Dosto humlog blog ke bare me padkar aur samajh kar kuch jankari ke saath apna naya blog bana lete h . Par sirf blog bana kar hum uska uppyog article likhne me nahi kar sakte h .
Blog banane ke baad usme kuch settings karani hoti h . Ek bar blog ban jaye aur fir bari aati h apne blog ke sahi setup Karne ki jo ki blog ke liye bahut jaruri hoti h. Bina blog ke settings kiye hum blog ka sahi istemal nahi kar sakte h .
Agar aap naye blogger h aur aap ko blog ke setup sambandhit koi jankari nahi h to koi baat nahi me yaanha aap ko blog banane ke baad ki prakriya batane wala hun bas article Bloger me blog banane ke baad kya kare? next step( in hindi ) ko pura padte rahe .
Blog banane ke baad next steps |
Blog bana kar usme kuch basic settings ko pura karne ke baad . Jo hume blogger ke dashboard ke setting section me karni hoti h . Iske liye article..blog ki basic settings kaise kare Blog ki basic settings kaise kare ..........pade.
Blog banane aur basic settings ke baad ka set up.
Blog banane ke baad sabse pahle blog ki set up ek chunauti purn kam hota h jise kafi dhyan purbak karna hota h kyun ki set up ko bar bar badalna sahi nahi hota h .
Sabse pahle hame acche acche article jo ki Seo friendly ho aise 8 se 10 post likh kar publish karna h .
Jab apke blog me 8 se 10 post ho jaye to aapko apne blog ka actual view nazar aayega ab aap apne blog ka view dekh sakte h .
Ab aap apne blog ke design ya look ke upar kam kar sakte h yaani ab aapko apne blog ko design karne me asani hogi .
Blog ko search engines me submit karna .
Blog banakar usme post likhne ke bad , agla kaam hota h blog ko Google search console aur dusre search engines webmaster me submit karna . chunki search engines se hi hume sabse jyada traffic hasil karni hoti h.
Ek blog ki safalta ke liye organic traffic bahut jaruri h kyunki kisi bhi blog me aanewali traffic jyadatar search engines se hi aati h .
Log akshar apne sawalo ke solutions ke liye sabse jyada internet ka istemal karte h aur apne sawalo ke jawab janane ke liye internet se Google par search karte h.
Aise me aapke blog ko Google search console aur dusre search engines ( Bing , yandex ) ke webmaster me submit karna jaruri h .
Yadi aapko Google search console aur dusre webmaster me blog ko submit kaise Kare iski jankari nahi h to koi baat nahi . blog ko google search console me add karne ke liye aap ye article. ..Blog ko Google search console me kaise add kare....padhe
Waise me bata du blog ko search console me add karne ke liye hume blog ki sitemap banani hoti h. Jo kisi bhi sitemap generator tool se bana sakte h aur phir use search console me add kar sakte h.
Theme upload karna
- Mobile friendly
- Seo friendly
- Fast loading
- Simple colours
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें