Meta tag aur Meta Description kya h ? Meta Description kaise likhe  .



Ek successful blog me meta description bahut hi important bhumika nibhata h .

Agar aapne bhi apna blog banaya ho to aap ne jarur apne blog me meta description likha hoga .

Ye ek blog ke safalta aur search engine me acche rank ke liye bahut jaruri hota h . Isliye har blogger ko ye janana jaruri h ki Meta description kya h ? Blog ke liye meta description kyun jaruri h. 

Par bahut se naye blogger ise gambhirta se nahi lete h aur jaise taise description likh kar save kar lete h. 

Agar aap ko bhi meta description kya h ? janana h to is article ko pura pade .


Agar aap blogging karte h ya blogging karna chahte h to aap ko jarur malum hoga apne blog me acche traffic lane ke liye hume acchi quality ke articles likhni hoti h . Saath hi seo optimize par bhi vishes dhyan dena hota h .


Seo optimize ke antargart Meta tags ka use karna hota h . Isi meta tags me Meta Description bhi seo optimize ka ek term ek part hota h .

Isliye chaliye hum ab meta tags ke bare me kuch jaan lete h .



Meta tag and Meta Description







Meta tag kya h


Meta wo informations wo jankarian hoti h jo kisi post ke page ya content ke bare me batati h . 

Search engines is meta information se website ya blog  ke  ek page ke content ke bare me information leta h. 

Meta information blog ya websites ke kisi page me dekhne ko nahi milti h . Ye kewal search engines ke liye visible hoti h .

Meta tags ek html code hoti h jo ki blog ya websites ke html code me head section me hoti h . 

Search engines isi meta tag se blog ke pages aur content ke bare me pata lagata h .

SEO me hum mukhya rup se 3 Meta tags ka use karte h. 


1)    Meta Title

Search engines ke results me sabse pehle meta title hi show hota h . 

SEO aur SERP me Meta title sabse mahatwapurn tag hota h iske bina search results me apne page ya post ko lana muskil h .

Hume apne main keywords ko apne post ke Meta title tag me jarur samil karna chahiye .


2)   Meta Description 


Meta Description me hum apne blog ke article ke bare me search engines ko batate h ki hamari article kis bare me h. Ye bhi Meta tag ka hi ek part h. Isme hum apne article ke bare me sanchep me varnan karte h yani humre article ki summary hoti h.


3)     Meta Robots tag 


Robots tag ki madad se hum search engines ko ye bata sakte h ki hamari blog ke kis page ko index karna h aur kis page ko index nahi karna h. Kis link ko follow karna h aur kise nahi karna h 

Saath hi search engine ke bots ko hamare blog ko crawl kar indexed karne ke liye invite karte h.


Meta  Description kya h.




Description hamare blog ke bare me sanchep me visitors aur search engines ko batata h ya kah sakte h hamare blog ki summary hoti h. 

Meta Description on page seo ke antargat aata h .

Hume 150 character me apne blog post ko acche se define karna hota h .
Visitors ke search result page me hume 3 chije dikhti h.



Meta Title
URL
Meta Description


Apne blog post ke bare me aapne visitors aur search engines ko batane ke liye Meta Description ko attractive likhna hota h.

Meta Description ka importance 
aap is baat se andaaza laga sakte h. Agar aapke blog me aapne Meta Description nahi likha h to search engine ke bots khud se aapke content ke kisi parts ko Meta Description choose  karke use publish kar deta h . 

Meta Description me length ka vises taur par dhyan rakhna hota h jise hume 150 se 160 character ke andar likhni chahiye. 

Letters ki sankhya adhik hone par search engine use show nahi karte h. 
Apne post ke keywords ka use Meta Decription me jarur kare ye search engine ke liye effective hoti h. 

Description hamesha post related hi likhe galat Description se visitors bhramit honge jo blog ke liye sahi nahi h. 

Description hamesha simple language par attractive likhe. Visitors title ke sath description ko bhi padhkar post ki aur attract hote h. 

Blog ko kahi share kare to Description jarur likhe.

Kabhi bhi kisi aur ka Description copy na kare google ise samjh jata h aur wo aapke post ko index nahi karega.

Meta Desription me kisi symbol ka use nahi karna h .


Blogger blog post me Meta description kaise likhe



Blogger ke dashboard me post select kar us post ko select kar le jisme description likhna h.

Post open hote hi uske right side me setting ke option me jaye.




Post setting



Ab search description ko select kare .


Meta description 




Yanha aap ko 150 character me apne post ke keyword ke saath simple language me  post ke bare me likhna h .

Bus ab aapke blog me seo optimize description add ho gaya h .

Dosto aaj humne  Meta tags ,types of meta tags Meta Description ,description likhne ke tarike aur blog me meta description kaise likhe ke bare me Jana .
Agar aap ko meri article Meta tag aur Meta Description kya h ? Meta description kaise likhe useful lagi ho to jarur apne naye blogger sathiyon jo blogging suru kar rahe h unse jarur share kare. 
Dhanyabad .