Yadi aapne abhi abhi apna blog suru kiya h to aapko ye janana bahut jaruri h ki apne post me headings ka use kaise kiya jata h . Agar aapne bloger me apna blog banaya hua  h to ye article aapke liye kafi faydemand hone wali h . Kripaya is article ko pura padte rahe. Is article me aage aapko Bloger blog post me headings use karne ki jankari milegi .


 Headings ke sahi use se hum apne article ko ek behtarin post me badal sakte h . SEO  ke Najariye se bhi blog post me headings ka sahi use hona jaruri hota h .



Headings ke sahi use se hi hum google se organic traffic pa sakte h . Headings me hamare post ke keywords ka use kiya jata h . Jisse Google search engine ¹se hume organic traffic milti h . Isliye har naye bloger ko apne blog ko safal banane ke liye headings ka sahi use karna jarur aana chahiye .


Blog post me headings ka use












Bloger blog post me headings 
Kya h .

Blog post me headings ke use se users ke saath saath search engine ko bhi blog ke topic paragraph ke topic ke bare me pata chalta h . Search engine title aur headings ko hi apne search results me show karta h .

Har vyakti ka koi ek naam hota h thik usi tarah har article ya paragraph ka bhi koi na koi title ya headings hoti h .

Bloger blog post me headings ka use

1 .  Bloger ke post me headings ka use karne ke liye sabse pahle hum bloger ke dashboard me new post ya post ko select karenge.

2 .  New post ya post section me hume 4 tarah ke headings milegi 

i )   Mejor Heading .
ii)   Headings .
iii)  Sub headings .
iv)  Minor headings .





Post Headings 




Bloger ke post editor me upar bataye gaye 4 headings ki tasveer niche aap dekh sakte h .





Post headings



Chaliye ab humlog in headings ke bare me janenge aur samjhenge ki hum blog post me headings ka use kaise kare jisse hume organic traffic mil sake .

Mejor headings  -- Post editor tool baar me jo sabse pehla headings hoti h use mejor headings kahte h ye generally post ke title me use hoti h 
ise hum H1 headings bhi kahte h . 

Jab bhi hum article likhte h tab hum ek keyword ka use jarur karte h . Us main keyword ka prayog hum title me jarur karte h .

H1 headings ya title se hi google search engine ya kisi anya search engines dwara hamare blog ya post ko search kiya jata h . Ya kah sakte h isi H1 heading ko search engines aone search result me show karta h .

Hum apne blog me theme ka use karte h isi theme ke coding me H1 ko title ke rup me istemal kiya jata h . Aur agar kis theme me H1 ko title ke rup me nahi dikhaya jata h to us theme ko badalna jaruri ho jata h .

Aise theme se blog ki ranking par asar padta h isliye aise theme ko badlna hi jaruri ho jata h .


Headings  --  jise hum H2 bhi kahte h , jaise ki hum article ke title me apne main keywords ka use jarur karte h jo ki hamare post ki targeted keyword hoti h . Article likhte samay main keywords ke alawe bhi hum kuch related keywords ya words ka use karte h . 

Main keywords ke alawe jo keywords hum apne article me use karte h uska upyog H2 headings me kiya jata h . 

H2  headings dene ke liye sabse pehle us related keyword ko select karke editor tool baar me normal par click karne ke baad H2 yani headings par click kare.




Sub headings  --  Article ke main keyword se related keyword ka upyog jab hum apne article me karte h tab use hum Sub headings ya H3 me use karte h .

Main keywords se related keyword ko Sub headings ya H3 banane ke liye editor tools baar me normal me click karke Sub headings me click kar dena h , is tarah  hamara H3 setting ho jaayega .


Minor  headings --  Post editor me Minor headings ko H4 bhi kahte ho . Article ya post ke main keyword related words me headings ke andar koi headings lagana hota h tab iska istemaal kiya jata h . 

H4 headings banane ke liye text ko select karke editor tool baar me normal par click karte huye Minor heading par click kare 





Blog post me headings ,sub headings and minor headings ka prayog kaise kare.


Blog post ko SEO friendly banane ke liye hume headings ka prayog karna jaruri h . Ek accha blogger hamesha apne blog post me apne article ke keywords ko headings ke rup me behtarin tarah se prayog karta h .

Maan liya jaaye aap Blog kya h aur blog kaise likhte h visay me apna article likhna chahte h . 

Yanha jaise maine upar bataya h ,hamari blog post ka title yaani mejor heading jise hum H1 bhi kahte h wo Blog kya h aur blog kaise likhte h hi hoga .

Waise hi headings yaani H2 me hum isse milte Julte words Blog kya h aur blogging kaise kare visay ko hum apna heading banate h . Headings banane ke baad 1 ya 2 paragraph likh kar phir hum agle headings ki aur badhte h .

Headings ( H1 aur H2 ) likhne ke baad hum Sub headings ya jise hum H3 bhi kahte h . Yanha hum likh sakte h Blog aur blogging se  paise kaise kamaye.

Minor headings ya H4 me bhi hum apne article ke keywords ka istemaal kiya jata h .
Blog aur blogging ke liye jaruri tips.

Headings me keywords use karte samay hume  ye dhyan rakhna jaruri h ki hume bewajh keywords ka use na kare. Ye prayah dekha jata h ki jitni lambi post hogi usme headings bhi utni jyada hoti h aur chote articles me kam headings ka use kiya jata h .


Jyadatar SEO me headings aur sub headings hi important hoti h . JismeBlogging karne ke 15 fayde  mejor headings yaani H1 me to hamari post ki title hi hoti h isliye headings ( H1) aur sub headings (H2) ko likhte samay keywords ka sahi istemaal karna bahut jaruri h .

Yaanha me aap ko batana chahunga agar aap chahe to headings (H1) ka use two times bhi kar sakte h ya phir sub headings (H2) ko bhi two times use kar sakte h .

Har headings ke baad 1 ya 2 paragraph jarur likhna chahiye . Yaani headings ke bich kame se kam 1 ya 2 paragraph jarur likhe .