Guest post kya h ? SEO ke liye kyun faydemand h 



Hello dosto Agar aap blogging ke field me naye h to sayad guest posting ke bare me nahi jante honge . Par agar aap ek blogger  h to aap  Guest post ke bare me jarur jante hoge par agar aap ko Guest post ya guest blogging ke bare me jankari nahi h to aap ko iske bare me jarur janana chahiye .


Koi  baat nahi main aaj aap logo ko Guest posting ke bare me details me bataunga . Bloggers kaise apne blog ko papular banane aur traffic badane ke liye guest posting karte h .Dekha jaye to guest posting bhi blogging ka ek mahatvapurn hissa h . Chaliye jante h  Guest post kya h ? Seo ke liye kyun faydemand h 



Guest post kya h ? SEO ke liye kyun faydemand h
Guest post for seo








Guest post kya h ( what is guest post )


Jaisa ki name se hi pata chalta h ki guest post ya guest blogging yani kisi aur ke blog me mehmaan ya guest bankar likhna.

Maan lijiye agar aap kisi aur ke blog me koi article likh kar submit karte h .  Aur us blog ke owner dwara aapke article ko apne blog me publish karne ki permission de deta h to ye guest blogging kehlata h .


Guest blog ya guest blogging ka matlab us lekhak ya author se h jo ki kisi blog me author ke rup me name add na hone par bhi us blog me  apne article publish karta h .


Bloger ke post me headings ka use kaise kare


Guest posting kyun ki jati h .



Apne blog ko popular karne ke liye hum kisi acchi site me guest posting karte h . Aap log soch rahe honge guest posting kyun ki jati h .

Yanha main aap logo ko bata dun aaj ke is competition me apne blog me traffic badane ya phir blogging se paise kamane ke liye log kai tarah ke upay karte h . Unhi me se guest posting ya guest post bhi ek tarika h . Jise aap paise kamane aur apne blog me traffic badane ke liye karte h .


 



Guest posting ke fayde





Jaisa ki maine upar bataya h guest posting ya guest blogging hum apne blog promotion , traffic aur paise kamane ke liye to karte hi h par iske alave bhi iske kai fayde h .



1.   High quality backlinks milna



 Backlinks ek tarah ki aise link hoti h jo ki kisi dusre blog ya website se hamare blog par aati h . 
Jab hum kisi blog par koi guest post karte h to wanha se hame high quality dofollow backlinks prapt hoti h . Joki blog ke ranking me madad karti h . Kaha jata h jitne jyada acche backlinks honge ,  blog ke rank sudharne me chances jyada hoti h .



2.   Traffic increase hona .




Dusre blog me Guest posting karne se hamare apne blog me bhi traffic increase hoti h . Darashal jab hum kisi ke blog par koi post likhte h .

Jab post publish hoti h to uske sath hamari name aur blog ka link bhi diya hota h . Saath me ye bhi bataya jata h ki aapne is blog me Guest post likha h . Jab us blog ke readers post padte h , to wanha aapke blog ke link se aapke blog par bhi aate h .



3.    Blog lekhan ka sahi tarika sikhna.


Jab bhi hum dusre ke blog ke liye guest post karte h . Hamara dhyan content ki quality par hota h kyunki hum chahte h blog owner ko hamari post pasand aaye . Iske liye hum kuch extra effort lagate h .

Kai bar blog owner hamare post me kuch correction bhi chahte h , ya phir kuch aur informative post chahte h . Isse hamare blog lekhan me kuch sudhar aur nayapan aata h .


4.    Dusre bloggers se relation



Kisi blog me Guest post likhne ke dauran hum   us blog ke owner ke contact me aate h . Isse hamari bich Janpehchan hoti h aur hum new relationship bhi bana pate h .

Aksar hum acche aur bade bloggers ke site par hi post likhte h . Jisse hamari blog unki notice me aa jati h . Jisse hume future me unse help bhi milti h .


5.     Apne blog ka brand built hona.



Dusre blog me Guest post likhne ke karan  us blog ke readers jab bhi aapke post ko padenge . Tab tab jarur unki nazar aapke blog par bhi padegi .

Chunki apke post ke saath aapke blog ka name bhi hoga isse readers aapke blog ke bare me janane ko I chuke honge . Aur is tarah dhire dhire apka blog ek brand ke taur par pehchan banana suru kar degi 


Guest posting me dhyan denewali baatein




Guest posting karne se pahle kai baato par dhyan dena chahiye


  1. Jis blog par Guest posting karna chahte h . Us blog ki Alexa rank ki janch kar le . Blog me Guest post se kuch fayda hoga ya nahi iska pata karle 
  2.  Post likhte samay post ki gunvatta aur post me share kiye janewale  information ki sathyata ki parkh jarur karle . Yani ki post par sahi information share kare .
  3. Guest post likhte samay apni post ke lambai  par khas dhyan de . Jab bhi post likhe apni baato ko kam se kam 600 words me jarur define kare .
  4. Post likhte samay SEO par khas dhyan de ,  koshish kare ki aapki post search engine me jaldi hi indexed ho jaye aur jyada se jyada traffic aaye jisse aap dono ko iska fayda mile
      5. Guest post likhne ke pahle research jarur karle .Aapki post jitni jyada informative hogi log utne jyada readers post ki aur akarshit honge jiska matlab h acchi traffic . 



Guest post likhne ke liye blog ka chayan kar lene ke baad unke email se contact karke ya phir apne article ko unke email par bhej sakte h . Agar aap ka article unhe pasand aaya aur unke guidelines ke anusar article hua . To aapke article ko aapke name ke saath publish kiya jayega .

Umeed karta hun aap logo ko meri ye post Guest post kya h ? SEO ke liye kyun faydemand h acchi lagi hogi .Agar guest posting se related koi sawal ho to jarur comment kare