Bloger blog me complete backup lene ki prakriya 2022
Bloger blog complete backup kaise kare.
Blog favicon kya h bloger blog me kaise jode
Bloger blog me template backup kaise kare
Jab hume apne moujuda template me kuch badlav ya add karna hota h tab hum apne template ka backup le lete h .
Aisa isliye karte h template me kuch bhi badlav ya add karne me koi galti hone par hum apne pahle wale template ko restore kar sakte h .
Chaliye ab hum template ke backup lene ki process janenge .
1 . Sabse pahle bloger.com se apne blog me login kare .
2 . Ab aapke samne aapke blog ka dashboard khul jayegi
3 . Dashboard ke left side me aapko theme par click kare .
4 . Ab aapke samne theme customize ka screen khulegi . Right side me theme customize ke niche drop down me click kare .
5 . Theme customize ke baad aapke samne jo screen aayegi usme aap ko backup aur restore ka option milega .
Yanha aapko backup aur restore par click karna h ab aapke pas ek aur window khulegi jisme download theme/ template par click kar le .
Ye sari prakriya kar lene ke bad apki theme ya template. .xml file me aapke computer ya mobile par download ho jayegi .
Bloger blog me post , pages aur comments ka backup
Apne blog ke post pages aur comments ke backup lene ke liye sabse pahle aap apne blofer blog ke dashboard kme ja kar settings me click kare
Settings me click karne ke baad manage blog option me aaye . Manage blog se aap backup content select kare .
Backup content option ko select karte hi aapke samne ek nayee window khulegi jisme aap ko download button par click kar lena h .
Download button me click karte hi aapke post , pages aur comments aapke computer ya mobile me ek .xml file ke rup me store ho jasyegi .
Ab aap chahe to ise restore bhi kar sakte h iske liye aap ko manage blog ke import content option ko click karna h .
Is tarah se aap asani se kuch step ko follow karke apne blogs ke theme content pages aur comments ka backup aur restore kar sakte h .
Ye hai to bahut hi simple sa ek chota process par har bloger ko future ke kisi problem se bachne ke liye ise jarur follow ksrna chahiye .
Ek bar aapke computer me backup download ho jane par kabhi kisi karanvash agar aapka koi content delet ho jata h ya phir aapke theme me koi changes karte samay problem aane par use wapas restore kiya ja sakta h .
Blog backup ke fayde
Blog ke backup lene se pehla fayda to ye h ki . Agar kisi karan se hamara blog delet ho jata h ya koi content delet ho jata h to hum use asani se restore kar sakte h .
Agar future me kabhi hum apna blogging platform kisi aur platform me migrate karna chahe tab backup lena padta h .
Hum apne moujuda template ko badlna chahte h tab bhi backup kaam aata h .
Bloger me error 404 page not found kaise fix kare
Aaj humne sikha Bloger blog me complete backup lene ki prakriya 2022 ke bare me ummeed karta hun aap ko ya article pasand aayee hogi . Aaj se hi backup weekly ya monthly ek bar jarur le kar apne computer me save kar jarur rakhe .
Backlink-kya-h-aur-kaise-banaye
2 Comments
Good
जवाब देंहटाएंThank you . Keep visiting
जवाब देंहटाएंएक टिप्पणी भेजें