Blog title Description aur Url change kaise kare in bloger
Suruaat me hum dusre blogers ke blog ko pad kar aur unse inspired hokar apna blog suru kar lete h . Jald hi hume mehshush hone lagti h ki humne to jaldbaji me apne blog ke title, description aur url par khas dhyan diya hi nahi . Aise me he lagt h ki Kash hum apna title Description aur url badal pate .
Aaj ke post me hum isi visay me janenge . Aksar naye bloggers ko suruaati dino me blog title ,description aur url par khas dhyan na dete huye dekha gaya h . Par kuch dino baad jab unhe iski importance malum hoti h tab we janana chahte h blog title , description aur url change kaise kare in bloger .
Bloger blog post me image upload kaise kare
Changes in bloger title,description url |
Agar aap bhi apne blog title, description aur url me koi changes karna chahte h . To main yanha aapko changes larne ke upay batane ja raha hun .
Jyadatar naye bloger suruaat me free bloger ka use karte h aise me unhe blogspot.com
Ke saath url milti h . Agar koi blogspot.com change karna chahta h to use custom domain kharidna hoga . Jiske liye unhe kuch paise kharach karna hoga .
Par agar aap free domain ka hi use karna chahte h to aap ko malum ho ki yanha aap apne url me sirf blog title hi change kar sakte h . For example agar spka blpg url h xyz.blogspot.com . Free blog continue karne ke liye yanha aap sirf xyz ko hi change kar sakte h . Jaise abc.blogspot.com .
Kya blogging ko hum apna career bana sakte h
Blog title , description aur url change karne se pahle janane yogy baatein
Agar aap apne blog me url change karenge to apki site ke rank aur traffic me iska asar padega . Kyunki url change hone par site
1 . Url change hone par aapke indexed post ya phir humne jo link social media me share ki h use click karne par 404 error show hoga . Ise naye url me redirect karna hoga .
2 . Blog title ke change hone par iska prabhav traffic par padega . Kyunki blog ke visitors hamare blog ko name se pehchante h . Blog ke visitors ko iski information deni jaruri h .
3 . Blog url aur title dono change karna chahte h to dhyan dene wali baat ye h ki aap ko dono ko same rakhni hogi . Kyunki dono alag hone par koi agar title se search karega to blog search result me show nahi hogi .
4 . Title aur Description ke baar baar badlne se iska asar blog ke ranking aur traffic par padeha . Isliye acche se research kar name and description likhna chahiye jisse baar baar badlna na pade .
5 . Title chota rakhe jise yaad rakhne par asani hogi.
Blog ke liye content research kaise kare .
Blog title ,description aur url kaise change kare
Dosto agar aap apne title Description aut url ko badalna chah rahe h to chaliye main aapko isme aapki help kar deta hun . Blogger me in chijo ko badalna bahut asan h .
Aap dhyan se dekhe iske baad aap khud bhi apni site me ye changes kar sakte
1 . Sabse pahle bloger ke dashboard me settings par click karna h .
2 . Ab aapke samne ek page khulega jisme blog title , description aur blog url ya address hoga . Sabse pahle title ko edit karke blog title me apne pasand ka title change karke save lar le .
3 . Iske baad description me click karke description ko bhi change kar le . Yanha aapko apne title se related descriptipn likhna h . Jisse visitors ko ye pata chale ki is blog me title sanvandhit visay me koun koun si jankari milne wali h .
Kya blogging ke paise lagte h .
4 . Ab aap ko blog address me aana h . Address me click karne ke baad usme apne blog ka address enter karna h . Yanha aapko apne title ko hi address me add karna h . Kyunki visitors blog title se bhi search karte h . Ab save par click kar le .
Aapne bloger blog me description url aur title change karna sikh liya , ab aap asani se bloger blog me ye changes kar sakte h .
Ummeed karta hun ab aapko aapke bloger blog me title Description aur url change karne me hamari ye post blog title , description aur url kaise change kare in bloger kafi madadgar sabit hogi. Agar aapko hamari post acchi lagi ho to apne dosto aur naye blogers ke sath jarur share kare .
Dhanyabad
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें