Free bloger blog kaise banaye 2022
Hello dosto Aj ke is post me main aap logo ke saath free blog kaise banaye is ki jankakari share karnewala hun taki aap log bhi blog banane ki prakriya ko samajh kar khud ka ek blog suru kar sako .
Blog banana koi bahut kathin kaam nahi h , par jin logo ko iski jankari nahi hoti h un logo ke liye ye jarur kathin kaam h . Par aap bilkul chinta mat kare kyunki is post ko padne ke baad aap bahut hi asani se apna khud ka ek sundar sa blog free bloger blog kaise banaye 2022 bahut asani se bana sakoge. Free
Google apne users ko blog banane ki bilkul free service deta h . Janha aap asani se apna blog bana kar apna gyan logo ke saath share karke aage chalkar blog se earning bhi kar sakte h .
Free blog banaye |
Blog kya hota h ?
Blog darashal ek website hi hoti h . Website ko janha kisi company , institution,organization ke information ya promotion ke liye use kiya jata h . Wanhi blog me bloger dwara niyamit antral me kisi visay ke upar apni jankari , apne anubhav , apne gyan aur vichar ko lekh ke rup me likh kar publish kiya jata h .
Blog ko hum digital diary bhi kahte h janha bloger dwara kisi visay me apne vichar aur gyan digital rup me likh kar internet me publish kar logo ke saath share karte h . Niyamit antral me post likhne ke saath saath update bhi kiya jata h jisse readers ko update jankari milti rahe .
Blog kyun banaye
Blogger me free me blog kaise banaye .
1 . Apne laptop ya mobile ke kisi bhi browser se sabse pehle BLOGER.COM type kijiye. type karte hi apke Samne ek screen khulegi jisme kuch information Gmail Id enter karke next me click kare yanha aapko ek password pucha jayega koi accha sa password soch kar enter kare
2 . Samne jo window khulegi usme aap ko apne Gmail id ke saath signup karna h agar aap pahle s sign in honge to aap ko login nahi karna padega
Blog ki basic settings kaise kare
3 . Create a new log ke naam se apke samne ek nayee window khulegi uske right side me new par click kar le.
4 . Title ab apke samne jo window khulegi usme aap ko apne blog ke liye ek accha sa title soch kar enter kare yanha apka title chota aur asani se yaad rahe aise hona chahiye.
5 . Address ab apke samne address le liye ek window khulegi jisme aap ko apne blog ka address enter karna h.yanha apka title hi apke blog ka address hoga .
Title me address enter karte hi apko "This blog address is available" to apka blog address ban jata h aur agar apko " This blog address is not available " ka message show karta h to apne address me kuch aur words jod kar enter karne par apka address ban jayega, ab apne address ko save kar lijiye .
Blog post ke liye content research kare
6 . Theme apke blog ka ek importnt part h jise aap ko apne blog me lagana h ,blogger me aap ko bahut sare free theme milenge aap apne manpasnd theme apne blog ke anusar choose kar sakte h .
jisse aap chahe to bad me badal sakte h ab click karte hi aapka blog ban kar taiyyar h aap ispar ab apna aricle likhna suru kar publish kar sakte h .
To dosto aap logo ne free blog banana sikh liya h . Ummeed karta hun aap logo ko meri post free bloger blog kaise banaye 2022 acchi lagi hogi . Agar aap ko ye post pasand aayee ho to apne dosto ke saath jarur share kare. Dhanyabad
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें