Apne pehle post me article kaise likhte h
Aapne abtak blog ke bare me kafi kuch jankarian ekathi kar li hogi , blog kya hota h ise koun log likhte h , koun ise padte h, blog banane ki prakriya bhi samajh me aa gayee hogi to sayad aap me se kuch logo ne to apna blog bana bhi chuke honge ab aati h baat apne pahle blog post me article kaise likhte h.
Pahle blog article me kya likhe |
Article kya h
Blog post me article likhne se pahle hume pata hona chahiye ye article kya hota h , article kya h .
Apni jankarion ko bakayada logo tak pahunchane ke liye use likhit rupme taiyyar karna , use image audio aur video rupme taiyyar karna article kahlata h .
Kahne ka matlab h aisi koi bhi jariya jiske dwara hum logo tak koi message ,jankarian aur suggestion pahunchate h inke format ko hi article kahte h .
Articles me information ,suggestion , entertainment ya social message kuch bhi ho sakta h . Yani articles kisi bhi visay me ho sakta h . Article ka main maqsad jankarian share karna hota h .
Ab apke man me ye sawal jarur utth rahi hogi ki apne pahle blog post me article kaise likhe aakhir apne pahle post me article kaise likhte h .
Article ki suruaat
Apke man ki jigyasa ko shaant karte huye main aap ke liye yanha aapke blog ke liye pahla article likhne me aapki kuch madad kar deta hun.
Ab aata h blog ka sabse main part ji haan article likhna. Article blog ka sabse mukhy bhag hota h janha aap ko apne visay ke anusar sundar sa lekh likhni hoti h .
Yanha aap ko apna pehla article likhna h to main aap ko bata dun chunki ye aap ka pehla article h aur aap blog ki duniya me apna yogdaan dene ja rahe h to ise yaadgar banana chahiye.
Sochiye jaise aap ka har wo pehla kaam chahe wo school ka pehla din ho ya college ka pehla din aur bhi aapke pehla kam jinhe yaad karke aap kabhi romanchit hote to kabhi bhabhuk hote h aur kabhi kabhi Un palo ko yaad kar jhenp jate h waise hi apne pahle blog article ko shandaar dhang se likhe jisse aap ki blog journey sahi patari par chal nikle. Kahte h na safar ka suruaat shandaar to safar yaadgar ban jata h.
Ab aate h blog ki bhasa par. article likhte samay aap ki bhasa ekdam samamnya bolchal wali hi rakhe jise har koi samajh sake.
Pahle article me kya likhe
Aap blogging ki duniya me apna pahla kadam rakhne ja rahe h isliye pehla post me aap apne bare me llikhenge apne pathako ko apna parichay aur apne blog ke bare me bataenge.
Aapne apna blog kis visay me banaya h apke blog me unhe kis visay me jankari milegi aur blog banane ke apke kya maqsad aur apko apne blog se kya umeede h ,
Ho sakta h apke blog ke pathak aapke blog ko safal banane ke aapke umeedo ku pura karne me apki sahayata karenge .
Maine bhi apne pahle post me blog suru karne ko lekar apni excitment share ki thi. .
Article likhte samay hamesha maan ke chale aap ke article ko kai pathak padne wale h isliye apne post me jyada se jyada koshish kare jo pathak aap ke article padne aaye unhe aap ke article me kuch sikhne ko mile kuch acchi jankari mile jisse aapke pathak dubara aapke post me aaye.
Apne pahle blog banate samay aap ko kya kya pareshania aayee aap kaise Un pareshanion se nikal paye apne pathako ko bataye.
Blogging ki suruaat karke kaise mahshus kar rahe h uska varnan to jarur se jarur kare. dosto ab aap blogging pariwar se jude gaye h isliye apna sukh dukh share kare.
Apne article me aap apke aanewale article yani aap apne pathako ke liye koun si jankari lekar aa rahe h uske baare me bataye.
Aap ke blogs me pathako ko kis vsssy me jankariyan uplabdh karwai jayegi ise bhi jarur batayr .
Apne pathako ka bharosa jitate huye unhe acchi acchi article dene ki imandaar koshish kijiye . Aapki mehnat apki lekh me jhalakna chahiye .
Apne lekho ko chote chote paragraphs me saja kar likhe aur lagatar likhe kahne ka matlab h aap ko apne articles ko hamesha ek niyamit antral par post karte rahna h.
Aap chahen to apne blog me picture ka istemaal bhi kar sakte h par kuch sarto ke saath .
Aap apne lekhan kala ko lekar jyada chintit na ho jaise jaise aap article likhte jaayenge waise waise aapki lekhan kala me nikhar aati jayegi.
EK baar aap ka article taiyyar ho jaye to aap sabse pehle us article ko padiye usme kuch badlaw karna ho ya kuch jodna ho wo karle ek bar apni sabdo ki asuddiyan yani ki spelling mistake check kar le aur sunoschit ho kar apne article (introduction) ko apne pehle blog post karte huye apne aap ko khe blogs ki duniya me aapka swaagat h .
Aur haan hamare aur se bhi apko badhaee ab aap Bloger ban gaye eske saath hi apki jimmedari bhi bad jati h .To taiyyar rahe aur apni nayee jimmedarion ka bharpur anand utthaye.
Aaj humne sikha article kya h Article ki suruaat kaise kare aur pahli article me kya likhe , ummeed karta hun aaplogo ko pahli article likhne me ye article aapki madad karegi .
Dosto aaplogo ko mera ye article apne pehle blog post me article kaise likhte h kaisa laga umeed karta hun aaplogo ko acchi lagi hogi. Article padne ke liye aapka DHANYAWAAD
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें