Blog post google me show ho raha h ya nahi kaise jane. 


Har blogger aur website owner ka Pahla lakshya hota h. Apne blog ya website ko Google ke search result me show karana .Iske liye appne sites ke upar bahut mehnat bhi karte h . Apne blog ke liye seo friendly content likh kar sahi tarah se optimize karke blog ko search console me add bhi kar dete h. 

Ab bari  aati h apne blog ki google me show hone ki jiska intezar har blogger bahut hi besabri se karta h . Par bahut sare new bloggers ko ye pata nahi hota h ki apne post ko google me kaise pata kare ki post index hua h ya nahi . Blog post ki stithi janne ke liye article Blog post google me show ho raha h ya nahi kaise jane ko pura pade aapko apne post position janne me asani hogi .


Blog post ko google me dekhe





Permalink kya h blog post me permalink .

Dosto aaj hum janenge hum blog bana kar bahut mehnat karke apne blog par acchi acchi articles post karte h. Par hamare ye articles search engines jaise google me show ho raha h ya nahi ye kaise pata kare . Yanha hum search engines google  bing yandex aadi ke  bare me thodi jankari kar lete h , ye search engines kaise kaam karti h .


Search engines kaise kaam karta h .


Har search engines ke apne webmaster tools hote h janha apne blog ko add kiya jata h .jisse search engine ko blog ke bare me pata chalta h .

Ab search engines ke bot blog ko crawl karte h aur blog ke bare me jankari jutate h .

Search engines ke bot ye pata laga lete h ki blog kis bare me likhi gayee h , kis bhasa me likhi gayee h , blog ke malik koan h .

Blog ke sari jankari jutane ke bad un sari informations ko apne server me store karke rakhta h .

Fir jaise jaise querry aati h google unhe show karta h  .


Blog post search engine me show ho raha h ya nahi kaise jane  .

Blog ko google search console me kaise add kare

Ab hum apne blog post ko google me search karne ki prakriya ko janenge .sayad aapne google me apne blog ko jarur check karke dekh liya hoga .

Google ke search bar me apne blog ya post type karne par hume apne blog ke sath aur bhi dusre result show hoti h. Jo dusre blogs aur unke post se related hoti h .

Aise me hume ye janane me pareshani hoti h ki hamare kon kon se post search engine me show ho rahe h. 

Ek bloggers ke liye ye janana jaruri h ki uske koun koun se post google me show ho rahe h. 


Google me apne blog posto ko kaise dekhe .


Sabse pahle Google me apne blog posts ko dekhne ke liye  . Hume google ko ye batana padta h ki hume particular is blog ya sites ke post show kare . Agar aaap chahte h ki google sirf apke blog ke post ko show kare . To iske liye  google ke search bar me type kare 


Blogging ke best 6 platforms

site:url(url ki jagah apne blog ka url likhe) .

Enter karte hi aapke samne apke blog ki wo sari post show hone lagegi jise search engines ne index kiya hua h .

Yanha sirf aapke blog ki index huye post hi show hogi .

Yanha bhi aapko apne blog post ke  alawe aapke kuch pages ,tag bhi show hoti h .

Dosto to is tarah se aap apne blog ke index kiye huye posts ko dekh sakte .

Maine  is article me aaplogo ko apne blog ke posts google me show ho raha h ya nahi ise check karne ki vidhi batai h .ummeed karta hun aap logo ko meri post blog post google me show ho raha h ya nahi kaise jane acchi lagi hogi  .