Internal linking kya h ? SEO ke liye kyun aur kaise kare .
Dosto agar aap bhi blogging karte ho ya phir apna blog banana chahte ho to aapne jarur internal linking ke bare me jarurþ suna hoga .
Agar aapne internal linking je bare me nahi suna h ya aap internal linking ke bare me nahi jante ho to aapko iske bare me jarur jankari rakhni chahiye . Blog seo me link building ek important factor h .
Aakhir kyun blogers internal linking ko itna seriously lete h . SEO ke jankar bhi link building ko kyun itna importance dete h . Aaj ke post me hum janenge internal linking kya h ? SEO ke liye kyun aur kaise kare . Bas aap is post ko pura padte rahe .
Internal linking in SEO |
Internal linking kya h .
Kisi blog website ya domain ke page ko ek dusre se jodne ki prakriya ko internal linking kahte h. Yaani jab bhi hum apne blog post ko likhte samay apne usi blog ke kisi dusre post ke link ko usme jodte h use hum internal linking kahte h . Blog me dusre post ka link kaise add kare
Blog ya website ke kisi page ya post ka link usi blog ya website ke kisi dusre post ya page se Juda hota h to Google ke search engine ko use khojne me asani hoti h .
Internal linking me blogvke posts aur pages apas me connected hote h jisse visitors ek baar site me visit karne ke baad linked post ko bhi visit karta h . Visitors ko dusre post milne ke karan wo jyada samay tak blog me rukta h .
.
Internal linking kyun kare ? SEO ke liye kyun importance h .
Internal linking se hamare blog ki page ekdusre se acchi tarah connected rahte h jisse visitors ke saath saath search engines ko hamare page ko khij kar samjhne me kafi madad milti h .
Jisse hamare blog seo me madad milti h aur hamari post ki indexing ki chances bad jati h . Hum yanha kah sakte h post ke indexing aur ranking karne ke liye internal linking bahut jaruri h .
1 . Content ko adhik meaningful banata h
Internal linking se hamare ek post me anya posts ke link dene se visitors ko ek content ke saath anya content padne ko milti h jisse content visitors ke liye rochak ho jata h .
JB koi visitor hamare kisi post me koi information ke liye aata h . Agar hamari post usi visay se sambandhit dusre post se internal linking hogi to visitors ke liye ye kafi gyanvardhak hogi .
2 . Purani post ke pageview increase hota h
Agar aapko blogging karte huye kuch samai ho gaya h to aise me aapke blog me kai purane post honge jis par views kam aate honge .
Par agar aapne apne purane post ka link sahi tarah se apne naye post me internal linking kiye honge . To aise me aapke new post ke saath purane post me bhi visitors aayenge . Jisse aapke purane post me bji pageview bad jayenge .
Blog ki basic settings kaise kare
3 . Crawling aur indexing me madad milti h.
Blog post ke apas me interlinking hone se search engines ke bots jab bhi hamare blog me aate h . Unhe hamare posts ko samjhne aur search karne me asani hoti h .
Jab bhi hum koi naya post likhte h search engines ko iske bare me internal linking kiye huye related post se pata chalta h .
Ek baar jab search engines hamari post ko search kar leta h tab crawling aur indexing me bhi madad milti h .
4 . Bounce rate control karta h
Bounce rate SEO ka ek mahatvapurn aang h bounce rate ke bare janane ke liye post ..Bounce rate kya h.....pade .
Bounce rate yani jab koi visitor hamare blog me visit karta h aur jald hi turant blog se exit ho jata h to use hum bounce rate kahte . Jo ki blog aur seo ke najariye se bilkul bhi accha nahi mana jata h .
Acchi tarah se internal linking kiye huye post me jab bhi koi visitor enter karta h . Use us post me dusre post ki link milne se wo jigyasavas ya janane ke liye link par jarur click karega . Jiski wajah se visitors kuch samay blog me bitata h .
5 . Ranking me madad milti h
Internal linking me jab bhi hum apne kisi post me usi visay sanbandhit dusre post ka link add karte h . Google ke crawlers hamare post ko easily search karke indexing aur ranking me madad karta h .
Permalink kya h permalink kaise banaye
Internal linking kaise kare
1 . Anchor text me keyword ka use kare
Anchor text me keywords ka use kar hum internal linking se fayada uttha sakte . Anchor text se search engines ko ise samajhne me madad karta h ki diya gaya link kis bare me h .
User aur search engines dono ko link ke bare me jankari deta h .
2 . Article ke suruaat me internal linking kare
Jab hum article ki suruaat karte h to hum chahte h hamare readers hamare post ko pura pade . Iske liye hum apne content me kafi mehnat bhi karte h . Taki readers kuch der hamare blog me bitaye .
Post ke suruaat me link add karne se readers ke nazar me asani se visible hota h . Aise me us link me unke click karne ki kafi sambhavna rehti h .
3 . Apne important post ko jyada linking de .
Hume apne important page ko anya post se link karna chahiye . Hamesha apne high authority pages ka link dusre post se jarur link kare . Agar kisi post me jyada link diya jaye to Google ke crawlers aur readers internal linking ke karan hamare blog ke sabhi post tak pahunch sskta h .
4 . Same topic pe likhe post ko link kare .
Apne blog post ko google top rank me lane ke liye hume on page seo par dhyan dena hota h .
Apne naye post me hamesha us post se related visay wale post ka link dena chahiye . Apne purane posts ka linking naye post se kar .blog ki ranking ko badha sakte h .
Internal linking me kya na kare
Ek hi post me jarurat se jyada link na de . Adhik link hone aur us post se related link na hone se visitors confuse ho jaayenge . Unhe samjhne me muskil hogi ki koun si topic par unhe sahi information milegi .
Iska natija ye ho sakta h ki we blog se bahar ja sakte h . Jo ki seo ke najariye se bhi sahi nahi h .
Ummeed karta hun aap ko ab Internal linking ke bare me kafi jankari mil gayee hogi . Agar aap ko ye post Internal linking kya h ? SEO ke liye kyun aur kaise kare acchi lagi ho to apne dosto ke saath jarur share kare .
1 Comments
Nice
जवाब देंहटाएंएक टिप्पणी भेजें