhte samay aap ko hamesha apne readers ko dhyan me rakh kar article likhni hoti h . Aapke readers kya padna chahte h koun si visay ki article unhe pasand h .
Article me kya kya jankarian wo khojte h . Jab aap readers ke liye likhna suru kar dete h to topic ko sochne sur samjhne ki chamta aapke andar panapne lagt h aur kuch dino ke baad aap apnre andar is kala ko apne daily life me samil kar lette ho .
3 . Aapki lekhan kala me nikhar aata h
Blogging me aapko kisi topic ke bare me likhit rup se jankarion ko apne blog me sajha karna hota h . Apne article ko prabhavsali banane ke liye aapko apne article ko acche se likhni hogi .
Aap ki koshish yahi rahegi ki aapki article aapke readers ko pasand aaye . Iske liye article ko auro se behtar likhna hoga . Aapki likhe ki shaily auri se kuch alag honi chahiye .
Hamesha acchi aur apni shaily me apni article likhne ke karan aapki lekhan kala me bhi nikhar aata h aur aap dhire dhire karke ek behtar lekhak bante jaate h .
. Aapko creativity banata h .
4 . Apni baato ko logo ke samne express karne ki kala aati h .
Apne blog me acchi article likhne ke liye aap pahle article ke visayo ko acchi tarah samajh lete h ek baar jab aap article ko puri tarah jaanch parakh lete h tab bari aati h use apne readers ke liye taiyyar karne ki .
Apne readers ke liye article likhte samay aapki koshish yahi hoti h ki kaise apni baato ko apni visayo ko prabhvsali tarike se unke samne rakh sake .
Apki yahi koshish se dhire dhire aap apni baato ko apni article me sahi tarah se express kar pate h . Jisse logo ke bich apni baat rakhe ki kala me bhi nikhar aata h .
5 . Apka confidence level badhta h .
Blogging me hum kafi research karte h kisi topic ko likhte samay uski satyata ki parakh bhi karte h . Topic ki research karne se hum us topic ke bare me confidently kisi ko bata pane me samarth hote h , use samjha payenge .
Kisi topic ki sahi jankari se hume us visay me confident feel hota h . Isse dainik jeevan me bhi humara condense ka level dhire dhire badta h .
6 . Society me aap ek pehchan banate h
Blogging karte huye jaise jaise aapki blog ko safalta milni suru hoti h . Waise waise aap bhi logo ke bich apni pehchan banani suru kar dete h .
Aaj ke samay me blogs aur blogging kafi teji se logo ke bich lokpriye ho raha h . Log blog se jankarion ko pad ka apni jigyasa ko shan't karte h . Log kisi bhi jankari ke liye kisi se puchne se behtar google se jankari lena pasand karte h .
Log jaise jaise aapke blog ko pehchanne lagate h blog ke owner hone ke naate we aap ke visay me bhi janne ki kishish karte h . Aur aap logo ke bich famous ho jaate ho .
7 . Aap dusro ki madad kar sakte h .
Aagar aapko dusro ko madad karne par khusi ki anubhuti hoti h to yakeen maniye blogging se aapko wohi anubhuti hogi .
Aap blog banakar usme jab bhi article likhte ho to apka yahi chahat yahi iccha hoti h ki jyada se jyada log aapke blog ko pade . Aap apni jo jankari article dwara jyada se jyada logo tak pahuchana chahte ho . Jisse unhe bhi koi fayda ho unki bhi jankari badhe .
Ise tarah aap Jane anjane kai logo ki madad karte ho jisme aapko khusi milti h .
8 . Aap dusro ko motivate karoge .
Aaj yuvaon ke bich blogging ka kafi craze h . Pahle ki apecha dekha jata h yuva apna career ko chunne ko lekar kafi sajag h . Isliye wo apna career apne interest apni pasand ka chunne me yakkeen karta h aur jyadatar yuva kate bhi h .
Kafi yuva blogging me apna career banana chahte h . Blogging ki barikion ko janana aur samjhna chahte h . Aise me sayad aapki blog unki madad kar sakta h .
Aapke blog ko padh kar we motivate honge aap unke liye inspiration ka kaam karenge . Aapke marg darshan se we bhi blogging ke field me accha naam kama sakte h .
9 . Aap discipline ka palan karte ho .
