Article writing kya h ? Article writing ke tarike
Dosto aap jante hi honge article writing blogging ki jaan hoti h . Bloggers apne article writing skills se apne blog ki sstar ko kai guna uncha uttha leta h
Kya aap bhi article likhte h par aap apne article ko waise rochak nahi bana pate h jaisa ki acche blogs me aksar dekha jata h .
Koi baat nahi aap bhi article writing ke kuch steps ko follow karke apne article ko interesting aur rochak bana sakte h . Aap apne article writing ko develop karne ke liye meri ye post Article writing kya h ? Article writing ke tarike pura anth tak jarur pade .
Article writing |
Article kya h
Article ek jariya hota h janha article writer dwara kisi khas visay ke bare me apni rai apni opinion logo ke saath share karte h .
Article kisi bhi madhyam se share ki ja sakti h . Ye newspaper, megazine ya phir blog bhi ho sakta h . Article me writer apni writing skill ka istemal karke ek lekh ko rochak aur interesting bana deta h .
Ek article me kisi visay ke bare me detail jankari di jati h jise pad kar readers ko us visay ki sampurn jankari ho jati h .
Blog ko google search console me kaise add kare
Blog ke liye content research kaise kare
Article writing kya h .
Article writing ek kala h janha writer ek sadharan lekh ko bhi kafi rochak aur interesting tarike se likh kar apne readers ke samne prastut karta h . Aisi lekh jise padte hi readers ki utsukta bad jati h aur article ko interest lekar padta h .
Article writing me writer situation paristhiti aur samay ke hisab se likhta h . Article kai prakar ke ho sakte h religeius article , books aur kahaniyan ya phir blogs ke rup me .
Article writing likhne ka tarika
Article writing aur acchi article likhne se pahle hume article writing ke sahi tarike ke bare me janana hoga . Apne article me aap jo bhi jankari dena chahte h . Un jankarion ko aap apne article me kaise kab aur kanha likhni h .
Ye bahut jaruri h ki article likhne se pahle article writing ke sahi format ka palan kiya jaye . Chaliye ab hum us format ke bare me jaan lete h jise hum 3 part me divide karte h .
1 . Opening part
Article ke suruaat yani opening part bahut ahatvapurn hota . Jime hume apne readers ko apne visay ke bare me intro dena h . Is part se unhe pata hona chahiye ki post me aage unhe kis bare me jankari milne wali h . Article ke suruaat me hi readers ko prosahit kare jisse wo mazboor ho jaye puri article padne ke liye .
Article ke suruaati bhag ko hi dekhkar readers decide karta h ki unhe article aage padni chahiye ki nahi . Yaani article ke isi bhag se hum readers ke man me article ko pura padne ke liye utsukta , interest jaga sakte h .
2 . Main part
Ab aata h article ka main part jo ki article ka pranvayu , jivan rekha hota h . Article ke main part se hi pata chalta h ki writer ne apne article me kitni mehnat ki h , article ke liye kitne research ki h , article ki satyata aur viswasniyata in sari chijo ko yanhi parkhi jati h .
Main part me hi article ke topic ke bare me details me varnan kiya jata h . Main part likhne ke pahle decide karle aapko article me kya kya batana h . Iske liye bakayada ek format banale .
Kis silsilewar tarike se chijo ko present karna h uski list taiyyar karke article likhe .
3 . Closing part
Article ka anth bhi opening aur main ki tarah hi rochak hona chahiye . Janha article ke sarans conclusion me aaj kya kya charcha kiya gaya aur usse kkya sikhne ko mila .
Apne readers ko puch sakte h unko article kaisi lagi article se kua jankariyan mili aur anth me post ko share karne ke liye request .
Article writing kaise kare .
Jaise ki apne ab tak jaan liya article writing kya h article writing ke tarike aur ab janenge article writing kaise kare .
Article likhne ke pahle kuch taiyyari karni hoti h . Chaliye jante h article writing ke pahle kya kare
1 . Keyword research jarur kare .
Keyword kya h seo ke liye keyword
Article likhne se pahle aap jis topic me likhna chahte h . Us topic ke liye kuch acche keyword ka rsearch kar le . Aise keyword ka search karna h jispar kafi search kiya jata h . Jisse Google me rank karne ke chances bad jati h .
Hamesa keyword research karte samay search volume aur low competition wale keyword hi select kare .
2 . Topic ke upar research kare .
Kisi bhi article ko likhne ke pahle uske topic ko acchi tarah samjh le . Jitni jyada se jyada jankari ho jutane ki koshish kare . Kyunki jab talk aap khud kis topic ke bare me nahi samajh pate h . Aap us topic ke bare e kisi ko sahi 5arah se nahi sajha payenge .
Isliye kisi topic par article lilkhne ke pahle us topic ke bare me jitni ho sake jankari jutani chahiye .
3 . Asan sabdo aur bhasa ka istemaal kare .
Apne article me hamesha saral sabdo aur bhasa ka prayog kare . Kabhi bji kathin sabd aur bhasa ka use na kare . Chunki aapke post har varg ke readers padenge . Bacche se lekar budde tak , aamir aur garib aur padelikhe aur kam pade likhe vyakti bhi article padenge .
Isliye apni article ki bhasa saral hone par sabhi log asani se pad paayenge . Koshish yahi kare hamesha bolchal wali bhasa ka hi upyog kare .
4 . Chote chote paragraph me likhe .
Apne article ko readers ko dhyan me rakh kar likhe . Apni baato ko samjhane ke liye article me haesha cute chote paragraph me likhe .
Lambi aur badi paragraph ko padne me readers ko boreing feel hoga . Post padne me unhe maza bhi nahi aayegga . Par agar wanhi article ko chote chote paragraph me divide karke likhenge to readers ko samjhne me asani hogi aur boreing feel bhi nahi karwaega .
5 . Unique article likhe
Apne article ko google ke serp me acchi rank me lane ke liye aap ko acchi article likhna hoga . Aaj pratidin lakho blogs bante h agar aap dusre blog se aage Niklna chahte ho to apne article ko dusre article se accha banana hoga .
Accha aur unique article banake blog ko google SERP me acchi rank dila sakte h .
6 . Spelling aur grammer check kare
Aksar bloggers apne blog me article likhte samay spelling aur grammers me dhyan nahi dete h . Par aapko spelling aur grammer ko thik rakhana h .
Kai baar degha gaya h kabhi kabhi spelling aur grammers ki galat use se sabd ke arth meaning tak badal jata h .
Galat spelling aur galat grammers se readers ke upar bura prabhav padta bh .
7 . Publish karne ke pahle ek bar check kare.
Aur sabse akhir me article pura likh lene ke baad aur publish karne ke pahle article ko ek baar jarur check karle .
Article ko pura likhne ke baad check karne se agar kanhi koi galti ho to use sudhara ja sake .
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें