Blog aur blogging kya h . Blogging kaise kare
Dosto title pad kar to aaplogo ko acchi tarah samjh aa hi gaya hoga ki aaj hum apne article me aaj kis visay me batane wale . Kya aap bhi janana chahte h to chaliye aaplogo ke saath aaj hum blog aur blogging ke bare me baat karenge Blog aur blogging kya h blogging kaise karte h .
Agar me kahu aaplogo ne bhi blog pada aur dekha h to aapko sayad yakeen na ho par ye sach h . Darasal aap jab bhi apne sawalo ka jawab google me search karte h aur aapko Google jo result dikhata h darasal ye sare blogs hi hote h . Blogs ke bare me janane ke liye jaise blog koun kikhta h blog kyun banate h in sawalo ka jawab janne ke liye hamari article Blog aur blogging kya h blogging kaise kare ko anth tak jarur pade .
Blogaur blogging kya h. |
Blog kya h
Blog ko hum ek websites ki rarah hi samajh sakte h janha hume niyamit antral me article likh kar publish karna hota h .
Blog ek aisi digital diary hoti h jispar blog ke owner ke dwara apni jankari apni experience apni knowledge likhit rupse logo ke saath sajha kiya jata h .
Blog owner yani bloger dwara apne blog me . kisi bhi bhasa me aur kisi bhi visay me apni jankariyan , knowledge aur najariyan saral tarike se likhit rupme post ki madad se publish karte h .
Bloger apne blog post me jyadatar aam bolchal me use hone wale bhasa ka prayog karte h taki unki post har tarah ke readers ke samajh me asani se aa jaye . Samaj ke har tarah ke logo apke blog pad kar kuch sikh paye kuch unka fayada ho isiliye ye jaruri h blog ki bhasa sabke liye asan ho jise har koi samjh sake .
Blog ke prakar
Dosto jaise ki aapne upar jana blog kya h aur Blogging ke bare me bhi jankari mili . Ab aapko me batata hun blog kitne prakar ke hote h . Mukhyatah blogging soukiya taur par aur apne business ko badne aur income ke liyebkiya jata h . Blog ke prakar
1 . Personal blog
Is tarah ke blogs kisi khas pathako ko dhyan me rakh kar nahi likhi jaati h . Aise blog me blogger ka aim hota h apni jankarion apne experience ko jyada se jyada logo tak pahuchana .
Aisi blog me jyadtar koi famous personality ke blogs shamil hote h . Janha bloger dwara apni life ke bare me , apne bare me , apne related field ke bare me ya phir apni koi aur jankariyan experience share karte.
In blogs ka motive income karna nahi hota h . Ye apne shouk ke taur par shoukiya blogging karte h ya phir apne chahne walo aur apne readers ke liye apni jankariyan apne blog me share karte h .
2 . Professional blog
Aise blogs jisme apne karobar sambandhit , apni koi service sambadhit jiska uddesya income karne se ho use professional blogging kahte h .
In blogs ka uddeshya income karna hota h jisme bloggers dwara apne profession se sambadhit blogs banakar kishi khas varg ke readers ko target karte h .
Apne blogs me readers ko attract karne ke liye apne profession ke bare me , apne product , apne service ke bare aur unki khibiyon ke bare me batate h .
Aaj hume is category ki post yani professional blog jinka blog banne ka uddesya income karna hota h jyada dekhne ko milti h .
Blogging ke fayde
Blog aur blogging ke kai fayde h . Jinme se kuch fayde ke bare me yanha dekhe .
1 . Apne vichar logo ke saath share karna .
Blog bana kar usme bloger apne vichar apna knowledge apna jankari likh aur publish kar logo ke saath share karte h . Kuch logo ko kisi ke samne bolne par comfortable mahshus nahi hoti . Par likh kar blog ke help se apni baate logo tak pahucha sakte h .
2 . Aap apne boss khud hote h
Tension free aur dabav free hokar kaam karne se kaam perfect aur samay par hota h . Blogging me ekagrata bahut jaruri h .
