Blogging se pahle kuch jaruri baatein. Blog ke bare me
Blog banane ke pehle kuch jankarian hona bahut jaruri h . Apni pichli post me maine blogs ke bare me kuch jankarian di thi to aaj humlog blog banane se pehle apne man me blog ko lekar utthi kuch baaton par thodi jankari kar lete h jo ki apke man me blog ko lekar awasya hi hogi . Aage hum blogging se pahle kuch jaruri baatein (in hindi) jaanenge .
Apni jankarian logo tak likhitrup me digitally kaise pahunchana hai ye kaam aap blog ke madhyam se asani se kar sakte h. Dosto maaze ki baat ye h ki iske liye aap ko alag se koi kharach bhi, nahi karna padega. Is lekh ko paddte rahiye main aap ko bataunga kaise aap bina paise kharach kiye aap apne gyan ka bhandar se logo ko kuch acche acche jankarian uplabdh karwa sakte h .
|
Blog ki kuch jankarian |
dosto aap upar likhe huye saare kaam ek blog banakar kar sakte h.
Sabse pehle hum janenge.
1.1 blog kya hota h ise kaise banate h
2.2 blog kaun bana sakta h.
3.3 blog banane ke liye kya kya chahiye
4.4 blog banane ke fayde kya h.
5.5 blog kaun padta h.
6.6 blog kanha padne ko milenge.
t 7.7 blog likhne walo ko kya kahte h.
8.8 blog banane ke liye kya jaruri h.
9.9 kya blog likhne ke liye computer jaruri h.
10.10 blog banane me kitna kharach aayega.
Blog ki basic settings kaise kare
BLOG KYA HOT H ISE KAISE BANATE H
Apne pas ki gyan ya kisi visay ke bare me apni jankarian logo ke saath digitally madhyam se share karne ki vidhi ko blog kahte h.blog kisi bhi bhasa me aur kisi bhi visay me kar sakte h.
Blog banane ke liye coding language ki jarurat nahi h bas internet ki thodi si jankari ke saath aap blog bana sakte h.
Mera pehla blog
BLOG KOUN BANA SAKTA HAI
hum yanha batana chahenge blog koi bhi bana sakta h.har wo vyakti jo apni jankarian apne anubhav apne vichar logo tak pahunchana chahte h aur likhne ka shouk rakhte h, internet ki thodi si jankari ke saath log apna blog suru kar sakte h.
BLOG BANANE KE LIYE KYA KYA CHAHIYE
Ek blog banane me kin kin chizo ki awasyakta padegi ye sawal jarur aapke man me utthi hogi.
Dosto mujhe ye batate huye bahut khusi ho rahi h ki wo sari chize aap ke pas uplabdh h ji haan aapne bilkul sahi samjha blog banane ke liye aap ko Gmail id , internet connection chahiye aur mobile to aapke pas h hi bas apni lekhan kala aur internet ki thodi si jankari ke saath blog bana sakte h.
Aap ko ek niche yani blog likhne ke liye ek topic ek visay hona chahiye . Jiske bare me aap apne readers ko apni jankariyan share karenge.
Kya blogging ko hum apna career bana sakte h
BLOG BANANE KE KYA FAYDE HAI
Aap ke man me ye vichar jarur aata hog ki blog banane ke kya fayde h to me yanha aap logo ko bata dun blog banane ke bahut sare fayde h sabse pehle aap ko apne vichar apna gyan logo ke saath share karne ki atmsantusthi milegi.
Aapke blog padh kar kisi ko fayda hoga isse aap jaane anjaane logo ki madad karenge .
Aap ko apne blog ke karan logo ke bich prasiddi milegi aage chalkar aap apne blog ke madhyam se kamai bhi kar sakte h.
BLOG KOUN PADHTA HAI
Ji haan apka sochna ekdam sahi h akhir koun padta h ye blogs to main yanha aap ko bata du har wo insaan jo internet use karta h aur apne problem ke solution ke liye Google me search karta h , wo darasal solution ke rup me blogs hi padte h.
Kyun ki jab bhi koi vyakti google me kuch search karta h aur google apne search result me uska jawab dikhata h darasal wo saare blogs aur websites hote h jo hamlog google me post karte h.
BLOG KANHA PADNE KO MILENGE
ye sawal ka jawab janne ki iccha jagna lajmi h ki hum blog kanha se pad payenge to aap jankar chakit rah jayenge ki aap aksar Jane anjaane blog dekhte aur padte ho .
Darasal jaisa maine upar bataya h aap jab bhi kisi problem ka solution google se puchte h tab google aapko solution ke rup me jo results deta h wo aap hum jaise logo dwara banaye blogs aur websites hote h .
Hum kisi bhi browser me search karke blog pad sakte h jyadatar log iske liye google ka use karte h .
BLOG LIKHNE WALO KO KYA KAHTE H.
Har vyavsay har chetra se jude vyakti ko hum uske karyanusar uska upaam se janate h jaise ki vyavsay karne walo ko hum vyapari kahte h shiksha se jude vyakti ko hum shikchak kahte h waise hi blog krne walo ko hum , sahi anumaan lagaya aapne unhe hum BLOGGER hi kahte h.
BLOG BANANE KE LIYE KYA JARURI H.
jaise mene upar bataya tha blog banane ke liye
Gmail Id ,Internet aur computer ya mobile chahiye, blog post likhne ke liye aap ko bata du hum apne blog me jo kuch bhi likh kar post karte h use hum blog post kahte h.
Haan to blog likhne ke liye blog sambandhit visay ya jisse blogging me niche bhi kahte h ,ki acchi jankarian honi chahiye , lekhan kala me ruchi hona chahiye. Apne blog ki bhasa ki acchi jankari hona chahiye.
BLOG BANANE ME KITNA KHARACH AAYEGA.
zero sayad Aap chounk gaye honge par dosto ye bilkul sahi baat h. blog banane me koi paise nahi lagta h . google sahit kuch platform's me naye blogger ke liye free blog banane ki suvidha h janha aap apna free blog bana sakte h.
Blog banane ke liye hum free bogging platform's ka use kar sakte h par ek blog ko successful banane ke liye hume kuch amount invest karna padta h .
Jaise domain aur hosting ke liye jisse blog ko ek professional look diya ja sake . Blog ko successful banane me blog ki professional look bahut madadgar hoti h.
dosto aaj maine aap logo ko blogging se pahle kuch jaruri baatein ( in hindi) sambandhit kuch jtankariyan uplabdh karwane ki koshish ki h umeed karta hun aaplogo ko meri ye koshish acchi lagi hogi. agle post me blog banane ki jankari le kar phir aaunga.
Post padne ke liye dhanyabad.
3 Comments
Bahut badhiye... bahut achi jankariya or bahut sahi dhang se batai gayi h...
जवाब देंहटाएंThank you
जवाब देंहटाएंNice post
जवाब देंहटाएंएक टिप्पणी भेजें