SERP kya h ? SERP me acche performance ke liye kya kare
Hello dosto kya aapne SERP ke bare me suna h jarur suna hoga par jin logo ne SERP ke bare me nahi suna h unke jankari ke liye bata dun SERP ka full name hota h Search engine result page .
Chaliye aaj hum janenge SERP kya h ? SERP me acche performance ke liye article SERP kya h ? SERP me acche performance ke liye kya kare jarur pade .
SERP kya h. |
Internet me hum jab browser ke dwara kisi chize ke bare me search karte h aur humare samne jo page khulti h use hum SERP kahte h.
Ji haan aap bilkul sahi samjh rahe h isse to roj aap ka samna hota hi h ya kah sakte h isse to roj hamara pala padta h.
Google me hum aksar apne sawalo ke jawab pane ke liye search karte rahte h ( me to kafi search karta rahta hun ) .
Ab hum baat karenge ye blog ke liye itna important kyun h SERP se blog ko kya fayda h. Kya blog ke liye ye jaruri h. SERP kaise humare blog par asar karta h.
Blog post ko sirf SERP me jagah dilana hi kafi nahi hota h balki unchi rank hasil karni hoti h.
Unchi ranking hasil karke SERPs ke first page me jagah banana hi har blogger ka lakshya hota h aur hona chahiye .
SERP me jis rank me hamari post show hoti h use hum page rank bhi kahte h .
Yanha me aapke jankari ke liye bata dun survey me paya gaya h ki 70% se 75% visitors apne search ke dauran SERPs ke first page se aage badte hi nahi h.
Yani first page padne ke baad SERPs se bahar aa nikal jate h . Aise me aap samajh hi sakte hai ki aap ko apne post ko SERP ke pshle page me show karana kitna jaruri h.
Blog ki basic settings kaise kare
SERP kaam kaise karta h
SERP me jo results show hote h wo ya to organics hote h ya phir paid results hote h.
Organic results
Organics results me we contents ya post hote h jo webmaster tool dwara indexed ki hui hoti h. Ya kisi vyakti dwara indexed hoti h .
Aise results search engine ke Algorithm ke anusar show hote h. SEO experts organics results ke liye kam karte h . Kyunki organic result blog ki ranking badati h .
Paid results
Paid results me post ke SERP me show karane ke liye paise diye jate h . Ye organic results ke tulna me kafi mahanga hota h .
Jo log financially sacham hote h aise log hi paid results prefer karte h.
Sabhi search engine ek dusre se alag hote h chahe unhe ek hi keywords ya search queries se ek hi search engine me search kya jaye.
Aisa isliye hota h Kyunki search engines users ke anusar , uske location ,exerience aur browsing history ke adhar par results show karta h .
Blog ko google me kaise add kare .
Blog post me headings ka use kaise kare
SERP me ranking sudharne ke liye kuch tips
Post Interlinking
SERP me ranking tai karne me blog me aanewale traffic ki bhumika bahut important hoti h . Hum apne blog k new post ke saath apne purane aur popular post ko link karke traffic bada sakte h .
New post ke saath purane ka link share karne par yanha aapko dono post par traffic badnee ka labh milta h . Isse SERP me sudhar hota h . Par yanha dhyan dena hoga link sirf related topic ka dena h.
Referal link
New post ko publish karne ke baad social media me share karne se traffic badti h.
Traffic badne ka asar SERP ke ranking me bhi hota h . Blog ki ranking high hoti h . Isliye post ke published hone ke baad social media me share karna na bhule.
Seo Image
Blog post me image jarur use kare. Image se visitors bahut impress hote h . SEO friendly image post me use kare. SEO friendly image blog post me traffic increase karta h .
Robot txt file
Ye aisi file hoti h jo apne aap blog banane ke saath hi generate ho jata h . Iske madad se aap apne blog ke post ,đ blog ke file ya pages ko aap chahe to noindex kar sakte h .
Kisi bhi post ya pages ka kya dikhana h kya nahi ye aap yanha se set kar sakte h.
Meta Description
Visitor kisi bhi posts ko padne se pehle blog ki title aur Metas description ko jarur dekhte h.
Meta dekh kar hi wo decide karta h ki post ko pade ya na pade . Meta description ka sahhi use karke hum apne visitors ko blog ke prati akarshit kar sakte .
Aur jaise ki hame malum hi h jo visitors , readers ko pasand hota he google bhi use pasand karta h.
Matlab Google ke result page yani SERP me achi ranking ke chances jyada hota h. Isliye Meta description likhte samay post se sambandhit words ka hi use kare.
Aaj ke post me humne jana SERP kya h? SERP me acche performance ke liye kya kare , umeed karta hun aaplogo ko ye post pasand aayee hogi . Dhanyabad
2 Comments
Sir aapne SERP ke bare me bahut achi jankari share ki h . SERP me apne article ko rank karane ke liye hume kya karna chahiye.
जवाब देंहटाएंNice article
जवाब देंहटाएंएक टिप्पणी भेजें