Apke blog me aap khud malik hote ho yani apna boss khud . Jisse aap koi dabav nahi feel karte h aur free mind se blogging karte h jisse aap acchi acchi content likh sakte h .
3 . Lekhan kala me sudhar .
Blogging me article banate samay aapko kafi likhna hota h . Blogging me ab kafi competition ho gaya h jisse ek hi topic par aapko kai article mil jayegi .
Aise me aapke upar accha aur unique article likhne ki jimmedari hoti h . Jo article Jina accha aur unique hoga log use utna hi pasand karte h . Acchi aur jommedari se likhte huye apki lekhan kala me bhi sudhar ho jata h .
4 . Aap paise kama sakte h .
Aaj blogging ek accha career vikalp sabit ho raha h . Ek bar blog successful ho jane par usme traffic bad jati h . Blog me adsense approval karwakar aap income bhi kar sakte h .
Aaj kafi log blogging ko apna source of income bana liye h .
5 . Famous ho jate h
Blog banakar jab dhire dhire aapka blog logo ke bich popular hone lagta h to aap bhi blog ke owner ke taur par pehchan banana suru kar dete h .
Log aap ko aapke blog ke owner ke rup me janne lagte h .
7 . Kahi se bhi kaam karne ki azadi .
Blog ko google search console me
Blogging kaise kare .
Blog banakar usme post likhne se pahle aapko blogging ke ek main term SEO ko follow karna bahut avasyak h . Jisme aapko apne blog post ko google ke SERP me acchi rank dilane ke liye apne blog aur article ko SEO friendly banana hoga .
Blogging ksrne ke liye aap ko kuch in steps ko follow karna hoga.
1. Blogging ke liye sahi platform ka chunav kare .
Aaj internet me aapko aisi bahut si site mil jayegi janha aap apna blog bana sakte . Jabha aap free aur paid dono tarah se blog bana sakte h jiske features bhi alag alag hote h .
Aap apni budget aur requirement ke hissab se apna platforms select kar sakte h . Jyadatar blogs bloger aur wordpress par bane milenge . Janha aap free aur paid dono tarike se blog bana sakte h .
2. Platform ka chunav kar apna blog bana le .
Ek baar platform ka chunav kar le uske baad apne blog ke liye accha sa name select kar apna blog bana le . Blog ka naam chota aur catchy rake jisse log asani se yaad rakh sake.
3 Apne blog ko design aur settings kare
Blog ban jaanne ke baad use acchi tarah design kare . Blog banane ke baad uska setup karna jota h blog ki theme , look design layout etc .
Blog ka attractive dikhna jaruri h taki log blog ki aur attract ho . Acchi designed blog par visitors aana pasand karte h.
4 Apne blog ki niche (topic ) select kare .
Blog banakar niche selection bahut jaruri h . Aap jis visay me jankari rakhte h jis visay me aap lambe samay tak kaam kar sake us visay ko apne blog ka niche select kare .
5 . Domain and hosting purchase kare .
Blogging ke liye domain aur hosting dono ki jarurat hoti h . Free blogging ke liye inke bina bhi kaam chal sakta h . Par inki kuch limitation hoti h .
6 . Article likhna suru kare .
Blog banane ke baad ab uske main part yaani article writing suru kare . Jis visay me apna article likhna chahte h usme keyword research karke seo friendly article likhe .
Keywords ka sahi use kare , article me simple aur aam bolchal wali bhasa ka use kare.
7 . Article pura hone ke baad check karke publish kare .
Article pura likh lene ke baad ek baar check kar le . Spelling aur grammer ki checking karne ke baad ab post ko publish kar sakte h .
Aaj humne jana blog aur blogging kya h Blog koun likhta h blogging ke fayde aur blogging kaise kare .
Ummeed karta hun aaplogo ko ab blog aur blogging ke bare me jankari mil chuki hogi . Agar meri ye article Blog aur blogging kya h blogging kaise kare pad kar aappko kuch sikhne ko mili ho to ise apne dosto aur new blogers ke saath share kare .
1 Comments
Bahut hi acchi post likhi h aapne .
जवाब देंहटाएंएक टिप्पणी भेजें