Bloger blog post me live location kaise show kare . Jankari hindi me 



Hello dosto kya aap jante h bloger apne blog post dwara apne current location ke bare me bhi  apne readers ke saath jankari share kar sakte h . Jisse bloger apne readers se judav banakar apna sambandh majboot kar sakta h .

Readers ko bhi author dwara apne blog post me location share karne ki wajah se uske upar unka bharosa badta h .

Jyadatar travel niches aur photography niches me blogging karne wale bloger apne post me apni location share karte h. Jo ki desh videsh ke vibhinn jagaho par travel karte huye apni post likhte h . Aaj hum jamenge  bloger blog post me location show kaise kare , Jankari hindi me .




Blogers location kaisr show kare
Blogers location









Bloger blog post me location kaise share kare. 







1 .  Sabse pahle bloger.com me login karle uske liye apne Gmail Id ka use kare .


2 .  Login hote hi aapke samne bloger ka dashboard show hogi . Ab aap drop down menu se apne blog ko select kar le . Agar aapne ek se jyada blog banaya hua h to jis blog ke post me aap apna location share karna chahte h use select kar le .


      






3 .  Ab left side post option me click kare . Ab aapke samne apke blog ki post list show hogi . Agar aapko apne drafted post par location share
karni h to us post ko select kare .  

ya phir new post ko select kare jispar aap location share karna chahte h .












4 .  List me show ho rahe post se us post ko select kar le jisme aap ko location show karna h .
5 . Apne post ko select kar ya phir naye post me click karke post ke editor ko open kar le . Ab post editor me apne content ko likh kar ya phir kuch changes karke .


6 .  Post editor ke right side me post setting me click karke usme location option ko select kare .

Location settings






7 .  Post settings ke location par click karte hi aapke samne location box open hoga . Jisme ek map aur ek search box hoga .
Aap search box me apne location type karke search kare agar map aapki location ko dhund leta h to uske niche box me aapki location show hogi  . Ab aap  done par click kar le .


Blog post location map











Kabhi kabhi map ki size ke karan sahi location dhundne me paresani hoti h aise  me 
Map ki size ko full screen me karle . Ab aap asani se apna location search kar sakte h .

 
In sare steps ko karne ke baad aap safalta purvak  apne blog post me apni current location show karne ki prakriya ko pura kar lete h .
.


Bloger post me share location ko kaise hataye

 .

Aap kabhi bhi badi asani se apne bloger post me share location ko hata sakte h . Iske liye aap ko bas apne bloger blog post me jakar share location map ke niche remove par click karna h .

Ho gaya apka share location option disable. Par yanha aapko remove click karne ke bad post ko update bhi karna h .

Aaj humne sikha bloger blog post me live location kaise share kare  iske saath hi blog post ki share location ko kaise remove kare .

Ummeed karta hun aap logo ko meri ye  post Bloger blog post me location kaise show kare ,jankari hindi me acchi lagi hogi .