Bounce rate Kya h ? Kyun hota h aur kaise kam kare
Agar aapne abhi abhi apna blog suru kiya h to sayad aap bounce rate se parichit nahi honge par agar aap bounce rate se parichit h . Aap jante h ki bounce rate Kya h to ye acchi baat h .
Halanki abhi aapne apna blog suru hi kiya h aur usme kuch hi post publish kiye honge aur aap bounce rate ke bare me bhi jante h .
Par aapko bounce rate se bichlit nahi hona chahiye . Kyuki naye blogs me ye hota hi h kyunki naye blogs me post kam hone ki wajah se aisa hota h .
Par hamare un saathiyon ke liye jo blogging karte aa rahe h bounce rate kaan khade karne wala signal hota h . Aakhir bounce rate par ek blogger itna satark kyun rahta h . Chaliye hum janenge bounce rate Kya h .
SEO kya h seo kaise kare aur kyun jaruri h .
Bounce rate kya h ? |
Bounce rate Kya h ?
Bounce rate kisi bhi website ya blog par aane wale visitors ke sankhya ke percentage se related hota h .
Blog par aanewale visitors blog par aane ke baad sirf ek page ko padh kar ya phir bina padhe blog se bahar chale jaate h isse hum bounce kahte h aur aise visitors ke percentage ko hum bounce rate kahte h .
Aise visitors jo blog ke landing page yaani jis page me click kar wo blog ya websites me aate h . Sirf usi page ko padhkar ya sirf click kar blog ke baki page ko binaa dekhe bina click kiye blog se bahar ho jate h .
Sayad aap ke blog ki article utni acchi na likhi gayee ya attractic na ho. Ye bhi ho sakta blog ki design acchi na ho.
Agar apki blog ki bounce rate badh rahi h to aap ko savdhan ho Jana chahiye aur samajhna hoga ki aapke blog me kuch to galat h .
Bounce rate badhne ka matlab h aapke blog ke visitors ka kam hona yaani aapki ranking aur income me iska sidha asar padega .
Bounce rate jitni hogi ya jitni percentage hogi iska matlab utne percentage log hamare blog ke ek page me click kar ke aane ke baad dusre pages ko dekhe bina bahar chale ja rahe h .
Iske kai karan ho sakte h , ab to aap bounce rate kya h samajh gaye honge.
To chaliye ab hum janenge
kitni bounce rate ek blog ke liye haanikarak h ,bounce rate adhik hone ke karan,Bounce rate ko kaise kam kare .
Blog me bounce rate
Blog me bounce rate ke bare me to hum log jaan chuke h chaliye ab me aap logo ko bata du ek blog ke liye kitni bounce rate hona chahiye aur kitni bounce rate ek blog ke liye hanikarak h .
Isse hum is table ke dwara samjhenge
- 1% se lekar 20%
- 20% se lekar 50%
- 50% se lekar 70%
- 70% se adhik
Yanha pahle group yani 1% se lekar 20% bounce rate wale blog ya website bahut hi acche mane jate h yani kamyab blog hote h
Dusre group yani 20% se lekar 50% bounce rate wale blog bhi acchi mani jati h . Yani ye bhi safal blog ke list me aate h .
Tisre yani third group me 50% se lekar 70% bounce rate wale blog bhi thik thak hote h yani kuch acche blog ki list me aate h .
Choutha, fourth bounce rate group wale yaani 70% se adhik bounce rate wale blog aisi blog ko aur Behtar karne ki jarurat hoti h. Itni bounce rate blog ke liye hanikarak hoti h jo blog ke ranking par bura asar dalti h .
White hat seo kya h seo ke technique kaise kare
Blog post ke liye content research
Custom redirect kya h bloger me url kaise redirect kare
Bounce rate adhik hone ke karan.
Ek blog me kai karano se bounce rate bad jati h jaise .
- Blog me acche content ka na hona
- Articles ka niras ya interesting na hona .
- Blog ki design ka sahi na hona.
- Copy paste content aur post me koi nayapan na hona.
- Blog ki writing format me gadbadi ya vyavasthit na hona .
- Blog ki posto ka aapas me interlinking ka na hona ya interlinking ka sahi na hona
- Blog ki loading speed slow hona
Bounce rate ka seo par asar .
Bounce rate ke badne se blog ke ranking me kaise asar karta h chaliye ise bhi samajh lete h.
Jab bhi kisi blog ki bounce rate badti h to search engines samajh jata h ki blog me jarur kuch kamiyan h .
Search engines ke pas aise nagative messages jane ke karan blog ki nagative chhabi ban jati h .
Nagative chabi ke karan blog ki ranking kam hone lagti h . Jisse blog me trafic bhi kam ho jati h. Jiska asar blog se income par padta h .
Bounce rate kaise kam Karen.
Bounce rate ko kam karna to sidhi tarah se hamare haato me nahi h ye to visitors ke mood , taste aur intrest ke upar depend karta h . Par hum bounce rate ko kam karne ki koshish aur upaay kar sakte h .
Ye rahe kuch tips jisse hum bounce rate ko kam kar uspar lagaam laga sakte h
.
Quality content
Apne blog me quality aur informative articles likhna jisse visitor apke blog me bar bar acche aur informative article ke liye aaye aur lambe samay tak blog me article pade .
Blog design
Visitors blog ke design se bhi akarshit hokar blog par aate h . Visitors blog ke acchi aur manmohak design dekhksr pehli bar blog me aate h aur articles acchi lagne par wo blog ke dusre post ko bhi padta h . Jisse wo kuch samay blog par bitata h .
Interlinking
Blog me posts ko ek dusre se jodne ke liye interlinking a jata h . Jisse readers ko blog ke dusre post ko padne me suvidha hoti h. Sahi tarah or sahi jagah par kiya gaya interlinking hamare readers ko blog me engaged rakh sakta h . Jisse bounce rate me kami laya ja sakta h .
Loading speed accha hona
Blog ki loading speed par khas dhyan dena chahiye . Agar blog ki loading speed kam hogi to readers blog ke load hone ka intezaar nahi Karenge aur turant blog se bahar ho jaayenge .
Bounce rate badne me blog ki loading speed bhi ek bahut badi karak h.
Interesting article likhna
Blog ki article acchi hone ke saath hi intresting bhi hona chahiye .yanha intresting se matlab h article rochak ho jisse padne par readers ko maza aaye , article aage padne me unka interest jaage or wo article ko pura pade .
Article rochak aur interesting hone par readers blog ke saath jude rahte h.
Apne readers ke taste pehchanna
Apna article likhte samay kai baato ka dhyan rakhna padta h usme se ek h apne blog ke readers ko janana .
Jaise aapke jyadtar readers kis tarah ki article padna chahte h , kis tarah ki jankari kis tarah ki information padna pasand karte h
Isse aapke readers blog ke permanent readers bhi ban jaate h .
1 Comments
Great piece of content. I really appreciate the writer who took great initiative to create such a wonderful content.
जवाब देंहटाएंएक टिप्पणी भेजें