Domain name kya. h? Blog ke liye Domain name kyun jaruri h
Domain name kya h? aap ko ye jarur janana chahiye . Waise aap logo ne domain ka naam to jarur suna hoga . Internet , websites ke saath domain ka bhi naam sunane me aa jata h .
Aksar websites ke saath me domain ka jikar bhi kiya jata h.
Par kya aap Jante h domain kya h ?
Agar aap ko nahi malum domain kya h . To koi baat nahi aap is article Domain name kya h ? Blog ke liye Domain kyun jaruri h ko padte rahe mujhe puri umeed h article ke khatam hone tak aap domain ke bare me kafi jankari ekkatti kar chuke honge.
Ji haan aap ne bilkul sahi anuman lagaya aaj ke article me hum domain ke bare me janenge .
Domain kya h ?
Jaise ki hum jante h ki har ek website kisi na kisi Ip address ke dwara internet se jude huye hote h . Isi Ip address ( numeric form me ) ka namkaran domain name ke rup me kiya jata h jise yaad rakhne me asani hoti h .
Thik jaise har insaan ka ek naam hota h jiske dwara use pahchana jata h . Samaj me uske naam ka ek pehchan banta h . Thik usi tarah internet me ek websites ke naam ko hi domain kaha jata h jo ek website ka address bhi hota h . Jisse internet me ek website ko pehchana jata h.
Ek domain name se hi ek websites ki pehchan banti h .
Agar aapne koi nayee website wyz.com banaya h .
To internet ki duniya me aapke website ko wyz.com ke naam se hi jana jayega . Jo ki aapke website ka naam ke saath hi internet par aapke website ka address bhi hoga .
Kisi ko aapke website par visit karne ke liye isi web address ya domain name par hi search karna hoga .
Domain name kyun jaruri h.
Internet me aapko lakho caroro ki sankhya me websites mil jaayegi aise me kisi khas website tak pahunchna bina domain name ke bahut hi muskil h.
Pahle Kisi websites tak pahunchne ke liye website ka Ip address ki jarurat hoti thi , jo ki no ke form me hoti h .
Ip address jo ki no form me Jaise 124.114 .32.4 .
Aise no form ke saath hum jyada website ka address yaad nahi rakh sakte h par domain name yaad rakha ja sakta h .
Domain name asani se famous ki ja sakti h .
Ip address ki apecha domain name easily popular ho jati h .
Visitors ko hamare blog ke post acche lagne par we wapas hamare blog me aana chahenge , par unke liye Ip address yaad rakhna muskil hota h par domain se unhe hamare blog ki address yaad rakhne me asani hoti h .
Isi Ip address ko user friendly aur easy to remember banane ke liye domain name ka use kiya jata h .
Kuch top level ke domains
.com (commercial use )
.org (organization use )
.net (network)
gov (government)
.edu (education related )
.info (information purpose )
Domains kanha se kharide .
Apne blog websites ya business ke liye domain kharidne ke liye aapko kisi acche domains name provider ki service leni chahiye . Janha aap account register karke ek accha aur unique Domain name kharid sakte h .
Kuch domains service provider ke naam janha se aap domain name purchase kar sakte h .
Go daddy
Bigrockq
Namecheap
India link
Sub domain
Sub domain ek top level domain ka chota hissa hota h. Ek main domain me 100 sub domain banaya ja sakta h . Jo ki bilkul muft hota h .
Meri yah website apnihindise.blogspot.com blogger ke free sub domain pe bana h.
Yanha apnihindise sub domain h or main Domain name system(DNS) blogspot.com
Domain name kaise banaye .
Blogging karne ke liye hume bhi apna ek blog ya website banana padta h jiske liye hume ek blog name ya domain name ki jarurat hoti h . Jo hamare blog ya website ki pehchan banti h.
Internet ke duniya me apne blog ya websites ko establish karne popular karne ke liye hume apne blog ya websites ke address, blog ka naam ya blog ke domain name ko chota akarshak aur easy to remember rakhna chahiye .
Bade aur bedhanga naam user ko yaad rakhne me problem hogi . Sochiye jo naam hi sunane me atpata aur lamba hoga us sites me kya visitors jana pasand karenge .
Isliye domain name chunane me in baaton ka jarur dhyan rakhe.
Hamesha short domain name select kare jo yaad rakhne me asaan ho .
Kisi se miltajulta name na ho kuch unique name choose kare.
Domain me special character or numbers na rakhe.
Domain hamesha aapke niche ke anusar related rakhe.
Aaj aapne Domain ke bare me kafi kuch jaana ummeed karta hun ab aap domain kya h acchi tarah samjh chuke honge . Meri article Domain name kya h ? Blog ke liye domain name kyun jaruri h .agar aap ko useful lagi ho to apne sathiyon jo blogging karna chahte h unke ssath jarur share kare.
2 Comments
Hello Sunil jee, mujhe apke blog se bahut kuch jankariya milti hai.. aap issi tarah blog likhte rahiye.. mera ek sawal hai ki Domain ko blog se kaisey add kar sakte hai?
जवाब देंहटाएंJi dhanyabad , jaldi hi is visay me post likhunga .
जवाब देंहटाएंएक टिप्पणी भेजें