Niche kya hota h ? Blogging me niche selection and importance .
Blogging ki duniya me niche ka matlab hota h topic ya visay selection. Jis visay ya topic par aap blog likhna chahte h us visay ya topics ko aapke blog ka niche kaha jata h . Aaj hum janenge niche kya h ? Blogging me niche selection and uski importance .
Niche ek blog ka pehchan bhi hota h jisse aap ke blog ke bare me pata chalta h ki blog kis visay me jankariyan uplabdh karwane wali h. Ek accha niche aapke blogging career aur aapke blog ko us mukam tak pahuncha sakta h jis uddesya ke liye aapne blogging suru ki hogi.
Niche kya h |
Niche kya h
Niche blog ka topic hota h jiss topic par blog me jankariyan di jayegi . Blog me jis visay category ke upar bataya jayega information share kiya jayega . Jaise agar kisi blog me career ke bare me information suggestion share kiya jatah to us blog ka niche hua career .
Niche aur content
Kya aap bhi blogging suru karna chahte h par blog suru karne se pahle dubidha me h aur apne blog ke visay yani niche selection ko lekar decide nahi kar pa rahe h.
Aapko chinta karne ki koi baat nahi h ye ek swabhawik baat h naye bloggers ke saath aisa hota h. Chaliye main aapki blog niche selection me kuch madad kardeta hun . Bas aap ye article ko pura pade aapko apne blog ke liye niche selection me bahut madadgar hogi.
Blogging me content ka bahut mahatwa h isiliye kaha jata h content hi raaja hota h . Aap chahe apne blog ko kitna hi accha design kar le par log aapke blog me aapke acche content ki wajah se aayenge .
Types of niches
Agar aap sirf shouk ke liye blog banana chahte h to aap kisi bhi niche ke saath apna blog suru kar sakte h par agar aap profession ke liye blogging karna chahte h tab aap ko ek perfect niche ke saath apna blog banana chahiye.
Blog ki basic settings kaise kare
Aaj rojana hajaro naye blogger apni blogging journey suru karte h par kuch log bich me hi apni blogging journey rok dete h.
Sayad iski sabse badi wajàh galat niche ka chunav hi hota h . Joki dusro ke dekha dekhi niche selection kiye jaane ke karan unka interest dhire dhire kam hone lagta h ek stage ke bad unko samajh nahi aata me aage kya likhun .
Chunki ye niche unke manpasand ka nahi tha to ek samay ke baad blogging unko bojh ki tarah mahshus hone lagati h aur manse blogging nahi kar paate h.
Par Yadi niches aapke pasand ka hoga to aap ko article likhne me anand aayega aap apne pure man se article likhenge .Blogging me safalta paane ke liye mehnat ke saath lambe samay tak likhna padta h agar niche aapke pasand ka hua to aap bina ruke us topic par lagatar article likh paayenge .jo ki ek blog ke liye bahut jaruri h.
Blogging me niche selection |
Blog ke liye niche selection
Ek blog ki safalta me content ka aham role hota h aur content ko accha banane me ek acchi niche ki bhumika mahatwapurn hoti h.
Apne blog ke liye niche selection karte samay apni pasand ka chune .Yanha pasand ka matlab jis visay ki aap ko acchi jankariyan ho. Us visay me aapko likhna , padna ,baate karna accha lagta ho .
Apne manpasand visay me likhna hamesha acchi result deta h. aur asani bhi hoti h.
Apne pasand ke visay me aapko sikhna aur sikhana dono me asani hogi .
Jis topic par aapki knowledge acchi hogi aap dusro ko acchi tarah explain kar sakte ho .
Blogging me safalta pane ke liye lambe samay tak likhna hota h jo aap apne pasand ke visay par likh sakte h.
.
Bloger post me headings ka use kaise kare
Aapke blog ke liye niche selection karne ke pahle in baton ka khas dhyan rakhe .
1 . Aap blogging kyun karna chahte h yani shoukiya taur par ya kamayee karne ke liye.
2 . Aap kiske liye likhna chahte h yani apke targeted readers koun honge.
3 . Readers ke interest log kya seach karte h we kya read karna pasand karte h.
4 . Niche ka future dekhna .Future me bhi us topic par content likha ja sakta h ya nahi.
5 . Cpc check karna . Blogging se earning karne ke liye cost per click pata hona chahiye .
Blog ko google search console me kaise add kare
Yanha maine aap logo ko niche kya hota h aur niche selection and importance ke bare me jankariyan uplabdh karwane ki koshish ki h .Jisse aap ko apne blog ke liye niche selection me kafi madad mili hogi .
Dosto aap logo ko meri ye post niche kya h .Blogging me niche selection and uski importance kaisi lagi .Ummeed karta hun acchi lagi hogi, agle post me kuch aur jankariyan le kar hajir hounga. Dhsnyawad .
1 Comments
Jankari achhi hai.... Aise hi likhte rahe🙏🙏
जवाब देंहटाएंएक टिप्पणी भेजें