Bloger blog post ko update karke current date me republish kaise kare



Hello dosto Agar aap bhi blogging karte ho ya phir apni blogging journey ki suruaat karne jaa rahe h to . Aap logo ke liye ek bahut jaruri aur mahatvapurn jankari aap ke liye lekar aaya hun jo main aap ko is article me batane jaa raha hun . Bloger blog post ko update aur current date par republish kaise kare .

Jab hum apne blog me post likhkar publish karna suru kar dete h . Blogging me hum apne readers ko best information dene ki koshish karte h  .  Par kuch samay baad hume apne post me di hui jankarion




 me kuch add aur kuch ko delet karne ki jarurat mahshush hoti h . Iske liye hume post ko update karna hota h .

Aaj ke post me hum janenge post ko update karke kaise republish kare naye date ke saath .

Blog ke liye content research kaise kare .


Blog post update aur republish current date me
Post republish with current date







Har bloger apne article me apne readers ko hamesha best jankarian dene ki koshish karte h . Apni aur se kafi mehnat karke apne article me sahi jankarian dekar apne blog ko readers ke bich lokpriya banana har bloget chahta h .


Isliye blogers apne purane post me di hui loi  jankari ya koi link ko lekar kafi sajag rahte h . Taki un jankarion aur links me Agar koi changes hoti h to use apne readers ko update  jankari uplabdh karwaya ja sake .


Blogs me kai baar links share karte h par agar wo link expire ho jati h ya dead link banjati h tab hume us link ko haata kar naye link dena padta h . Naye link ke saath blog ko update karna hota h .


Blog ko update karke current date me republish karne par search engines post ko naye post ki tarah treat karta h aur pahla page par show karta h . Jisse jyada se jyada readers is pad pate h .


Bloger blog post me headings ka use .

Label kya h blog me label kaise add kare

Blog ki basic settings kaise kare


Blog post me update aur republish current date  me kyun jaruri h .



Apne purane publish post me jab bhi koi update ya changes hai to hum chahte h wo update hamare readers ke jankari me  me jaldi hi  aa jaaye . 

Par yanha dikkkat hoti h blog ke purane readers ko kaise pata chalega ki aapne apne kisi post me koi changes ya update kiya h .

Search engines bhi update kiye huye post ko sirf update kiya hua maan kar iske position me koi  changes nahi larti h .

Par agar aap apne post ko update karne ke baad use current date me republish karte h to search engines aapke post ko new post ki tarah maan kar use sabse pahle show karta h .

Jisse blog ke naye readers ke liye to ye fresh content hoti h jo woh pahli baar padta h . Par blog ke purane readers ke liye  ye post purane article ki jankarion ko modify aur update karane ki kaam karti h.

 

Blog post me kai tarah ki information ko update kiya jata h . Blog ko current date me update kar republish karne se , post fresh content ki tarah search me upar show hota h . Aur naye aur purane dono readers tak ye updates pahuch jaati h .



Blog ke liye content research


Blog post ko update aur current date me republish karne ke fayde


1  .  Search engines , blog me niyamit post ya updated post se blog ki ranking ko increase karta h .


2  .  Readers bhi updated post ko pasand karte h . Updated information milne ke karan blog ke readers ka viswas blog ke prati badta h .


3  .  Purane post ko jin readers ne pad liya h uunke liye update post unke jankarion ko update , durust karta h .


4  . Par jin readers ne purane post ko nahi pada tha unke liye updated republished post update information uplabdh karwayegi .


5  . Blog me update jankarian hone ke karan traffic bhi increase hoti h .


6  .  Blog ki search ranking aur value me ijafa dekhne ko milti h .





Bloger post ko cutrent date par updated aur republish kaise kare .




Sabse pahle bloger.com me login karke open kar le . Aapke samne bloger ka dashboard  show hogi .


Ab aap apne jis post ko update aur uski publish date change karna chahte h use select kar le .

Post select karne ke baad uspar  click kare yani open kare . Ab post ke draft section me koi changes karne se pahle . Post editor ke upar right side me drop down menu se Riverton to draft option ko select kar le .


Ab post editor ke upar right side me post setting me click kare . Ab aapke samne post setting ka page khul jaayega .

Blog post edit






Ab aap apne post me Agar koi changes karna chahte h . Yaani aap apne article me bataye gaye jankarion ko update karna chahte h latest jankarian dena chahte h . Use change kar le .









Post setting ke page me aapko published on ko select karna h . Published on me click kartehi aapke samne 2 option show honge pehla automatic aur dusra set date and time

1  . Automatic

2  . Set date and time .


Blog republish date
Bloger republish date


In dono option me automatic wale option me system dwara date select kar li jaati h aur dusre wale option me aapko date select karni hoti h .

Aap in dono option me se automatic ko choose kare system dwara apne aap current date select kar liya jayega .

Ab aapke post me sari changes aur publishing date bhi change jo chuki h bus ab aapko apni post ko publish kar deni h .

Ab aapki post update ho chuki h aap check karke dekhle aapne jo changes aur information add ki thi aur publish date bhi update ho gayee hogi .


To dosto aaj aapne apne puree post ko update kartr huye current date me republish karnr ke bare me Jaana  .

Ummeed karta hun aaplogo ko meri ye post bloger blog post ko update karke current date par republish kaise kare , acchi lagi hogi to ise apne dosto ke saath jarur share kare .