Bloger blog me background image aur colours kaise change kare
Dosto jaisa ki aap jante h logo ko apni aur akarshit karne ke liye kisi chij ka akarshak hona jaruri h . Log akarshak chijo ki aur jaldi akarshit hote h . Thik waise hi logo ko apni blog ki aur akashit karne ke liye blog ki design aur looks par kaam kiya jata .
Blog ki design ko akarshak banane ke liye hum blog ke vibhin bhago par karya karte h jaise blog ki design ,logo, fonts , colour aur bhi kai tarah se hum blog ke looks par kaam karte h . Aaj hum is article bloger blog ki background aur colours kaise change kare me blog ke mahatvapurn hisse background ki design par baat karenge .
Background changes |
Blog background image aur colour .
Visitors ke liye blog ki design aur looks bahut mayane rakhti h yanhi se blog ke prati unka pehla impression padta h .
Blog ki design aur looks blog ke safalta me aham bhumika nibhate h . Ek blog ki safalta ke kai karan hote h unhi me se blog ki design aur look bhi ek karan h .
Blog ke design aur looks me blog ke background image aur colour ki bhumika aham hoti h . Blog ke design aur looks visiters ko akarshit karti h .
Visitors blog ke design aur looks se impress hokar pahli baar blog me aata h yaani blog me pehli bar visitors ko laane ka kaam blog ki design aur looks hi karti h .
Isme koi do rai nahi h ki blog ki acchi content hi blog ki safalta ka mukhya karak hoti h . Par blog me visitors ke pahli bar aane ka karan blog ki design hi hoti h . Isliye blog ke content acche hone ke saath hi blog ka looks bhi accha hona chahiye .
Acchi background image aur acchi background colour ek sadharan se blog ko bhi ek shandaar looks pradan karti h . Jisse blog ka pehchan banta h aur blog famous bhi ho jata .
Background image aur colour ke fayde
Blog me background image aur colour ke sahi use se blog ko popular ayr safal banaya ja sakta h iske alave bhi background image aur cour ke kai fayde h
Background image aur background colour blog ke design aur looks ko eye catching bana deti h .
Visitors blog ki aur uske design aur looks ki wajah se akarshit hote h .
Visitors ko blog me accha experience milta h
Visitors blog me dubara visit karne me khusi mehshus karenge .
Visitor aur readers ki sankhya badegi .
Blog ki popularity me ijafa hoga .
Jyada traffic aane se blog se income bhi hogi .
Bloggers theme kaise upload kare
Blog ke background image ko kaise change kare .
Bloger blog ke dashboard me theme ko select kare theme ke window khulne ke baad usme customize select kare . Ab aapke pas kuch aisi 👇 window open hogi
Background ke box me click kare yaanha aapko bloger ki aur se kai background images milegi . Bloger me by default rup se ye pahle se rahta h .
Usme se aap koi bhi image select karle . Background image ya design ke chunav karte samay apne blog ke niche ko bhi dhyan me rakhe . Blog niche se mel khate ya milte julte background ka chunav kare👇 .
Default background |
Alignment
Background box ke niche alignment ke kuch boxes milenge . Jiski madad se aap apne background images ko blog me janha chahe show karana chahte h set kar sakte h . 👇
Tile - background images blog me repeat ki jayegi ya nahi yanha show karna hota h . Aur agar show hogi to kis condition me hogi .
Tile - matlab background ko aage bhi aapke blog me repeat kiya jata rahega .
Don't tile - yanha matlab background repeat nahi ki jayegi .
Horizontaly- background horizontally show hogi
Vertically- background Vertically show ki jayegi .
Scroll with pages - ise select kare ka matlab h ki search engine ko batana h ki blog ko scroll karne ke sath sath ise bhi scroll kare .
Ab apply par click karke apne blog ke liye background add karle .
Background colour kaise change kare .
Background colour change karne ke liye hume dekhna hoga blog me background images h ya nahi . Blog me background image aur colour ek saath nahi laga sakte h .
Background colour |
Blog post title seo aur user friendly kaise banaye
Isiliye blog me background colour lagane ke liye pahle background image ko hatana hoga . Tabhi blog me background colour add kar sakte h .
Background color select karne ke liye upar wali pahle image me dikhaye gaye main theme colour box me click kare .
Box ( main theme colour ) me click karte hi aapke samne select colour ki ek window khulegi ( upar second image ). Ab aap apne blog ki background ki colour select karle .
Aap apne background design aur colour ka preview dekhne ke liye niche eye ke symbol me click kar preview dekh sakte h . Ab aap apne theme ko save kar le . Aapke blog ka background image aur colour change ho gaya h .
Internal linking kya h seo ke liye
Blog ki basic settings kaise kare
Bloger blog post image ko seo friendly kaise banaye
Aaj aapne sikha bloger blog ke design aur looks ko attractive banane ka tarika . Blog ke theme ko customized karke uske design aur looks ko attractive banakar apne blog ko akarshak banane ka tarika .
Dosto ummeed karta hun aap logo ko meri post padh kar jarur blog design aur colour change karne ka idea mil gaya hoga . Agar aaplogo ko meri ye post bloger blog me background image aur colours kaise change kare acchi lagi ho to apne dosto ke saath jarur share kare .
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें