Online ghar baihe paise kaise kamaye ke 7 tarike
Dosto aaj har vyakti apne ghar pariwar ke behtari aur khushal jindagi ke liye paise kamane ki koshish me laga rahta h .
Internet ka chalan badne ke saath hi ab logo ka paise kamane ke tariko me bhi kafi badlav aaya h ab aksar logo ko internet par Online ghar baithe Paise kaise kamaye search karte huye dekh sakte h.
Online paise kaise kamaye |
Online income kya h
Internet ka upyog karke paise kamane ki vidhi ko online income ya earning kahte h .
Aaj ki is bhag daud wali jindagi me agar dekha jaaye to paisa ko hi bhagdaud ke liye sabse adhik jimmedar mana jata h.
Log apno ke acchi jindagi ke liye paise kamane ke liye jitod mehnat bhi karte h .Ghar se dur apno se dur rah kar bhi paise kamane ko majboor ho jate h.
Aise me agar koi kahe internet se online bhi paise kamaya ja sakta h kai logo ko thoda ascharya hoga .kyunki jyadatar log internet ka upyog video dekhne me chatting karne me ya phir game khelne me karte h. Par ye Sach baat h ki aap internet se online kamayee kar sakte ho.
Bahut sare aise platforms h jo logo ko online kaam karke kamane ka mouka deti , janha aap apna registraion karke apna details bhar kar , apne pasand ka kaam suru kar sakte h.
Blog ki basic settings kaise kare
Online kaam karne ke liye
1 . Laptop, computer ya mobile chahiye.
2 . Email id
3 . Work knowledge
4 . Acchi internet connection
5 . Dhairya .
Aaj hum aise hi online kamayee ke kuch 7 platform's ke bare me yanha baat karenge .Janha aap apna online work suru kar sakte h .
Online paise kaise kamaye ke 7 tarike .
1 . Blogging :
Blogging online earning karne ki ek accha madhyam h . janha aapko ek blog banakar apne manpasand visay par koi lekh likh kar online publish karna hota h.
Aap ko bata dun kisi visay ki jankarian uska varnan fayde nukshan ko likhit rup me digitally publish karna blogging kahlata h . log bade hi chav se koi jankari hasil karne ke liye blog padte h .log jaise jaise aapke blog ko padenge waise waise aapki blog me traffic badne par aap kamayee kar paayenge.
2 . YouTube :
You tube ek lokpriye video platform h janha aapko har tarah ki video dekhne ko mil jayegi .youtube ke users hi youtube par videos uplabdh karwate h jise video uploading kahte h. Aap bhi apna channel bana kar usme video upload kar sakte h aur kuch samay baad income suru kar sakte h .Apki video watch time agar 4000 hr aur apke 1000 subscribers hone par .
yani jaise hi aapke videos ko 4000 hr tak dekh liya jaayega aur apke channel ke 1000 subcribers ho jaayenge apka channel monetize ho jata h jisse aap kamana suru kar dete h.
3 . Freelancing :
Aaj kal log time ke abhao me jyadtar kaam outsourcing se karwate h yani bahar se expert ko hire karte h jo unka kaam karne ke badle apna fees charge karte h. Aise logo ko hum freelancer kahte h.
Freelancer ke taur par apna registraion karke freelancer ke rup me kaam karke achi income kar sakte h. Kuch platform's janha aap apna registraion kar sakte h.
1 . Fiverr.com
2 . Freelancer. Com
3 . Upwork. Com
In sites par registraion karke apna profile submit karna hota h. Aapke profile dekhkar jclient aap ko hire karegi .work pura karne ke baad aapko paise milte h.
4 . Content writting :
Apni lekhan kala ka upyog karke content writer ke rup me apni pehchan banane ke saath saath acchi income kiya ja sakta h .
Aaj bahut se websites apne sites me articles likhwane ke liye content writers ko hire karti h , per article ya phir per words ke anusaar bhugtaan kiya jata h. Likhne ke shoukino ke liye ye ek behtar jariya h online paise kamane ka.
5 . Affiliate Marketing :
Affiliate marketing online paise kamane ka sabse jyada popular jariya h .
Kisi company ke product ko apne website ya blog ke dwara promotion karke sale karne me help karte h aur uske badle company commission dete h .
kisi bhi products ke link ko apne blog ya websites me laga kar promotion kiya jata h . jaise hi koius link par click kar koi product kharidta h to company uske badle commission pay karti h . jyadtar log isse kafi kamayee kar lete h.
6 . Kahani likh kar.:
Kahani har varg ke logo ko aaj bhi lubhati h . baccho se lekar bujurg har varg ke pathak kahani padna pasand karte h.
Aaj kal har kisi ke pas mobile uplabdh h jisse online kahanian kafi matra me padi jati h. Kuch websites kahaniya likhne ke paise deti h.
Kahani.com aisi hi ek site h janha aap apni kahani publish kar sakte h.
7 . Online tutions :
Agar aapki padane me ruchi h aur padana aap ko accha lagtoa h to online tution aapke liye ek accha vikalp h .
Jis subject me apki acchi pakad ho us subjects ko aap online pada sakte h .Bahut sari sansthaye h janha aap ko online tutor ke rup me pada kar acchi kamayee ho jati h .
Bahut si sansthaye h janha aap online tutor ke rup me online pada sakte h.
To dosto ye h Online ghar baithe Paise Kaise Kamaye ke 7 tarike aap inme se koi bhi ek tarike se kaam kar apna online earning safar ki suruaat kar sakte h.
Aap logo ko article kaisi lagi umeed karta hun acchi lagi hogi. Apne agle article me aise hi online earning se sambandhit jankarian lekar aaunga. Dhanyabad
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें