Hosting aur Web hosting kya h?Web hosting kaise kaam karta h




Websites ya blog ko internet me show karne ya online karne ke liye web hosting ki jarurat hoti h . Agar aap apna blog ya website banana chahte  h to aap ko hosting ke bare me jarur jankari hona chahiye .    


 Agar aap ko nahi malum Hosting aur web hosting  kya h ? Web hosting  kaise kaam karta h is article ko pura pade aaj ke is article me hum isi visay me janenge. 


Jo log online business suru karna chahte h ya phir online apne jankariyan logo ke sath share karna chahte h unko ek website ki jaruůrat hoti h.  

Website ko online karne ke liye hume apne website ke contents ko  Internet me store karne ke liye kuch space kuch jagah ki jarurat hoti h. 

Aap logo ko malum hoga Internet me moujud data images, videos , files ya koi information kisi na kisi server par store rahti h. 

Inhi server me hume apne websites ya blog ke liye kuch space ki jarurat hoti h.


Hosting meaning 


Hosting ko hum hindi me mejbani kahte h . Mejbani yaani ghar me aaye huye mehmano ka swagat  aur adar satkar karna . 

Jaise ghar me aaye mehmano ka swagat adar satkar kiya jata h thik waise hi Internet me hamare blog me aane wale visitors ka mejbani apne ache service se karna hota h. 


Web hosting kya h. 


Internet me websites ya blog  ko apne visitors ki mejbani aur service dene ke liye ek jagah ek space ki jarurat hoti h . Janha websites apne contents ,text,images,video aur files ko store karke rakhta h . 

Fir visitors ke kisi bhi browser se search karne par  websites apne services deti h. 

Internet me blog ya website ke liye isi space ya jagah ko Web hosting apne server par uplabdh karwati h . Ise hum   Internet me websites ka ghar bhi kah sakte h.

 Ye server bahut powerful hote h jo ki 24 ghante internet se jude huye hote h . Jisse hamare website 24 hrs visitors ke liye available hoti h. 

Koi bhi jab chahe hamare website ko search kar dekh sakta h .

Hum apne computer ko bhi server ke rup me istemal kar sakte h.  Par iske liye kafi technical knowledge ki jarurat hoti h saath hi server ko 24 hrs active rakhna hota h.

Server ke off hone se hamare website Internet me perform nahi kar payegi .

Ye process technically aur kafi kharchila hone ke saath saath  24 hrs service ke liye upyukt nahi hote h.

Isliye hum Web hosting uplabdh karwane wale website ki seva lete h. Janha unke technical staff or experienced personel 24 hrs ki seva dene ko taiyyar hote h . 

Jo kam kharach me  monthly ya yearly package ke hissab se apne web hosting plan bechte h . Jiske ebaj me hume unke server me apne blog ya website ko host karne ka mouka mil jata h.  Janha se hum apne website host kar sakte h .


Web hosting kaise kam karta h 


Web hosting me hosting service dene wale websites kuch paise charge kar apne server me hamare websites ya blog ko hosting karne ke liye kuch space uplabdh karwati h. 

Web hosting ka kaam websites ke data ko Internet par upload karna hota h 

Web hosting ki service lene ke karan hamare blog ya websites ki data unke server par store ho kar rahti h . 

Chunki Web hosting ki server internet se connected rahti h isliye hamari data bhi Internet me uplandh hoti h. 

Jab bhi koi users hamare blog ya websites ko kisi browser se search karta h to browser ke internet me hone ke karan uske computer ya device ka connection us server se ho jata h janha se humne apne blog ya websites ke liye web hosting ki suvidha li hui h .

Ab uske baad web hosting ki server hamare blog ya website ke data jo ki text, image, video ke rup me hoti h use user ke browser me show kar deti h. 


Web hosting ke prakar 


Web hosting waise to kai prakar ke hote h . Par blog ya website banane me hum mukhy rup se 4 tarah ke hosting ka use karte h. 


Type of hostings :

1)  Shared 

2)   Dedicated

3)    VPS

4)    Cloud 


Shared hosting 

Jaise name se hi pata chalta h yanha bahut sare website ek hi server ko share karte h. 


Dedicated hosting 

Dedicated hosting me ek pure server par sirf apka hi adhikar hota h. Par sirf aapke use karne ke karan iski puri charges aap ko deni hoti h jo kafi mahanga hoti h .


VPS hosting 

Yanha aapko shared hosting aur dedicated hosting dono ka misran nazar aayega .

Yanha ek server ko kai chote servers me divide karke har website ko diya jata h jis par us website ka adhikar hota h.


Cloud hosting 

Cloud hosting me websites ke liye ek server ki jagah kai server milkar ek websites ko apni hosting ki service deti h .


Dosto ab tak to aap ko hosting ke bare me kafi jankari ho chuki hogi  jaise Web hosting kya h , web hosting kaise kaam karta h, types of hosting. ( Agle article me Web hosting ke bare me aur jankari le kar aaunga).

Ummeed karta hun aaplogo ko Hosting aur Web hosting kya h ? Web hosting kaise kaam karta h acchi lagi hogi. Agar ye article aap ko useful lagi ho to apne un dosto se jarur share kare jo blogging me intrested ho.  Dhanyawad