Perfect blog post ke liye naye content ideas kanha se laye.
Agar aap ek blogger h ya Phir apna blog suru karna chahte h par blog post ke topic ki samasya se jujh rahe h aur aap ko koi acchi topic hi nahi sujh rahi h .
To sabse pahle relax ho jaye aur is article ko pura pade article ke khatam hone se pahle hi aap apne blog post ke liye bahut hi asani se acche acche topic select kar payenge .Aur future me aapko kabhi blog topic ke liye itna pareshan nahi hona padega .
Es post perfect blog post ke liye naye content ideas kanha se laye , ke complete hone se pahle hi aapke pas aapke agle kai post ke liye topic pahle se hi moujud rahegi . Jisse aap apne article me apna pura focus kar paayenge.
Blog post content ideas |
Blog post topic and contents
Blog ko google search console se kaise add kare
Blog post content se matlab blog ke post me likhe visay ya topic se h . Contents ka sahi chunav blog ki saflta me aham yogdan deti h .
Blog ka sabse mukhya bhag content likhna hota h . Content ko acchi tarah likhna aur acchi content select karna blogging me bahut jaruri h .
To chaliye aaplogo ko blog ke liye badia badia topic select karne ke kuch acche tariko se parichit karwata hun.
Sabse pahle apne blog ka niche ka chunav hamesha bade vistaar chetra wala rakhna h. Janha aapko article likhne ke kai area kai topics milenge.
Maan lijiye jaise aapne apne blog ka niche mens fashion select kiya h janha aap sirf mens fashion ke bare me likhenge , par agar aap sirf fashion related niche rakhenge to aap usme men ,women,child fashion se lekar fashion related topics par bhi likh paayenge.
Fir aap ko article ki kami nahi hogi . Isliye sabse pahle niche ka selection soch samajh kar kare .
Apne blog ko successful banane ke liye aap ko lagatar post lilhne honge. Article likhne ke liye naye naye ideas create karni hogi .
To dosto chaliye main aapko kuch ideas suggest kar deta hun jisse aap apne blog post ke liye topic dhund paayenge.
Blog ke liye content research kaise kare
Blog post title seo aur users kaise friendly
BLOG POST KE LIYE NAYE CONTENT IDEAS
1. . Google trends :
Google trends Google ki hi ek service h. Jiski madad se hum kisi bhi keywords ke bare me jankariyan ekkthi kar sakte h .
Darasal Google me hum jo bhi search karte h un search words ko Google record karke rakhta h . Fir jarurat padne par kuch badlaw ke saath results show karta h .
Google trend se kisi bhi keywords ke bare me pata kar sakte h ki un keywords ko kitni bar search kiya ja raha h ,kanha search ho raha h.
Keywords ke vartman search report se uski position pata chalta h.yanha hum keywords ke bich comparison bhi kar sakte h.
2 . News apps :
Apne blog post ke liye topic aap ko news se bhi mil jayegi , bas aapko apne mobile me kuch acche news sites ko download kar install kar lena h daily sites me search karne par aap ko kai topics ideas mil jayegi . Usme se aap apne niche related topics choose kar sakte h .
Agar aap ka blog fashion, sports ,entertanment , technology ,health niche ke saath h to apko news app se kafi madad milegi . News sites se sirf idea lena h par article khud se hi likhni h. Kabhi bhi kisi article ki copy nahi karni h .
3 . Newspaper and Megazine .
Regular pratidin newspapers aur megazine padne par inme chapne wali bahut se article se aap ko apne blog post ke liye acche topics mil jaayegi.
Paper aur megazine kai prakar ki hoti h. Aapko apne blog niche se related megazine aur paper hi padni h . Agar apka travel blog h to aap ko travel related megazines hi padni chahiye .
4 . Dusre blogs padkar
Apne niche se milte julte blogs ko padna bhi naye post ideas ke liye accha hot a h . Isse naye naye ideas milti h jisse aap apne blog ke liye article likh sake .
Dusre blogs Blogs ko padne se hume 2 fayde hoti pehla hume naye post ke liye ideas milti h.
Dusra hume ye pata chalta h ki same niche me dusre bloggers kya likhte h aur kaise likhte h . Isse apne blog ko auro se accha likhne aur post banane ki prerna milti h . Dhyaan rahe article me aap ki creativity honi chahiye copy paste nahi karna h . Yani dusre post se prerna lekar khud se article likhe .
5 . Apne readers ke sampark me rahna .
Apne readers ke connect rahne aur unke comments ka reply karne par aap ko apne aap kai ideas mil jaayegi .
Aapke readers aapke blog me kya padna chahte h , kis topic ke bare me jankariyan chahte h . Ye unke comments se pata chal jata h .
Agar aap apne readers ke sawalo ka jawab dete h to aapke readers ka viswas aapke upar badega . Saath hi aapko naaye post ke liye unse ideas milti rahegi .
6 . Google ke suggested searches se
Hum log jab bhi Google me kuch search karte h to google hume search results ke saath kuch searches suggest bhi karta h .jo ki google me log jyadatar search karte h . Yanha se bhi aap article ki idea le sakte h .
7 . Q&A forums join karke :
Log apne blog se related sawalo ke jawab pane ke liye koi acchi Q&A forum join karte h.
Janha bloggers apne sawalo ko rakhte h aur chahe to forum me blog related kisi bhi sawalo ka jawab bhi de sakte h .
Aise sites me naye blogers ko bahut help mil jata h . Naye hone ke karan unhe blogging sambandhit kai pareshanian aati h . Yaan unhe unke sawalo kavjawab mil jata h .
Yanha blogging related kafi sawal jaeab hota h jisse apne blog ke article ka idea aapko yanha se bhi mil jata h .
Bloger post me headings ka use
Conclusion :
Post padne ke baad ab to aap acchi tarah samajh hi gaye honge ki blog post likhne ke liye ideas kanha se create kare .
Iske alawe bhi kai tarike h jisse hum article likhne ka ideas le sakte h . Jaise Quora , facebook groups , twiter me bhi aapko aacche acche topics ideas milenge .
Dosto aaplogo ko meri ye post perfect blog post ke liye naye content ideas kanha se laye kaisi lagi ummeed karta hun aaplogo ko acchi lagi hogi. Agle post me kuch aur jankariyan ke saath aaunga.
Dhanyawad
2 Comments
Nice.....!
जवाब देंहटाएंThank you
हटाएंएक टिप्पणी भेजें