Ek safal blogger apne blog ke prati discipline hota h samay se apne blog me post karna post ko update karna . Ek blog me samay se post publish hona chahiye . Blog ke regular readers ko naye article ka intezaar rehta h . Unhe pata hota h ki blog me kab nayee post publish ki jaati h .
Aagar article likhkar sahi samay me post na kiya jaaye to blog ke regular readers ko mayusi feel hoti h . Khas kar un reades ke liye jo bade utsah se naye post ki aas me blog par aate h . Aisi situation ek blog ke liye bilkul bhi thik nahi h . Isse apne regular readers ko khone ka dar laga rehta h .
Isliye blogging karne wale apne jivan me bhi disciplined ho jate h .
10. Aap income karne lagte ho .
Har bloger apni kuch icchaon ke saath blogging suru karta h un icchaon me se ek paise kamana bhi shamil h .
Acchi article aur blog ke sahi optimize se apne blog ko google me acchi rank dilakar . Apne post me kafi visitors ko attract karke apne blog me traffic increase badakar . Google adsense se monitized karke iski madad se aap accha paisa kama sakte h .
Adsesnse ke alave bhi affiliate se , apna product sale karke bhi paisa kamaya ja sakta h .
11 . Aapko jimmedar banati h .
Blogging karte huye aapko mahshush ho jata h ki kai log aapke blog ko padte h . Aapki article unhe kafi pasand aati h . Kai log kai naye bloggers aapko follow karte ho . Sayaad aap kuch naye blogers ke liye role model bhi ban jao .
Jab aaapko pata chalta h kafi log aapko follow karte h aapke article ko viswaspurbak padte h aap par viswas karte h . Tab asko bhi ye jimmedari ki bodh hone lagti h ki unko acchi article uplabdh karwana ye aapki jimmedari h .
Aap apne article likhte samay apni jimmedsri ka khyal rakhte h aur jimmedar bloger bhi bante h .
12 . Aap challenge accept karna sikhte h.
Blogging me safal hone ke liye kafi mehnat karni hoti h . Isme safalta raato raat nahi milti h iske piche ek blogger ki kadi mehnaat aur haar na manne ki jazzba shamil hoti h .
Bloging me safal hone ki sidi kadi mehnaat , asafalta , time taking aur apne kaam se pyar hote huye jaati h .
In saari prakriya ke dauran kai tarah ki challenge samne aati h un saari challenjo ko paar karte huye hume manzil tak jana hota h .yani aap challenge sweekar karne me pitche nahi rahte h .
13 . Swatsntra mahshus karte ho .
Apna khud ka blog hone par aapke upar kisi ka dabav ya presser nahi hota h aur aap khule dil se apna kaam ( blogging ) kar sakte h .
Isse aap apne aap ko kafi aazad aur free mahshush karne lagte h . Jiska result bhi aapke blog me dekhne ko milti h . Ab aap aazad aur free feel karenge to aap nischit rup se khush rahenge mast rahenge chahe kaanhi bhi rahe .
14 . Kanhi se bhi kaam kar sakte ho .
Jaise ki aap log jante hi honge blogging karne ke liye computer laptop aur mobile kisi ka bhi istemaal kar sakte h . Computer ko hum har jagah lekar nahi ja sakte h par mobile aur laptop ko hum apne saath lekar kanhi bhi jaa sakte h .
Acchi internet connect wali kisi bhi jagah se hum laptop ya mobile se blogging kar sakte h . Jisse hum hamesha apne blog se jude rahte h .
15 . Aap khud ke boss hote ho
Aapne aksar logo ko dekha hoga ya apne dosto ko bhi dekha hoga . Wo log apne work place ki condition ko lekar jyadtar samay tension me hi rahte h .
Kuch log to apne superior ya work load ke karan pareshan rahte h . Kuch kismat wale bhi hote h jinhe acchi office accha mahaul accha boss milta h .
Par blogging me aap in tension se free rahte ho kyunki aap khud apna boss hote ho . Blog me aap ko hi apne faisle lene hote h . Accha bura jo bhi faisla lena h wo Blog owner ko hi lena hota h .
Aaj aapne kya sikha -- Aaj ke article me humne jana ek bloger ko blogging se kya kya fayde hote h .
To dosto aap logo ko meri article Blogging karne ke 15 fayde-Benefits of blogging in hindi se aapko blogging ke fayde ki jankari milegi . Agar article acchi lagi ho to ise social media me share kare . Dhanyabad
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें