Kya hum blogging ko apna career bana sakte h .


Kya hum blogging ko apna career bana sakte h ye vichar aksar har us vyakti aur bloggers ke man me utthti h jo ya to new blogger h ya phir blogging suru karna chahte h. 

Is badlte duniya me aaj har insaan apne career aur vavisya ko lekar puri tarah se sajag aur jagruk h. 

Chahe wo ek students ho ya phir working yuth har kisi ka lakshya ek hi h apna future secure karte huye acchi kamayee karna. 




Kya blogging ko career bana sakte h
Blogging as a career



Pahle post me article kaise likhe

Free me blog kaise banaye wordpress aur bloger me

Blogging se pahle kuch jaruri baatein


Blog ke prati logo ka akarshan 


Aaj blogging ki lokpriyeta aur popularity ko dekhte huye naye logo ka blogging ke prati akarshan badta hi ja raha h .

Rojana caroro blogs likhe jaate h aur hajaro lakho blogers apne blogging ke safar ki suruaat karte h .

Kai apne blogging safar suru karna chahte h. 

Agar aap bhi blog suru karna chahte h aur blogging me  career  banana chahte h . To aap ko blog se related kuch baton ko Jan lena chahiye. 


Blog se kamai ka sach 


Usse pehle blogging ke bare me Joki logo ne mann me ek dharana bana li h ki blogging se àcchi aur kafi kamai kar sakte h. Ji haan ye sach h ki hum blogging se paise bhi kama sakte h. Par ye bhi ek sacchai h ki sirf acche aur jankariyan uplabdh karwane wali blog hi acchi kamayee kar sakti h.

Agar aap bogging ko apne career ke taur par dekh rahe h ya phir vichar kar rahe h to aap jaan hi  chuke honge ki aap ko safalta paane ke liye  kaise blog banana hoga . 



Blog banana aur us blog ko safal banana do alag alag chize h

 

Sirf blogging karne se aap blog ko wo safalta nahi dila sakte h  jisse aap àcchi kamai kar paye. 

Ek blog ko safal banane ke piche blogger ki din raat ki mehnat  hoti h , visay par acchi pakad jankariyan , tathyo ki jaan ch padtal aur research  samil hoti h.

Blogging ko career banane ki chah rakhne wale har us vyakti ko malum ho ki blogging koi 1 ya 2din ka kaam nahi h yanha aavp ko ek lambi prakriya se gujarna hota h. 

Aap ko charanbadh tarike se apne blog ko aage badana hota h. Jisse aapke blog me àcchi acchi articles ka sangrah ho sake. 


Ab agar aap mehnat karne ko taiyyar h  ,kyun ki  blogging ek mehnat bhara profession h .janha aapko apne blog ke articles ke liye bahut mehnat aur khojbin ki jarurat hoti h. 

To aayeeye hum blogers ki kuch qualities par baat kare jisse aapke blogging ko career banane ki rah ko asan bana degi aur aap sahi faisla bhi kar paayenge.

Chunki aap  ko apne bare me auro se behtar malum hogi  to aap ko malum hoga ki aap kisi kaam ko karne me kitna saccham h.


Blogging ko apna career banane ka faisla lene se pahle aap ko ye aadaten ko ek bar dekhna hoga 


     Niche kya h blogging me niche

      Contact us page kya h kaise banaye

      Blog ke liye disclaimer page kaise banaye

Hard work  :


Blogging ko seriously lene ka matlab h hard work ke liye taiyyar rahna. Apne blog ko popular banane ke liye acche aur quality articles likhne hote h. 

Jyada se jyada traffic ke liye aap ko apne blog par acche articles to likhne hi honge. Acchi articles ke liye keywords se lekar acchi content ki khoj karna unka acchi tarah research karna ye ek time taking work h . Kahne ka matlab h apne blog ko kathin parishram ke saath paryapt samay dena hoga. 


Lehan kala se pyar:


Aap ko lekhan se lagav hona jaruri h kyunki blogging karte huye aap ko lagatar acchi acchi articles likh kar publish karna hota h. 

Kabhi kabhi ek blog ko safal hone me kafi samay bhi lag jata h. Isliye aap ko lambe samay tak likhte rahna h yehi nahi blog ke safal hone ke baad bhi aap ko likhte jana h .

Blog ke safal hone ke baad to aap ki jimmedari aur bhi badh jati h .Blog  ke safalta ke baad to aapke readers ki umeede aur bhi badh jati h. 


Creativity 


Blogging me aapko lagbhag har topic me aapko articles mil jayenge.

Aise me article likhna bahut hi challenge wala kaam h wo bhi tab jab ki us topic par pahle se hi  hajaro articles moujud ho. Ab sochne wali baat ye h ,ki jab pahle se hi itne article moujud hone par aapki articles ko koun padega. 

Yanha apne article ko dusre articles se alag banane me aap ko apne creativity ka istemaal karna hoga .Apka article auro se jitna alag hoga , log utne jyada aapke articles ko pasand karenge. 


Patience  :


Blogging karna aur usme safal hone ke bich ek lambi prakriya hoti h. Ek acche aur safal blog ke liye thoda samay lagta h .Blogging ka shortcut to meri nazar me koi nahi h. Blog ki safalta ek charanbadh tarike se hoti h . Pahle aap blog banate h phir article likhte h kuch post likhne ke baad aap promotion karte  h aise hi tariko se gujarne ke baad aap blog ko safal banate h. In prakriyaon me samay lagta h iske liye aap ko patience ki jarurat hoti h. 


Sikhne (learning) ki iccha ;


Dosto blogging me apke andar sikhne ki prabal iccha honi chahiye. Waise bhi blogging sikhne aur sikhane ke siddhant par kam karta h . Jaise aap kisike blog pad kar kuch sikhte h waise hi aap ke blog ko bhi pad kar log kuch sikhte h .Agar aapke andar sikhne ki lalak hogi tabhi aap àcchi acchi article likh paayenge .

To ab tak aap samajh hi chuke honge ki blogging ko full tme apne career banane ke liye aap ko kin visestaon  ka hona jaruri h. 


Blogging ko apna career banane se pehle aap ko apne blog ke development par dhyan dena chahiye.


Dosto aap ko meri ye article Kya hum blogging ko apna career bana sakte h kaisi lagi umeed karta hun aaplogo ko meri ye post acchi lagi .hogi. post padne ke liye dhanyabad