Internet jise hum hindi me Antarjaal kahte h , aaj hum internet ke fayde aur nukshan in hinďi ke bare me janenge. Internet hamare pure jeevan ko badal chuka h aaj puri duniya simti huee si Jan padti h .
Duriya aaj mayne nahi rakhti h dur rah kar bhi Sab ek dusre se kafi nikat mahshush karte h. Internet adhunik yug me suchna ke adan pradan ka ek sasakt madhyam h.
Internet networko ka ek aisa jaal hota h janha pure viswabhar ke computers aapas me jude hote h. Jisse hum internet se jude kisi bhi computer se suchna ka adan pradan kar sakte h.
Internet ka use aaj her field me hota h .Internet ke itne labh hone ke saath kuch haaniyan bhi h , ayeeye hum internet ke fayde aur nukshan ke
bare me janenge .
Internet ke fayde :
1 . Sanchar aur suchna :
Aaj internet ke madhyam se hum duniya ke kisi kone me baithe vyakti se pal bhar me samwad ka adan pradan kar sakte h .
Hamare samwad ka madhyam kai tarah se ho sakta h jaise likhit rup se ,voice call ke dwara, video call ke dwara ya phir email ke dwara hum kuch hi second me sampark sthapit kar lete h .
Files ya documents bhi hum internet ke madhyam se bhej sakte h ya bahar se manga sakte h .
2 . Online bill payments:
Hamare dainik jeevan ke aise bahut se jaruri kam h jisme hame apna kafi samay lagana pad jata h jaise electricity bill telephone bill aur bhi kai tarah ke bill .
par ab humlog ghar baithe baithe asani se apne mobile se internet ke madhyam se online apne sabhi billon ka bhugtaan kar sakte h iske liye hume lambi lambi line me lagne ki jarurat nahi padti h.
3 . Online work from home:
Internet ke madhyam se hume kabhi bhi kanhi bhi A kaam karne ki azadi Milti h
Aaj bahut sari sansthaye apne employees ko apne office ka kaam ghar me baith kar karne ki suvidha deti h . Employees ko traffic ke bich bhagdaud kar office pahuch kar kaam karne ki tension se mukt hokar ghar se kaam karne ke karan results bhi acchi aati h.
4 . Online shopping :
Shopping hamare dincharya ka ek jaruri hissa h. Hum akhsar apne dainik use ke samano se lekar anya samano ki shopping karte rahte h .
Kabhi samay nikal kar to kabhi samay ke abhav me hun hadbadi me bhi shopping karne ko mazboor ho jaate h .Internet se online shopping ke dwara ab hum ghar baithe baithe apni pasand ke samano ki kharidari kar sakte h.
Ghar baithe apne parivar ke logo ke pasand se kharidari kare .Online shopping me samano ki booking ke baad home delivery ki bhi suvidha milti h saath me discount bhi mil jati h .
Samay ki bachat acchi quality acchi price ke saath home delivery ki suvidha , online shopping ko bahut lokpriye bana deti h .
5 . Freelancing :
Staff ki kami aur samay ke abhav me log bahar se experience aur trained logo ko apne kaam ke liye hire karte h . Internet ke chalan ke saath hi Freelancing ke kaamo me kafi teji aayee h. Online aap duniya ke kisi bhi kone se Freelancing ka kaam le kar kar sakte h . Isme sara kaam online ke madhyam se hi hota h.
6 . Entertainment :
Entertainment life me bahut hi impotent role nibhata h aaj ke is bhagdaud wali jindagi me log saririk aur msnsik rup se thake thake lagte h .saririk aur manshik thakawat ko dur karne ke liye entertainment ek accha madhyam h . Aaj hum internet se online kai tarah se jaise gana sunkar , movies dekhkar , desh videsh ki khabaro dekh kar ya game khel kar online entertainment kar sakte h.
7 . Job vacancy :
Employment aaj ki ek bahut badi samasya h .ise pratisprdhi samay me job milna bahut badi baat h aaj hum internet se job vacancies ki suchna pa sakte h.
Internet ke nuksan
Internet ke labh ke saath kuch haaniyan bhi h.
1 . Samay ki Barbadi ;
Aaj internet itna jyada popular ho chuka h ki log aksar apna jaruri kaamo ko najarandaj kar hamesha internet (mobile) me lage rahte h .Aaj jyadatar logo ke pas android mobile hoti hi h jisme we log internet connection le kar aksar apne apne pasand aur jarurato ke anusar uska istemaal karte h.
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें