Blogging ke best 6 platforms
Blog banana aur blogging karna iske liye hume ek platform ki jarurat hoti h janha hum blog bana kar blogging kar sake.
Blogging ke liye best 6 platforms |
Aisi bahut sari websites h jo hume ye platforms uplabdh karwate h. In platforms me se kuch free aur kuch paid platforms hoti h . Aaj hum aise hi blogging ke best 6 platforms ke bare me janenge.
Blogging karne ke liye koun sa platform accha h ye sawal har naye bloggers ke man me rahti h fir chaehe wo blog suru karna chahta ho ya jisne abhi blogging ki suruaat ki ho . sabhi janana chahte h blogging ke liye koun sa platform upyukt h.yanha me batana chahunga ki blogging karne ke karano yaani uddesyo ke anusar alag alag platform h.
Jaise koi sirf shoukiya blogging karta koi blogging se paise kamana chahta h koi prachar ke liye blogging karta h yanha sabka motiv alag alag h to inke liye alag alag platforms behtsreen hoti h .
Hum yanha kuch platform's ke bare me janenge jo blogging ke liye apni platforms uplabdh karwati h .Aap is post ko padne ke baad khud hi apne liye ek acchi platform ka chunav karne me sacham ho jayenge.
Blogging ke liye sabse accha platform koun sa h ye thoda kathin hoga par kuch platform's ke features ke bare me research kar aap asani se apne liye ek accha platform select kar sakte h. Yanha kuch popular blogging platform ke bare me kuch details share kar raha hun.
Blogging ke best 6 platforms .
1 . Bloger :
Bloger google ki hi ek service h jo ki puri tarah free h jyadtar naye blogers isi platform ka istemaal karte h.
Bloger ko use karna bhi bahut easy h . Isme blog banane aur article ke liye coding ki koi jarurat nahi hoti h.
Aap chahe to domain name buy kar bhi use kar sakte h. Kai templstes aapko yanha free mil jayegi jisse aap apne :blog ko ek professional look de sakte h . Agar aap suruaat me koi paise invest nahi karna chahte h aur ek free blog banana chahte h to phir bloger apke liye ek accha platform h.
Free bloger blog kaisre banaye
Blogging karne ke 15 fayde benefits
Mobile se blog banakar blogging kare
2 . Wordpress :
Wordpress ek bahut accha blogging platform h Isme bhi aap free blog bana sakte h aur iske banane aur use karna bhi easy h iske liye codeing ki bhi jsrurat nahi hoti h. jyadtar successful blogers is platform ka use karte h. Isme kai tarah ke plugin ka use karke hum apne blog ko website ka look de sakte h.
Yanha aap ko 2 tarah ke platforms milenge.
i . Wordpress.com :
Wordpress.crom , wordpress ki free platform h yanha bhi google ke bloger ki tarah hum free me apna blog bana sakte h. Free me aap ko subdomain name wordpress.com se milti h. Free ya paid theme ka use kar apne blog ko design kar sakte h .use karne me bhi easy hone ke karan iske kafi users bhi h.
Domain name kya h blog ke liye domain name kyun jaruri h .
ii .Wordpress.org :
Wordpress.org ek self hosted platform h janha aap apna blog aur websites bana sakte h. Halaki ye ek paid platform h janha aapko domain aur hosting dono paid hi use karna hota h.
Professional blogers ke bich iski lokpriyeta ki wajah isme milne wali bahut sare plugins aur unlimited templates iska seo friendly hona .in platforms me purn rup se apna khud ka control rahta h. Agar aap apne blog me invetment kar sakte h to ye ek accha platform h.
3 .Wix :
Wix personal blogging aur chote websites ke liye acchi platform uplabdh karwati h. Isme bhi kuch free service milti h .Theme ko use karna bahut hi asan h par theme ko badlna muskil hota h.
Design ke liye bahut sare pamplates milte h par uska ek bar hi use kar sakte h .
4 . Weebly :
Yah bhi ek acha platform h isme kisi bhi tarah ki blog ya websites bana sakte h .basic version to free h par paid version thoda mehanga h.
5 . Joomla :
Blogging ke liye ek accha platform h janha aapko domain name aur hosting ki jarurat hoti h.
6 . Tumblr :
Ye ek free micro blogging site h aur bilkul free h. Yanha aap apna blog banane ke saath hi page bhi create kar sakte h. Dusre blogging platforms se alag aap yanha text video aur audio bhi share kar sakte h ek aur option isme aap apne dosto se chating bhi kar sakte h.
Blogging se pahle kuch jaruri baatein
Yanha humne aap ko blogging ke kuch platforms ke bare me bataya aap apne blogging karne ke motive ,apni investment position ko dekhte huye apne liye acchi platform ka chunav kar sakte h.
To dosto aapne yanha kuch blogging platforms ke bare me jana. Aap logo meri ye post Blogging ke best 6 platforms kaisi lagi umeed karta hun acchi lagi hogi. Dhanyabad
.
5 Comments
Kya hum free me apna blog bana sakte h .
जवाब देंहटाएंSiraapke article se hume blogging ke platforms ki jankari mili . Blogging suru karne ke liye ek naye blogger ko inmen se konsi platforms ki chunav karna chahiye.
जवाब देंहटाएंNsye bloger ke liye inme se kon sa platform sahi h
जवाब देंहटाएंशानदार सर जी 👍
जवाब देंहटाएंNaye bloggers ke liye bloger aur wordpress dono hi acche h . Par suruaat me free blogging ke liye bloger accha h .
जवाब देंहटाएंएक टिप्पणी भेजें